‼Topic Number : 166‼
*☘ 4 DIN TAK QURBANI KI DALEEL QURAN MAJEED KI ROSHNI ME☘*
*Part : 5*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*
*_As salamu Alekum..._*
8⃣ *⛔ Imam Ibne Hajar Asqalani r.a:-*
*IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH* ne *HANAFIYAT ke AZEEM ILM BARDAAR IMAM TAHAWI RH* ki taraf is QAUL ki NISBAT karte hue likhte hain🔻
*" Ki aur ise IMAM TAHAWI RH ne is liye RAAJEH QARAR diya hai q ki ALLAH TA’ALA ka farman hai “aur jo CHAUPAAYE ALLAH TA’ALA ne unko diye hain MA’LOOM DINO’N me un par ALLAH ka NAAM ZIKR kare’n” is AAYAT se pata chalta hai ki yaha’n QURBANI ke din MURAD hain "*
_📚FATAHUL BARI 2/458_
*📜 Scan Copy 🔻*
https://drive.google.com/file/d/1J6ffjby2EGZQvEziuFqUNbXgICMwxKe-/view?usp=drivesdk
9⃣ *⛔ TAFSEER UL JALALAIN :-*
ye KITAB TAMAM MADARIS me padhayi jati hai,iske pehle PANDRAH PARO’N ki TAFSEER ALLAMAH JALALUDDEEN SUYUTI RH ne ki hai aur DOOSRE PANDRAH PARO’N ki TAFSEER JALALUDDEEN MUHALLA RH ne ki hai ye MUHADDIS bhi hain inhone SURAH HAJ ki AAYAT ki TAFSEER karte hue farmaya
*Ki AIYAAM E MA’LOOMAT ASHRAH E ZIL HIJJAH ya ARFAH ka din hai ya YAUM UN NAHAR se AAKHRI AIYAAM E TASHREEQ tak...*
_📚TAFSEER UL JALALAIN SAFA 437_
*📜Scan Page🔻*
https://drive.google.com/file/d/10cDYM9apT5ohmnNWYyWMnzFb0-qYKIyW/view?usp=drivesdk
🔟 *⛔ ALLAMAH SHAUKANI RH :-*
ALLAMAH SHAUKANI RH ne bhi apni TAFSEER me ALLAH TA’ALA ke is QAUL ki TAFSEER kuch isi ANDAZ me ki hai chunancha wo likhte hain
*" Ki MATLAB ye hai ki BANDE apni QURBANIYO’N ko ZABAH karte WAQT ALLAH ka NAAM len. Nez is SILSILE me ye baat bhi kahi gayi hai ki “ZIKR” ZABAH karne se KINAYAH (کنایہ) hai q ki ye us se MUNFIK nahi hota,aur ALLAH TA’ALA ke QAUL “عَلى مَا رَزَقَهُمْ مِنْ بَهِيمَةِ الْأَنْعامِ” se pata chalta hai ki AIYAAM E MA’LOOMAT AIYAAM E NAHAR hain..."*
_📚FATAHUL QADEER 3/611_
*📜Scan Page 🔻*
https://drive.google.com/file/d/1prvSLeOP8hf2HtAPFmFEq8lq3I5Q-o_D/view?usp=drivesdk
1⃣1⃣ *⛔MAULANA IN’AAMULLAH SAHAB QASMI HAFIZAHULLAH :-*
Apne RISALAH me ALLAH TA’ALA ke is QAUL ki MAZEED WAZAHAT ke liye ALLAMA RAAZI wa KHATTABI ke NUSOOS ko NAQAL karne ke baad farmate hain ki.
*“Is HIKMAT ka ye MAFHOOM hua ki AIYAAM E MINAA YAUM UM NAHAR ke baad TEEN DIN DAUR E JAHILIYAT hi se QURBANI ke din the jinko SHARIYAT E ISLAMIYAH ne BARQARAR rakha aur unke TA’DAD me koi KAMEE BESHEE nahi ki.ALBATTA SIRF usme TABDEELI kar di ki pehle log QURBANIYA’N apne BUTO’N ke NAAM karte the aur ISLAM ne ALLAH ke liye MAKHSOOS kar diya.*
_📚RISALAH AIYAAM E QURBANI SAFA 23_
*⛔Tafseer Qurtubi:-*
*SURAH HAJ AAYAT 28 ke MUTA’ALLIQ IMAM QURTUBI RH likhte hain...*
ولا خلاف أن المراد به النحر
*Ki aur is baat me AHLE ILM ke MABEEN koi IKHTELAF nahi ki AAYAT E MAZKOORAH me QURBANI ka ZIKR hai aur AIYAAM E MA’LOOMAT se MURAAD AIYAAM E QURBANI hai*
_📚TAFSEER UL QURTUBI3/364_
*📜Scan Page 🔻*
https://drive.google.com/file/d/1befJ9eLYB62CsyrsElSZ-f2_MRBJAPLX/view?usp=drivesdk
🌳 Insha Allah Next Part m
🔘 *Nabi ﷺ,*
🔘 *Sahaba,*
🔘 *Tabyeen,*
🔘 *4 Imam,*
🔘 *Mohaddaseen*
Se is masle par Dalayal pesh honge Insha...
*To Be Continue...*
____________________________________
*📢FORWARD TO ALL & GET SAWAB E JARIYA 📢*
_________________________________
No comments:
Post a Comment