find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Duniyavi Maqsad ke liye Ilm Hasil Karne walo ka Qyamat ke Din Hasher.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرِ بْنُ أَبِي شَيْبَةَ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا سُرَيْجُ بْنُ النُّعْمَانِ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا فُلَيْحٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي طُوَالَةَ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ مَعْمَرٍ الْأَنْصَارِيِّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سَعِيدِ بْنِ يَسَارٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏   مَنْ تَعَلَّمَ عِلْمًا مِمَّا يُبْتَغَى بِهِ وَجْهُ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ لَا يَتَعَلَّمُهُ إِلَّا لِيُصِيبَ بِهِ عَرَضًا مِنَ الدُّنْيَا لَمْ يَجِدْ عَرْفَ الْجَنَّةِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ  ، ‏‏‏‏‏‏يَعْنِي رِيحَهَا.

🌺रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: जिस शख़्स ने ऐसा इल्म सिर्फ दुनियावी मक़सद के लिए सीखा जिस से अल्लाह ताला की ख़ुशनुदी हासिल की जाती है तो वो क़यामत के दिन जन्नत की ख़ुशबू तक नहीं पाएगा।

🌺 Rasool Allah ﷺ ne farmaya: jis shakhs ne aisa ilm sirf dunyawi maqsad ke liye seekha jis se Allah taala ki khushnodi haasil ki jati hai to woh qayamat ke din jannat ki khushbu tak nahi payega.

🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے ایسا علم صرف دنیاوی مقصد کے لیے سیکھا جس سے اللہ تعالیٰ کی خوشنودی حاصل کی جاتی ہے تو وہ قیامت کے دن جنت کی خوشبو تک نہیں پائے گا۔

🌺Prophet ﷺ said: If anyone acquires knowledge of things by which Allah's good pleasure is sought, but acquires it only to get some worldly advantage, he will not experience the arf, i. e. the odour, of Paradise.

📜 *Wazahat:* jo log sirf duniyawi maqsad ke liye ilm hasil karte hain ke wo iske zariye se sirf duniya kamayege, ilm hasil karne ki wajah raqam wa daulat kamana ho, naam wa shohrat kamana ho to unka anjaam ye hai ke wo jannat ki khushbu naa payenge. Haqiqat ye hai ke banda ilm Allah azzo wajal ki khushnudi aur apne rab ko razi karne ke liye dusron ki rehnumayi karne ke liye hasil kare, jin ko Allah ne ilm diya hai unke liye wajib hai ke wo bilkul sahih sahih baat aage pohchaye kuch bhi naa chhupaye, jhoot na bole, rasool Allah ﷺ pe jhoot bandhne wale ka thikana jahannam hai [📗Bukhari: 107]. Allah swt ne Quran mein farmaya: _...To uss say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per bila daleel jhooti tohmat lagaye takay logon ko gumrah keray yaqeenan Allah Taalaa zalim logon ko raasta nahi dikhlata._[📖Surah Al-anaam 6:144]
Agar maqsad mehez naam kamana hua to beshak ye riya kari (shirk e azgar) mein bhi gina jayega hai, jo ek sangeen gunah hai.

📚 *_Sunan Abi dawud: jild-3, kitab ul ilm 26, hadith no. 3664_*
*Grade sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS