*RAMZAN KE FAZAIL⭐* Bismillahhirrahmanirrahim
Ye posts
*_ABU ZAID ZAMEER HAFIZAHULLAH_* ki kitab *RAMZAN KE FAZAIL*se liye gaye hain .
*_ABU ZAID ZAMEER HAFIZAHULLAH_* ki kitab *RAMZAN KE FAZAIL*se liye gaye hain .
Aap Sabhi se guzarish hai k in posts ko pura padhein. In pr amal krein. Aur zyada se zyda *FORWARD* kr ke is *SAWAB E JARIYA KE* *_HISSE-DAAR_* baniy. *RAMZAN KE FAZAIL* _Part_: 1
1⃣ ✔Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya: ‘Nakam ho gaya woh saksh jis par Ramzan ka mahina aakar chala gaya lekin woh apni magfirat nahi kara saka.’ *(Tirmizi,Haakim) ✍Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu* *[Saheeh ul-Jami’ 3510]* *(Saheeh)* *RAMZAN KE MAHINE MEIN BHI MEHROOM REHNE WALE* ✔Kaab bin Uzrah RadhiAllahu Anhu farmate hain: Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya: “Minbar ke paas jama ho jao” Hum minbar ke kareeb jama ho gaye, jab Aap ﷺ ne Minbar ke pehle zeene par kadam rakha toh kaha: “AMEEN” phir doosre zeene par kadam rakha toh kaha: “AMEEN” phir teesre zeene par kadam rakha toh kaha: “AMEEN” phir jab Aap niche utre toh hum ne poochha: Ai Allah ke Rasool! humne aaj Aap se ek aisi baat suni jo is se pehle kabhi nahi suni? Aap ne farmaya: Jibrail Alayhis-Salam mere paas aaye aur kaha: *DOORI HO US KE LIYE JIS NE RAMZAN KA MAHINA PAYA LEKIN PHIR BHI US KI MAGFIRAT NAHI HUI* Maine kaha: *”AMEEN”*, jab Maine doosre zeene par kadam rakha toh unhone kaha: *DOORI HO US KE LIYE JIS KE SAAMNE AAP KA ZIKR HUA AUR WOH AAP PAR DAROOD NAHI BHEJA,* Main ne kaha: *”AMEEN”,*
Phir jab Maine teesre zeene par kadam rakha toh unhone kaha:
*DOORI HO US KE LIYE JIS NE APNE WALIDAIN MEIN SE DONO KO YA KISI EK KO BUDHAPE KI HALAT MEIN PAYA AUR UN KE BAYIS WOH JANNAT MEIN DAKHIL NA HUWA,* Maine kaha:”AMEEN”. *(Haakim)* *[Saheeh At-Targheeb 995]* *(Saheeh Ligairihi)*

No comments:
Post a Comment