Kya Auratein (Khwateen) fitne ki Zad Hai?
Kya Islam me Auraton ka koi Haque nahi hai?
Islam me Auraton ko Gharon ke ander Rakha gaya hai?
Dusre Mzahib ki Banisbat Islam me Auraton ka Maqam?
Kya Islam me Auraton ka koi Haque nahi hai?
Islam me Auraton ko Gharon ke ander Rakha gaya hai?
Dusre Mzahib ki Banisbat Islam me Auraton ka Maqam?
SAWAL: Hamare Muashre me Aurat se mutalliq badi badgumani paai jati hai. Baaz loogon ka Aqeedah hai ki duniya me har MUSIBAT aur har FASAAD ke peeche Aurat ka hath hota hai. Vo kahte han ki Vo Aurat hi thi jisne Adam Alaihi Salam ko SHAJAR E MUMNOOAH khane par amaada kiya Aur uski padaash me Hazrat Adam Alaihi Salam JUNNAT se nikal diye gaye. Baaz loog Aurat ko fitna se tabeer krte hn. Unke nazdik Aurat mokammal FITNA hai. Aur apni baat ko sabit krne ke liye Kabhi Zaeef Aur Gadhi hui Hadeesen pesh krte hn Aur Kabhi aesi Sahih Hadees pesh krte hn jiska mafhoom vo nhi hota jaesa vo samajhte hn Maslan ye hadees jis me Aurton k fitne se kabhardaar kiya gya hai Nabi ﷺ ka irshad hai :
ﻣَﺎ ﺗَﺮَﻛْﺖُ ﺑَﻌْﺪِﻱ ﻓِﺘْﻨَﺔً ﺃَﺿَﺮَّ ﻋَﻠَﻰ ﺍﻟﺮِّﺟَﺎﻝِ ﻣِﻦْ ﻓِﺘْﻨَﺔِ ﺍﻟﻨِّﺴَﺎﺀِ
“Main ne apne baad MARDON ke liye Aurat se zyada nuqsan vo koi dusra fitna nahi choda hai.”
[ ﺷﺮﺡ ﻣﺸﻜﻞ ﺍﻵﺛﺎﺭ ﺣﺪﻳﺚ ﻧﻤﺒﺮ : ٤٣٢٥ ]
Is Hadees me Aurat ke Fitne se kya Muraad hai? Ye loog is trahki Hadeesen pesh kr ke Aurton ko Mukammal Fitna sabit krne ki koshish krte hn. Yahi vjah hai ki Aurat ke mamle me unka Rawaiyya Bada Sakht hota hai. Aurat k fitne se Mahfooz rhne k liye unho ne Aurton pr badi sakht qism ki pabandiyan Aaed kr rakhi han. Unke nazdik Aurat ka PARDA bhi bada sakht qism ka hota hai. Yahan tk ki Aurat Ki Awaz bhi unke nazdik parda hai Taki Koi Gair Mahram unki Awaz na sun sake unke nazdik behtari ussi me hai ki Aurat apni maot tk Ghar me 4 deewari me Qaid rhe. Jab ke islam ne Aurat ko jitni izzat bakshi hai kisi Aur mazhab ne nhi bakshi hai. Aurat ke sath insaaf krne Aur unhen mukammal huqooq ada krne ke mamle me islam ka kirdaar sabse numaya hai.JAWAB:
Haqeeqat ye hai ki hmare muslim moaashre me Aurat ka masla jis qadr Afraat wa Tafreet ka shikaar hai uski koi nazeer nhi hai. Ye Aesa Hassaas aur jazbati masala bun kr rah gya hai ki pta hi nhi chlta ki Haq kya hai Aur Batil kya hai ,Such kya hai aur Galat kya hai?
Isme koi shak nhi ki islam ke elawa koi aesa deen, mazhab ya Falsafa e Hyaat nhi hai, Jisne Aurat ko mukammal jayaz e haq Aur Adl wa insaaf Ata kiya ho Aur uski IZZAT O AABRU ki hifazt ki ho. Islam ne Aurat ko kai hayesiyaton se izzat bakshi hai. Ek insan ki hayesiyat se, Ek beti ki hatesiyat se Aur ek moaashre ke ek Farde Kaamil ki hayesiyat se.
Insan ki hayesiyat se Aurat ki izzat afzaai is trah ki gai hai ke zimme dariyon Aur Farayaz ke mamle me Aurat Mard ke barabar hai. Dono yaksan darje ke zimmedaar hn Aur yaksan taor pr Inaam Ya Saza ke haqdaar hn. Kisi Insaan ke liye Allah Tala ka sab se pahla hukm Mard Aur Aurat dono k liye barabr tha. Aur us hukm ki nafarmani k liye dono ko yaksan (Same) saza di gai. Allah ka ye pahla hukm Hazrat Adam Alaihi Salam Aur Hazrat Hawwa ke liye tha. Allah Tala ka ye Pahla hukm kuch aese hai:
ﺍﺳْﻜُﻦْ ﺃَﻧْﺖَ ﻭَﺯَﻭْﺟُﻚَ ﺍﻟْﺠَﻨَّﺔَ ﻭَﻛُﻠَﺎ ﻣِﻨْﻬَﺎ ﺭَﻏَﺪًﺍ ﺣَﻴْﺚُ ﺷِﺌْﺘُﻤَﺎ ﻭَﻻَ ﺗَﻘْﺮَﺑَﺎ ﻫَﺬِﻩِ ﺍﻟﺸَّﺠَﺮَﺓَ ﻓَﺘَﻜُﻮﻧَﺎ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻈﺎﻟﻤﻴﻦ
( ﺳﻮﺭﻩ ﺍﻟﺒﻘﺮﻩ : ٣٥ )
“Tum Aur tumhari Biwi Junnat me rho Aur usme jo chaho Aur jahan se chaho Khaao. Lekin us Darakht ke qarib bhi na jaana. Varna Zaalimo me shumaar hoge.”Maal ki hayesiyat se Islam ne Aurat ko jo Izzat bakshi hai vo kisi se makfi nhi hai. Islam ne Maa k paeron tale junnat qaraar de kr usse jo buland maqaam Ata kiya ha, vo sab pr zahir hai. Biwi ki hayesiyat se us trah izzat nakshi hai Aap ﷺ ne Farmaya:
ﺧَﻴْﺮُﻛُﻢْ ﺧَﻴْﺮُﻛُﻢْ ﻟِﺄَﻫْﻠِﻪِ ﻭَﺃَﻧَﺎ ﺧَﻴْﺮُﻛُﻢْ ﻟِﺄَﻫْﻠِﻲ
( ﺳﻨﻦ ﺍﻟﺘﺮﻣﺰﻯ ﺣﺪﻳﺚ ﻧﻤﻨﺮ٣٨٩٥ )
“Tum me se behtr vo hai jo Apni biwi ke liye behtr hai. Aur main apni Biwi ke liye tum me sabse bhtr hun”Lekin Afsoos ki baat hai ki baaz Sakht mizaaz Aur tashaddud pasand Musalman Aurton ke mamle me bada zulm krte hn. Unho ne Auton ko unke huqooq se bhi mahroom kr diya hai jinhe Islami Shariyat ne unhe ek insan Aur Aurat ki hayesiyat se ata kiya hai Aur usse bhi zyada afsoos naak baat ye hai ki ye saare Haq Talfiyon Aur Zyadtiyan deen Aur mazhab ke naam pr hoti hn. Halaki hmara deen us trah ki haq Talfiyon se paak hai. Auton ko Kam Aqal sabit krne ke liye loogon ne Aap ﷺ ki taraf ye hadees mansoob kr di hai:
ﺷﺎﻭﺭﻭﻫﻦ ﻭﺧﺎﻟﻔﻮﻫﻦ
“Un Arton se Mashwara to kro lekin Amal na kro.”Ye Wazeh taor pr ek mun Ghadhat Aur be bunyad hadees hai Q ki khud Aap ﷺ Apni Biwiyon SE Mashwara frmate Aur un Mashwaron pr Amal bhi kiya krte the. Maslun Sulah Hudaebiya ke Maoke pr Aap ﷺ ne Ummul Momineen Hazrat Umme Salma RA se Mashwara kiya Aur unke Mashware ko Qubool krte hue uspr Amal bhi kiya Aur Allah Tala ne usme Khair Wa Barkat Ata ki .
Unhi Hazraat ne Ye Qaol Hazrat Ali RA ki taraf mansoob kiya hai.
ﺍﻟﻤﺮﺃﺓ ﺷﺮﻛﻠﻬﺎﻭﺷﺮﻣﺎﻓﻴﻬﺎﺍﻧﻪ ﻻﺑﺪﻣﻨﻬﺎ
“Aurat mokammal burai hai Aur uski sabse badi burai ye hai ki uski burai se mufr nhi hai”Hazrat Ali RA ki traf ye Qaol Mansoob krna bilkul glat Aur be bunyad hai Q ki ye gair mantiqi Aur Gair maqool Qaol hai Aur us trah ki Wahiyaat baat Hazrat Ali jaese jaleel ul Qadr Sahabi kah hi nhi skte q ki ye baat Quran ki taleem ke Aeen Khelaaf hai. Quran ne Jahan Jahan Wajibaat Wa Farayaz ke silsile me musalman ko mukhatib kiya hai vahan Mard Aur Aurat dono yaksa taor pr Mukhatib hn. Usi tatah Jaza Aur Saza ke Mamle me bhi Aurat Aur Mard dono barabr han . Namaz padhne ka huqm dono k liye yaksan taor pr hai Aur nmaz na padhne ki surat me dono ko ek jaesi saza Aur padhne ki surat me ek jaesa inaam milega.
Isi trah ki ek mun Ghadahat Aur bebunyani baat ye hai ki Aurat ki Awaaz parda hai. Aur Ye Jayaz nhi ki Shaohr Aur Mahrum ke elawa koi dusra uski Awaaz sune. Aur ye bhi jayaz nhi ki Shohr Aur Mahrum ke elawa kisi Aur se baat kre q ki uski Awaaz Parda hai. Is trah ki bebunyad baat krne walon se main ne iski Daleel puchi to vo koi Daleel nhi pesh kr ske. Aur Haqeeqat ye hai ki Quraan O Hadees me is baat ki koi daleel nhi hai Balki Quran O Hadees me uske Baraqs baat kahi gai hai. Quran me Allah Tabark Wataala ne Sahaba ekraam ko is baat ki ijazat di hai ki vo nbi ﷺ ki Biwiyon se parda ki aadh me baat kr skte hn. Chunaan che Nabi ﷺ ki biwiyan parda ki Aadh me rah kr Gair mahramon se baat krti thi Aur unhe Mufeed maswara deti thi. Masael ka Hal btati thi Aur Aap ﷺ ki hadees sunati thi.
Huzoor ﷺ ke zmane me Aurten bela kisi rukawat ke Mardon ki maojudgi me Aap ﷺ ke paas aakr aap se masail daryaaft krti thi Aur Aap ﷺ unhe bade itminaan se jwab dete the Aur Kabhi Kabhi Aap ﷺ ne unhe is baat pr nhi toka ki tum mardon ki maojudgi me aakr q baaten krti ho? Khulafa e Rashideen ke zmane me bhi Auraton ki Awaaz ko Parda nhi tasawwur kiya jata tha chunan che Mashroor Waqyah hai ki Hazrat Umar RA Minbar pr khtba de rhe the. Daoraan e Khutba me Kisi Aurat ne Umar RA ko kisi baat pr bhari majlis me toka Aur Umar rA ne Apni glti ka eteraaf bhi kiya. Aur kisi ke zehan me ye baat nhi aai ki Is Aurat ne Bhari majlis me baat q ki. Q ki Sahaba RA Aurat ki Awaaz ko parda nhi tasawwur krte the.
Surah Qasas me Allah Tala ne ek Waqeya ka tabsera kiya hai. Waqeya ke darmiyan Allah tala ne btaya ki Hazrat Musa ne kisi buzurg (Galibun Nabi) ki betiyon se bat ki Aur paani bhrne me unki Madad ki Aur unke sath chal kr unke ghr bhi gaye. Agr Aurt ki Awaaz prda hoti to Musa AS kabhi kabhi un ladhkiyon se baat nhi krte Aur na un Buzurg ki betiyan unse baat krne ko pasand krti.
Haq baat ye hai ki Islaami Shariyat ne Mardon ko Aorton Ya Aurton ko Mardon se baat krne ki mumaniyat nhi hai. Mumaniyat is baat me hai ki Aurten Mardon se Lubhane Wale andaaz me baat na kren. Mardon se baat cheet krne mna nhi hai balki pyaar bhare lehze me Aur lubhane wale andaz me baat krne mna hai. Neeche di hui Ayat isi Mumaniyat ki traf ishara kr rhi hai.
ﻳَﺎ ﻧِﺴَﺎﺀَ ﺍﻟﻨَّﺒِﻲِّ ﻟَﺴْﺘُﻦَّ ﻛَﺄَﺣَﺪٍ ﻣِﻦَ ﺍﻟﻨِّﺴَﺎﺀِ ﺇِﻥِ ﺍﺗَّﻘَﻴْﺘُﻦَّ ﻓَﻠَﺎ ﺗَﺨْﻀَﻌْﻦَ ﺑِﺎﻟْﻘَﻮْﻝِ ﻓَﻴَﻄْﻤَﻊَ ﺍﻟَّﺬِﻱ ﻓِﻲ ﻗَﻠْﺒِﻪِ ﻣَﺮَﺽٌ ﻭَﻗُﻠْﻦَ ﻗَﻮْﻟًﺎ ﻣَﻌْﺮُﻭﻓًﺎ
(Surah Al-Ahzab : 32)“Aye nabi ki biwiyon! Tum Aam aurton ki trah nhi ho Age tum Allah se darne Wali ho to dabi zubaan se baat na kiya kro ki jiske dil me khot hai kisi laaluch me padh jaye Aur bhali baat kiya kro”
Agr mahez baat cheet krne ki mumaniyat hoti to Allah Tala kabhi Ayat ke Aakhri me “ ﻗﻠﻦ ﻗﻮﻻ ﻣﻌﺮﻭﻓﺎً ” na frmata jiske maani hn ” Aur bhale tariqe se baat kro” Maloom hua ki lubhane Wale Andaaz me Aur foohadh Tariqe se baat cheet krne ki mumaniyat hai. Aur bhale triqe se baat cheet krne ki ijazt hai. Agr Aurat ki Awaaz prda hoti to Allah kabhi baat cheet krne ki ijazat nhi deta. Iska mtlb ye hai ki Aurat ki awaaz prda nhi hai.
Is hadees ko loog smjhne me bhi loogon ne zbrzst glti ki hai:
ﻣَﺎ ﺗَﺮَﻛْﺖُ ﺑَﻌْﺪِﻱ ﻓِﺘْﻨَﺔً ﺃَﺿَﺮَّ ﻋَﻠَﻰ ﺍﻟﺮِّﺟَﺎﻝِ ﻣِﻦْ ﻓِﺘْﻨَﺔِ ﺍﻟﻨِّﺴَﺎﺀِ
“Main ne apne baad MARDON ke liye Aurat se zyada nuqsan vo koi dusra fitna nahi choda hai.”isme lafz Fitne se yahan ye mafhoom lete hn ki Aurat musibat Aur fitne ki jadh hai. Ya jis Tarah Aap ﷺ ne Faqr o faqah Aur beemari ko fitna Qaraar de kr unse Panah mangi hai, Aurten bhi kuch isi tarah ka fitna hai. Halnki Hadees ka ye mafhoom hargiz nhi hai. Lafz Fitna Arbi zuban me Aazmaish Aur Imtihaan ke liye Istemaal hota hai. Yaani vo cheez jis ke zariye se kisi ki Azmaish ho. Ye Azmaish Kabhi buri cheez ke zriye hoti hai Aur kabhi bhali cheez ke zriye. Allah Tala insaan ko Kabhi pareshaniyon me mubtela kr ke Azmata hai Aur Kabhi nemat ata kr ke frmata hai Allah tala frmata hai:
ﻭَﻧَﺒْﻠُﻮﻛُﻢْ ﺑِﺎﻟﺸَّﺮِّ ﻭَﺍﻟْﺨَﻴْﺮِ ﻓِﺘْﻨَﺔً
(Al-Anbiyaa : 35)“Aur hum acche Aur bure dono se tumhari Azmaish krte hn”
Is liye Arbi me Lafz FITNA kabhi buri cheez ke liye istemaal hota hai Aur kabhi bhali cheez k liye. Maslan Maal Aur Aulaad Allah ki badi nemat hai lekin Allah Tala ne unhe bhi fitna Qaraar diya hai.
ﺇِﻧَّﻤَﺎ ﺃَﻣْﻮَﺍﻟُﻜُﻢْ ﻭَﺃَﻭْﻟَﺎﺩُﻛُﻢْ ﻓِﺘْﻨَﺔٌ
(Al-Taghabun : 15)“Bila shuba tumhari Daolat Aur tumhari Aulad Azmaish ka saamaan hai.”
Ye chiz Allah Tala ki ata kirda nematen hn lekin Allah unhi nematon ke zariye se apne bandon ki azmaish krta hai ki kahin ye bande un nematon me magun ho kr apne rab ko bhul to nhi jate hn aur apne farayaz ki adayegi me kotahi to nhi krte hn. Is mafhoom me Quran ki ye Ayat hai:
ﻳَﺎ ﺃَﻳُّﻬَﺎ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﻟَﺎ ﺗُﻠْﻬِﻜُﻢْ ﺃَﻣْﻮَﺍﻟُﻜُﻢْ ﻭَﻟَﺎ ﺃَﻭْﻟَﺎﺩُﻛُﻢْ ﻋَﻦْ ﺫِﻛْﺮِ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﻭَﻣَﻦْ ﻳَﻔْﻌَﻞْ ﺫَﻟِﻚَ ﻓَﺄُﻭﻟَﺌِﻚَ ﻫُﻢُ ﺍﻟْﺨَﺎﺳِﺮُﻭﻥَ
(Surah Al-Munafiqoon : 9)“Aye Mominon! dekho tumhari Daolat Aur tumhari Aulaad Allah ki yaad se gafil na kr de”
Insan jis trah maal Aur Aulad ke zariye aazmaya jata hai dar Asl ye dono cheezen Allah ki nematen hn, Isi trah Aurten Aur Biwiyan bhi Allah ki nemat hone ke bawajood Azmaish ka zriya hai. Ye Aurat Fitna Wa Fasaad ki jadh nhi hai Aur na buraiyon ka gahwara hai. Balki Aap ﷺ ke Qaol ke mutabiq neik biwiyan Allah ka bada inaam hai. Aur is Inaam me Allah ne apne bandon ke liye Azmaish rkhi hai kahin ye banda Auton ke chakkr me Apne Rab ko faramosh to nhi kr baethte isi Azmaish ki traf is Ayat me Ishara hai:
ﺇِﻥَّ ﻣِﻦْ ﺃَﺯْﻭَﺍﺟِﻜُﻢْ ﻭَﺃَﻭْﻟَﺎﺩِﻛُﻢْ ﻋَﺪُﻭًّﺍ ﻟَﻜُﻢْ ﻓَﺎﺣْﺬَﺭُﻭﻫُﻢْ
(SurahAl-Taghabun : 14)“Tumhari Biwiyon Aur tumhari Aaal Aulaad me bhi tumhare dushman hote hn pus unse hoshiyar rho.”
Ek Hadees me Nabi ﷺ ne Maal o Daolat Aur Aaesh Wa Ishrat ki Farawani se khabardaar kiya hai vo hadees ye hai:
ﻭَﺍﻟﻠَّﻪِ ﻣَﺎ ﺍﻟْﻔَﻘْﺮَ ﺃَﺧْﺸَﻰ ﻋَﻠَﻴْﻜُﻢْ، ﻭَﻟَﻜِﻨِّﻲ ﺃَﺧْﺸَﻰ ﻋَﻠَﻴْﻜُﻢْ ﺃَﻥْ ﺗُﺒْﺴَﻂَ ﺍﻟﺪُّﻧْﻴَﺎ ﻋَﻠَﻴْﻜُﻢْ، ﻛَﻤَﺎ ﺑُﺴِﻄَﺖْ ﻋَﻠَﻰ ﻣَﻦْ ﻛَﺎﻥَ ﻗَﺒْﻠَﻜُﻢْ، ﻓَﺘَﻨَﺎﻓَﺴُﻮﻫَﺎ ﻛَﻤَﺎ ﺗَﻨَﺎﻓَﺴُﻮﻫَﺎ، ﻓَﺘُﻬْﻠِﻜَﻜُﻢْ ﻛَﻤَﺎ ﺃَﻫْﻠَﻜَﺘْﻬُﻢْ
(Sahih Al Bukhari Wa Sahih Al Muslim)“Ba Khuda tumhare silsile me Faqro Faqah ka andesha nhi hai. Mujhe Andesha is baat ka hai ki duniya tum pr waseeh kr di jaye gi jis trah tum se pahle ke loogon pr waseeh kr di gai Aur tum bhi duniya kmane ke liye isi trah ek dusre ka muqabla kroge jaesa unloogon ne kiya. Aur ye duniya bhi tumhe waese hi barbad kr degi jaese us ne un loogon ke barbad kiya tha.”
Is Hadees ka ye mafhoom nhi hai ki Aap ﷺ Gurbat Aur Faqeeri ko pasandida Aur margoob shae smjhte the Aur iski trah apni ummat ko dawat de rhe the. Q ki Khud Aap ﷺ ne gurbat Aur Faqeeri se Allah ki Panaah mangi hai Aur ye bhi nhi hai ki Aap ﷺ Apni ummat me khush haali Aur Daolat ki frawandi ko Napasandidah Shae smjhte the q ki Khud Aap ﷺ ka frman hai ki “ ﻧﻌﻢ ﺍﻟﻤﺎﻝ ﺍﻟﺼﺎﻟﺢ ﻟﻠﻤﺮﺀ ﺍﻟﺼﺎﻟﺢ” (Musnad Ahmad) Umdah maal o daolat saleh shaks ke liye kya khub nemat hai. Aur Sahaba e kraam RA me Aese bhi the jinke paas Daolat ki frawaani thi aur us frawaani ko Aap ﷺ ne kbhi napasandeedgi ki nigah se nhi dekha. Is Hadees ka mafhoom sirf ye hai ki faqr wa faqa ke muqable me Daolat ki frawaani zyada badi Azmaish ki chiz hai Aur Aap ﷺ ne is khatre se Aagaah kiya hai ki kahin koi shaks Duniya KE Aaesh wa ishrat me ulajh kr Aakhrt ki traf se gaafil na ho jaye.
Allah se Dua hai ki hum sb ko Amal ki Taufeeq de.
Ameen Ta Rabbal Aalameen.
Gair Auraton Ko dekhne Wale KAise HAi?
Halala KA Islam Se Kya Talluq HAi?
Aurat Ka MAsjid Me JAna Quran-o-Hadees Me
Ameen Ta Rabbal Aalameen.
Gair Auraton Ko dekhne Wale KAise HAi?
Halala KA Islam Se Kya Talluq HAi?
Aurat Ka MAsjid Me JAna Quran-o-Hadees Me
baat karne se murad mutlaqan baat nahi balky zaroratan baat hai, ek Ayat ya ek hadees se sirf hukum sabit nahi hota
ReplyDeleteNice aapne toh dil khush kardiya aese burai ko ghatam karon
Delete