*Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafat ke baad Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ka khutba.
Hum se Bishr bin Muhammed ne bayan kiya, unhen Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha ke mujhe Ma’mar bin Rashid aur Younus ne khabar di, unhen Zohri ne, kaha ke mujhe Abu Salamah ne khabar di ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zauja-e-mutahharah Aisha Razi Allahu Anha ne unhen khabar di ke*
*Jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat ho gayi) Abu Bakr Razi Allahu Anhu apne ghar se jo Sunh me tha ghode par sawaar ho kar aaye aur utarte hi Masjid me tashreef le gaye.*
*Phir aap kisi se guftgu kiye baghair Aisha Razi Allahu Anha ke hujre me aaye (jahaan Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki na’sh-e-mubaarak rakhi huvi thi) aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf gaye.*
*Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko Burd-e-Hibarah (Yemen ki bani huvi dhaaridaar chaadar) se dhaank diya gaya tha.*
*Phir aap ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra-e-mubarak khola aur jhuk kar us ka bosa liya aur rone lage.*
*Aap ne kaha mere maa baap Aap par qurbaan hon aye Allah ke Nabi! Allah Ta’ala do mauten Aap par kabhi jama nahi karega. Siwa ek maut ke jo Aap ke muqaddar me thi so Aap wafaat paa chuke.*
*Abu Salamah ne kaha ke mujhe Ibne-e-Abbas Razi Allahu Anhuma ne khabar di ke Abu Bakr Razi Allahu Anhu jab bahar tashreef laaye to Umar Razi Allahu Anhu us waqt logon se kuch baaten kar rahe the.*
*Siddiq-e-Akbar Razi Allahu Anhu ne farmaaya ke baith jaao. Lekin Umar Razi Allahu Anhu nahi maane.*
*Phir dobarah aap ne baithne ke liye kaha. Lekin Umar Razi Allahu Anhu nahi maane.*
*Aakhir Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne Kalima-e-Shahaadat padha to tamaam majma’ aap ki taraf mutawajjeh ho gaya aur Umar Razi Allahu Anhu ko chodh diya.*
*Aap ne farmaaya Amma Ba’d! Agar koi shakhs tum me se Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ki ibadat karta tha to use ma’loom hona chaahiye ke Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat ho chuki aur agar koi Allah Ta’ala ki ibadat karta hai to Allah Ta’ala baaqi rahne waala hai. Kabhi woh marne waala nahi.*
*Allah paak ne farmaaya hai “Aur Muhammed sirf Allah ke Rasool hain aur bahot se Rasool is se pehle bhi guzar chuke hain” «الشَّاكِرِينَ» tak (aap ne Aayat tilaawat ki)*
*Qasam Allah ki aisa ma’loom huwa ke Abu Bakr Razi Allahu Anhu ke Aayat ki tilaawat se pehle jaise logon ko ma’loom hi na tha ke yeh Aayat bhi Allah paak ne Quran-e-Majeed me utaari hai.
*Ab tamaam Sahaba ne yeh Aayat aap se seekh li phir to har shakhs ki zabaan par yahi Aayat thi.*
*👉🏻📚 Sahih Bukhari: 1241*
*👉🏻📚 Sahih Bukhari:1242*
*Share to sadqua e Jariya
No comments:
Post a Comment