find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Qaber Ke Halat. (Duniya walo ke Liye Ibrat)

*🔘♻🔘♻○﷽○♻🔘♻🔘*

   *✮┣ l QABR - KE - HALAAT l┫✮*
○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○○

_*⚫❥ Dhoke Baaz Ko Azaabe Qabr*_

🔥 Abdul Hameed ibne Mehdood maguli Kehte hai ke Mai Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ki Majlis me Haazir tha , Kuch log Aapki khidmat me Haazir huye aur Arz Kiya ke Ham Hajj iraade se nikle , Jab Ham zaatul Safa ( Ek muqaam Ka Naam ) pahuche to hamare ek Saathi Ka inteqal ho gaya ,

🔥 Chunache hamne uski Tajheez aur Takfeen ki , Fir Qabr Khodne Ka iraada kiya ,Jab ham khod chuke to hamne dekha ke Ek bade kaale Naag ne poori Qabr ko ghair rakha hai , uske baad hamne Doosri  jagah Qabr khodi to Waha'n bhi Saanp mojood tha , Ab ham Mayyat ko waise hi Chhod kar Aapki khidmat me Aaye hai ke Ab ham Kya Kare ?

🔥Hazrat Abdullah ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ne farmaya ke ye Saanp uska Bad Amal hai ,Jiska Wo Aadi tha ,Jao use Usi Qabr me Dafan Karo , Allah ki qasam agar tum uske liye poori Zameen khod daloge fir bhi Woh Saanp uski Qabr me paaoge ,

🔥 Bahar haal use isi tarah Dafan Kar diya gaya ,Safar se waapsi par logo'n ne uski Biwi se us Shakhs Ka Amal puchha ,To usne bataya ke uska yeh mamool thank Woh Galla bechta tha aur Rozana Bori me se Ghar Ka kharch nikaal Kar usme Usi miqdaar Ka bhus Mila deta Tha ,
_*📚 Bayhiqi Fi Shoebul imaan. Sharah Sadr- 239*_

👉 Agarche _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ Ka Aam dastoor yahi ke Azaabe Qabr Ka mushahida Aam jinnaato aur insaano ko nahi hota Lekin kabhi kabhi _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ ibrat ke liye Baaz Ahwaal zaahir Kar deta hai, Kitaabo me aise Bahut se Waqi'aat mojood hai Jinme Qabr ke Halaat ke Mushahide Ka zikr hai Aur Qudrate Khudawandi se ye Amr ba'ied bhi nahi hai Kyunki Baaz Logo'n par Halaat munkashif karne par poori tarah qaadir hai ,
*──────────────────────*
     

  ●•●┄─┅━━━★✰★━━━┅─┄●•●

●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●●
        
🍁🍂🍁🍂🍁🍂🍁🍂🍁

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS