find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Zaeef Hadees Janne Ke Bawjood Bhi Ager Logo ko n btane wale Kaise Hai?

IMAAM MUSLIM REHMATULLA ALAIH FARMATE HAIN.

Jo shaqs za’eef hadees ke zu’af (kamzori) ko janney ke bawajood iske zu’af (kamzori) ko bayan
nahi karta to wo apne is fail (harkat) ki wajeh se gunahgaar aur awaam un naas (yani logo) ko
dhoka deta hai, kyuke mumkin hai ke iski bayaan karda hadees ko sunnay wala sab par ya inme
se baaz par amal karay aur mumkin hai ke wo sab ahadees ya baaz ahadees akaazib (jhooti) ho
aur inki koi asal na ho jabke saheeh ahadees (authentic hadees) is qadar hain ke inke hote hue
za’eef (kamzor) ahadees ki zaroorat hi nahi hai phir bahut se log amdan (jaan-boojkar) za’eef
aur majhool (na maloom) asnaad wali ahadees bayaan karte hain. Mahaz isliye ke awaam un
naas (logo) me inki shohrat ho aur ye kaha jaye ke “inke paas bahut ahadees hain aur isne
bahut kitabein taleef kardi (likhi) hain. Jo shaqs ilm ke maamlay me is rawish ko ikhtiyaar karta
hai iske liye ilm me kuch hissa nahi aur isay aalim kehne ke bajaye jaahil kehna ziyada munasib
hai.
[Muqadmah Saheeh Muslim 1/179177]
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS