find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jisne Din ke Ander koi nayi Baat Ezafa kiya to wo Qabul nahi kiya jayega.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆   

✦ Hadith : jisne hamare Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to wo Qubul nahi kiya jayega
-----------------

Ibn Umar Radi Allahu ke pass ek shakhs ko cheenk aayee to usne kaha Alhamdulillah Wa As salamu Ala Rasool-Allah , Ibn Umar radi allahu anhu ne us se kaha cheenk aane par Alhamdulillah Wa As salamu Ala Rasool-Allah main bhi

kah sakta hu magar Rasool-Allah Sal-Aallahu alaihi wasallam ne humko is tarah nahi sikhaya hai bulki Aap ne humen ye kalimat sikhaye Alhmadulillah Ala kulli haal (ya Alhamdulillah)

jamia Tirmizi , Jild 2, 634-Hasan

✦ Note : is hadith se ye malum hua ki deen mein koi bhi kaam apni marzi se badhana jayaz nahi hai chahe wo achchi baat hi kyu na ho, yaha bazahir to us shakhs ne cheenk aane par RasoolAllah ﷺ par salam bheja tha jo ki ek achcha amal tha magar Aap ﷺ aur unke hidayat yafta sahaba radi allahu anhuma se ye amal sabit nahi tha isliye us shaksh ko is se mana kar diya gaya

✦ Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne hamare Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to wo qubul nahi kiya jayega
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #14 -Sahih

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS