KYA AHLE HADEES KOI NAYA FIRQA HAI❓*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Ahle Hadees Murawwajah Mazhabo Ki Tarha Koi Mazhab Nahin, Na Mukhtalif Firqo Ki Tarha Koi Firqa Hai Balke Ahle Hadees Ek Jamat Aur Tehreer Ka Naam Hai Aur Wo Tehreer Hai Zindagi Ke Har Shobey Mein Quran Wa Hadees Ke Mutabik Amal Karna Aur Dusro Ko Un Dono Par Amal Karne Ki Targeeb Dilana Ya Yuh Keh Dijiye Ke Ahle Hadees Ka Nisb Wa Ayen Kitab o Sunnat Ki Dawat Aur Ahle Hadees Ka Manshoor Quran o Hadees Hai.*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Ahle Hadees Murawwajah Mazhabo Ki Tarha Koi Mazhab Nahin, Na Mukhtalif Firqo Ki Tarha Koi Firqa Hai Balke Ahle Hadees Ek Jamat Aur Tehreer Ka Naam Hai Aur Wo Tehreer Hai Zindagi Ke Har Shobey Mein Quran Wa Hadees Ke Mutabik Amal Karna Aur Dusro Ko Un Dono Par Amal Karne Ki Targeeb Dilana Ya Yuh Keh Dijiye Ke Ahle Hadees Ka Nisb Wa Ayen Kitab o Sunnat Ki Dawat Aur Ahle Hadees Ka Manshoor Quran o Hadees Hai.*
*☝“DASTOOR E AHLE HADEES KE 2 USOOL”*
*“ATI ULLAHA WA ATIUR RASOOL”*
*“ATI ULLAHA WA ATIUR RASOOL”*
*Kyun Ki Allah Ne Apne Nabi Ko Huqm Diya:* *“IT'TABI O MA OUHIYA ILAIKA MIR RABBIKA” -* *Yani Aye Nabi Tumhare Paas Jo Wahi Ki Gayi Hai Us Ki itteba Karo Aur Nabi Ke Sath Allah Ne Nabi Ke Pairo Karon Ko Bhi Hukm Farmaya:*
*“IT'TABI O MA UNZILA ILAIKUM MIR RABBIKUM WALA TAT'TABI O MIN DOONIHI AU’LIYA” -*
*Yani Ayee Ummat e Muhammadiya Tum Sirf UsKi itteba Karo Jo Tumhare Paas Tumhare Perokaro Ki Taraf Se Nazil Kiya Gaya Hai Aur Uske Alawa Degar Waliyo Ki Pervi Mat Karo.*
*Mazkura Bala Dono Ayato Se Wazey Hota Hai Ke Har Musalman Ko Allah Ki Taraf Se Nazil Shuda Ahkaam Ki Pervi Karna Chahiye Aur Gair Allah Ki Baato Par Dhayan NahiDena Chahiye.*
*❗Yahan Ek Sawal Paida Ho Sakta Hai Ke Allah Ki Taraf Se Nazil Shuda Cheez Kya Hai*❓
*iske Jawab Mein Khud Allah Ta'ala Ne Farmaya:*
*“WA ANZALALLAHU ALAIKAL KITAABA WAL HIKMAH”* -
*Yani Allah Ne Tum Par Kitab Aur Hikmat Utari Hai.*
*Yahan Ye Bhi Sawal Paida Ho Sakta Hai Ke Kitab Se Muraad Kya Hai❓ iski Tafseer Tabayi Ke Sardaar Hasan Basri Rahimahullah Aur Katadah Rahimahullah Ne Farmaya Ke Kitab Se Muraad Quran Aur Hikmat Se Muraad Sunnat Hai.*
*Tafseer ibne Kaseer Jild : 1 Safa No : 185*
*Iske Alawa Ek Mash'hoor Tabayi Hazrat Hassan bin Ateeya Rahimahullah Se Marvi Hai Ke Jibraeel Alahis Salaam Jis Tarah Quran Le Kar Naazil Hue They isi Tarah SunnatLe Kar Bhi Utrey They Aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ko Hadees Ki Taleem IsTarah Dete They Jis Tarah Quran Ki Taleem Dete They.*
*Al Kifayah Fi ilmur RiwayahSafa No : 14*
*Khud Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:*
*“ALA INNI OOTEETUL QUR'AANA WA MISLAHU MA'A'HU”*
*Yani Tum Log Jaan Lo Ke Mujhe Quran Aur isi Ke Saath isi Ke Manind Ek Cheez Di Gayi Hai.*
*Abu Dawood Wa Ibne Maja*
*Mazkoora Baala Hadees e Paak Aur Tabaeen E Azaam Ki Tasrihaat Se Ye Baat Wazey Ho Gayi Ke Quran Wa Hadees Dono Nazil Shuda Hai*
*AHLE HADEES KA MANA (MEANING)*
*Ahle Hadees Do Lafzo Se Mil Kar Bana Hai Ek Hai Ahle Dusra Hai Hadees, Ahle Ka Maana Hai "Wala" Aur Hadees Ka Mana "Quran o Hadees" isliye Ahle Hadees Ka Mana Hua "Quran o Hadees Wala"*
*Lafz Hadees Ka Mana Quran Bhi Hai Aur Hadees Bhi, Hadees Ka Lafz Dono Ko Shamil Hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Quran ko Hadees Kaha Hai Jaise Har Khutbe Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate they:*
*“FA INNA KHAIRAL HADEESI KITABULLAH”*
*Ke Sab Se Behtar Hadees Allah Ki Kitab HaiAllah Ke Kalam Ke Alawa Nabi Ke Qaul Wa Kalam Ko Bhi Hadees Kaha Gaya Hai, Jaise Quran Mein Hai:*
*“WA IZ ASARRAN NABIYU ILA BAAZI AZWAJIHI HADEESA”*
*Ke Jab Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Apni Baaz blBeewiyo Se Ek Baat Poshidah Rakhi Yahan Is Ayat Mein Hadees Se Muraad Rasool Ki Baat Hai.*
*AHLE SUNNAT NAAM KI ZARURAT*
*Nabi Paak Ki Rahmat Ke Chabbees (26) Saal Ke Baad 37 Hijri Mein Ameer E Muaviya Razi Allahu Anhu Aur Hazrat E Ali Razi Allahu Anhu Mein Bamuqaam Siffeen Badi Zabardast Jang Hui is Jang Mein Jab Ameer E Muaviya Razi Allahu Anhu Ki Fouj Haarne Lagi To Unho Ne Quran Ko Neezo Par Utha Liya, Aur Qur'aani Faislo Ke Mutabiq Jang Bandi Ki Tajweez Paish Ki Is Tajweez Ko Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Ne Qubool Farma Liya Aur Sulah Ke Zariye Ladayi Khatam Ho Gayi, is Jang Se Bezaar Ho Kar Hamiyaan e Ali Razi Allahu Anhu Ke 1200 ifraad Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Ki Jamaat Tark Kar Ke Jamaat Se Nikal Gaye Ye Log Khaarji Kehlaye, In Logon Ne QuranKo maan'ne Ke Saath Hadeese Ghadna Shuru Kar Diya is liye in Logo Ko Musalman Naam Ke Saath Saath Ahle Bida'at Ka Laqab De Diya Gaya, Aur Jo Log Quran maan'ne Ke Saath Saath Sunnat Ko Mante Rahe Unka Laqab Ahle Sunnat Pad Gaya Jaisa Ke Mash'hoor Tabayi Muhammad bin Seereen Rahimahullah Farmaate Hain:*
*“FA YUNZARU ILA AHLIS SUNNATI FAYU KHAZU HADEESUHUM WA YUNZARU ILA AHLIL BID'ATI FALA YOKHAZU HADEESUHUM”*
*Yani Ahle SunnatKo Dekh Kar Unki Hadeese Qubool Ki Jaati Thi Aur Ahle Bida'at Ko Dekh Kar Unki Hadeese Qubool Nahi Ki Jaati Thi.*
*(Muqadma Muslim)*
*☝Hazrat Peerane Peer Abdul Qadir Jeelaani Rahimahullah Farmaate Hain :*
*“AHLUS SUNNATI LA ISLA LAHUM ILLA ISMUN WAAHIDUN WA HUA ASHAABUL HADEES”*
*Yani Ahle Sunnat Ka Ek Hi Naam Hai Aur Wo Hai Ahle Hadees.*
* (Gunyatut Talibeen Matbua E Karachi Safa No : 710)*
*Bade Peer Sahab Ki is Tashreeh Se Pata Chala Ke Ahle Sunnat Ka Doosra Naam Sirf Aur Sirf Ahle Hadees Hai Aur Dusra Koi Naam Nahi*
*Hazrat Umar Razi Allahu Anhu farmaate Hain Ke Tumhare Paas Shareer Qaum Aayegi, Shubhaat e Quraan Ko Paish Kar Ke Jhagdegi Tum Unse Sunnat E Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Saath Mubahasa Karo, Kyun Ke Ahle Hadees Kitab Allah Aur Sunnat E Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Se Ziyada Aagah Hai.*
*Imam Khataabi Rahimahullah farmaate Hain Ke Ashaab E Sunan Ahle Hadees Hai.*
*Sheraani Meezan Ul Kubra Jild : 1 Safa No : 46)*
*Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate Hain Jab Shaami Log Fasaad Karenge Us Waqt Tum Mein Kuch Bhi Bhalayi Nahi Rahegi, Meri Ummat Se Ek Jamat Hamesha Haq Par Rahenge Kisi Ki Mukhalifat Usko Nuksaan Nahi Pahuncha Sakegi.*
*imam Ali bin Madeeni Rahimahullah (Imam Bukhari Rahimahullah Ke ustaad) farmaate Hain Ke Wo Jamaat Ahle Hadees Hai.*
*(Tirmizi Baabul Fitan)*
*IMAM ABU HANIFA RAHIMAHULLAH KA MAZHAB*
*Kisi Ne Sufyaan bin Uyeyna Rahimahullah Se Pucha Ke Tum Ahle Hadees Kaise Huwe To Unho Ne Jawab Diya Ke Mujhe Imam Abu Hanifa Rahimahullah Ne Ahle Hadeesbanaya.*
*(Hada'iqul Hanafiah)*
*Mazkoora Bala Waqiya Se Ye Malom Huwa Ke Jis Raah Par Hazoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba Razi Allahu Anhum chalte They Imam Sahab bhi usi Raaste Par Gaamzan They Aur Dusra Ko Bhi Usi Raaste Par Chalne Ki Talqeen Karte They.*
*IMAM SHAFA'I RAHIMAHULLAH KA MAZHAB*
*Imam Shafa'i Rahimahullah Farmaate Hain Ke Ahle Hadees Har Zamaney Mein Mojood Rahenge Maanind Sahaba Razi Allahu Anhum Ke, Aur Farmaate They Ke Jab Mein Ahle Hadees Ko Dekhta Hu To Gooya Sahabi E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekhta Hoon*
* (Meezaan-Ul-Kubra Sheraani)*
*IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KA MAZHAB*
*Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:*
*"LA TAZAALU TAA IFATUM MIN UMMATI MANSOOREENA LA YAZURRUHUM MANA KHAZA LAHUM HATTA TAQOOMAS SAA'AH"*
*Yani Meri ummat Mein Se Ek Garoh Hamesha Gaalib Rahega Jo Log Unko Ruswa Karna Chahenge Unko Nuksaan Nahi Pahuncha Sakenge.*
*(Tirmizi Jild 2 Safa no. 42)*
*Is Hadees Se Malom Huwa Ke Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Daur e Mubarak Se Qayamat Tak Ek Jama'at Haq Par Qayam Rahenge.*
*Ab Sawaal Paida Hota Hai Ke Wo Kounsi Jama'at Hai,❓*
*Imam Hakim Rahimahullah Ne Uloom E Hadees Mein Sahih Sanad Se Imam Ahamad bin Hambal Rahimahullah Se Naqal Kiya Hai Ke Imam Mosoof Rahimahullah farmaate Hain Ke Agar Us Hadees (FALAYAZAALU TAA IFATUN) Se Muraad Ahle Hadees Nahi Hain To Mein Nahi Jaanta Ke Wo Kaun Hain ❓*
*IMAM MAALIK RAHIMAHULLAH KA MAZHAB*
*Imam Ku-Bani Rahimahullah Kehte Hain Ke Imam Malik Rahimahullah Maut Ke Waqt Roone Lage Maine Pucha Ke Aap Kyun Roote Hain Kaha Kyu Na Roouo Maine Bahut Se Fatwe Apni Raaye Se De Diya Kaash Mein Aesa Na Karta Aaj Mujhe Uska Ranj Hai Mein Pasand Karta Hun Ke Har Fatwe Ke Badle Jo Mene Apni Raaye Se Diye Ek ek Maar Kha Kar Choot Jao.*
*Ibne Khalkaan Jild : 2 Safa No : 11*
*Hazrat Imam Malik Rahimahullah Ye Batana Chahte They Ke Raaye Wa Qayaas Koi Achhi Cheez Nahi, Asal Cheez Quran Aur Hadees Hai isi Par logon Ka Amal Hona Chahiye Aur Un Dono Par Amal Karne Wale Ahle Hadees Na Kahe Jaye To Aur Kya Kahe Jaye❓*
*IMAM ABU BAKR BIN AYAASH RAHIMAHULLAH KA FARMAAN*
*"WA KANA ABU BAKRIBNI AYAASHIN YAQOOLU AHLUL HADEESI FI KULLI ZAMAAB"*
*Yani Ke Abu Bakr bin Ayaash kehte hai Ke Ahle Hadees Har Zamaane Mein Mojood Rahenge.*
*Meezaan Sheranai Jild : 1 Safa No : 48*
*BADE PEER SAHAB (ABDUL QADIR JEELANI RAHIMAHULLAH) KA FARMAAN*
*Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jeelani Rahimahullah farmate Hain Ke Bida'atiyo Ki Nishaani Ye Hai Ke Wo Ahle Hadees Ki bad Gumaani Karte Hain.*
*Gunyatut Talibeen*
*Sun liya Apne Shah Jeelani Rahimahullah Ki Zubaani Se Ke bida'ati log Ahle HadeesKe liye burey burey alqaab ghadhte Hain, Azrah bugz Wa Hasad Kabhi Unko Wahabi,Najdi Kaha Jata Hai Kabhi La-Mazhab Aur Gair Muqallid Kaha Jata Hai kabhi 24 Number Ke Laqab Se Pukara Jata Hai.*
*"TABSIRA JAB KISI PAR KIYA KIJIYEAYEENA SAAMNE RAKH LIYA KIJIYE" EK AETRAAZ AUR USKA JAWAAB*
*Bida'ati hazraat Kehte Hain Ke Ahle Hadees To Jal Paida Huwe Hain, Uske Jawab Mein Kaha Ja Sakta Hai Ke Aalam e islaam Ka Ek Mash'hoor Mu'arrikh Allama Ahmad bin Bashaar Maqdasi Ne 1375 Hijri Mein Hindustaan Ke Sindh Ka Safar Kiya Tha, Sindh Ke Mashoor Muqaam Mansoora Ke Mutalliq Wo Kehta Hain,*
*"KANA AKSARUHUM AHLUL HADEES" Yani Mansoora Sindh Ke Aksar Musalman Baashindey Ahle Hadees they.*
*Tareekh E Sindh Safa No : 375*
*Allama Maqdasi Ke Mazkoora Bayan Se Saaf Zahir Hota Hai Ke Chooti (4th) Sadi Hijri Mein Mansoora Ke Aksar Musalman Tahreek Ahle Hadees ke Alambardaar They Aur Quran o Hadees Par Barahe Raast Amal Karne Waale Ahle Hadees They.*
*Mash'hoor Mua'rrikh Allama Abu Mansoor Abdul Qaadir Bagdaadi Kehta Hain:-*
*Rome, Aljeria, Aazerbaijan Baabul abwaab Wagairah Ke Tamam Musalman Ahle Hadees Maslak Par They Aesa Hi Africa, Spain Aur Bahar Magrib Ke SarhadiMusalman Baashindey Sab Ke Sab Ahle Hadees They aur Aesa Hi Habsha Ke Sarhadi ilaaqey Yaman Ke Tamam Musalman Ahle Hadees They.*
*Allama Bagdaadi Ka Ye Wazey Aur Waashgaaf Bayan Babanag Dehal Kehlaata Hai Ke Ahle Hadees Jis Tarah Muhadiseen Ke Khaas Garooh Ko Kehte Hain isi Tarah Ahle Hadees Se Muraad Wo Aam log Bhi Hain Jo Barahe Raast Quran o Hadees Ko Maante Hain Aur Tahreek E Ahle Hadees Ka Jhanda Lehraate haiJis Mua'rrikh Ka Ye Bayan Hai Us Ki Wafaat 460 Hijri Mein Hui Ab Allah Ka Khauf Kar Ke Aur Tassub Chood Kar Ye Bataye Ke Wo Tamam Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum wa A'imma E Kiraam wa Tabaeen E Azaam wa Mua'rrakheen Jinke Bayanat Is Kitab Mein Abhi Guzarey Kya Wo Kal Ke Hai*❓
*Muqadma bin Khaaldoon “FAZLUN FI ILMIL FIQHA” Mein Allama Ibne Khaaldoon Rahimahullah Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Ke Baad Ke Zamaane Ke Baare Mein Likhte Hain ke Unme Fiqah 2 Tareeqo Mein Taqseem Ho Gayi Ahle Raaye Wa Qayaas Ka Tareeq Aur Wo Ahle Iraaq HaiAur Ahle Hadees ka Tareeq Aur Wo Ahle Hijaaz HaiInsaaf Se bataiye Ke Allama Ibne Khaldoon Rahimahullah Jo Ahle Hijaaz Ko Ahle Hadees Keh Rahe Hain Kya Ye Bhi Kal Ki Baat Hai*
*Shaami Sharah Durre Mukhtaar Mein Hai Ke Qaazi Abu Bakr jo Zajaani Ke Ahad Mein Ek Hanafi Ne Ek Ahle Hadees Se Us Ki ladki Ka Rishta Maanga Alfaaz Ye Hai:*
*"INNA RAJULAN MIN ASHAABI ABI HANEEFATA KHATABA ILA RAJULIN MIN ASHAABIL HADEES"*
*Tu Us Ahle Hadees Ne inkaar Kar Diya Magar is Soorat Mein Ke Hanafi Apna Mazhab Taqleed Chood De, is Hanafi Ne Wo Baat Manzoor Karli To Ahle Hadees Ne Apni Ladki Us Se Biyah Di.*
*Gaur Fameinye Yahan To Reesri (3rd) Sadi Mein Ahle Hadees Ka Zikr Mojood Hai Phir Wo Log Kitne Mutassub Aur Kis Qadar Galti Par Hain Jo Kehte Hain Ke Ahle Hadees To Naya Firqa Hai Abhi Kal Paida Hua Hai.*
*❗Sach farmaya imaam Tahavi Hanfi Rahimahullah Ne Ke "LA YUQALLIDU ILLA ASBIYUN AAU GABIYUN" Ke Taqleed Wahi Karega Jo Tassub Parast Aur Ahmaq Ho.*
*Rasmul Mufti li ibne Aabideen Safa no : 32*
*Hazrat Imam Tahavi Rahimahullah Ne Saaf Farmaya Ke Muqallid Bada Tassub Parast Aur 樂Bewakoof Hota Hai, ab Aisa Aadmi Jitna Awwal fa'al Bakey Kam Hai.*
*Allah ta’ala Musalmaano Ko Fiqr e Nustaqeem Aata Farmaaye.*
*Allah Ta’ala Sheikh Ki Hifazat Farmaye Aur unke ilm Mein izafa Aata Farmaye,*
*Aur Allah ta’ala Mere ilm Mai Bhi izafa Aata Farmaye Aur Hamari Har Tarah Se Hifazat Farmaye Aur Hamare Jin Bhaiyo Ne Is Kitab Ko Likhne Mein Hamare Madad Ki Hai Allah Unki Jayez Haajato Ko Qubool Farmaye Aur Unki Tamaam Pareshaniyo Ko Door Farmaye,*
*Aur Allah Ta’ala is Kitab Ko Hamare Liye Sadqa e Jariya Banaye. (Aameen Ya Rabbal Aalameen)*
*Aapka Deeni BhaiMuhammad Faisal Khan*
*Specially Visit for Sheikh Site*
Www.Jalaluddinqasmi.com
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Www.Jalaluddinqasmi.com
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
No comments:
Post a Comment