find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Nafs Aur Shaitan ki Buraayi Se Bachne ki Dua.

Apne Nafs aur Shaitan ki burayee se bachane ki dua

Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe subah aur sham ko koi dua padhne ka hukm de dijiye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasalam ne farmaya is dua ko tum subah ko sham ko aur sote waqt padh liya karo
اللَّهُمَّ عَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ رَبَّ كُلِّ شَيْءٍ وَمَلِيكَهُ
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ نَفْسِي وَمِنْ شَرِّ الشَّيْطَانِ وَشِرْكِهِ
Allahumma Aalimal-ghaibi wash-shahadati faṭiras-samawati wal-arḍ, Rabba kulli shai’in wa malikahu,
Ash-hadu an la ilaha illa anta, Audhu bika min sharri nafsi wa min sharrish-shaiṭāni washirkihi)
Tarjuma : Eh Allah Eh gaib aur khuli baato ko janne wale , Aasman aur zameen ko palne wale , har cheez ke RABB aur malik ,main gawahi deta hu ki tere siwa koi mabud nahi aur main tujhse apne nafs ki burayee aur shaitan ki burayee aur uske shrik se panah maangta hu
Jamia Tirmizi, Jild 2,1316-Sahih
✦ Hadith : Namaz ke baad isko padhne wala kabhi mahrum (na ummed ) nahi hota
-------------------------
✦ Kaab Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi Wasallam ne farmaya kuch cheeze namaz ke baad mein padhne ki aisee hain ki unka padhne wala kabhi na ummeed aur mahrum nahi rahta
33 baar Subhan Allah ,
33 baar Alhamdulillah
34 baar Allahu Akbar.
Sahih Muslim, Jild 2, 1349
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1337-Sahih
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS