Qurbani kitne din jayez hai 3 ya 4 din?
‼Topic Number : 166‼
*☘ 4 DIN TAK QURBANI KI DALEEL QURAN MAJEED KI ROSHNI ME☘*
*Part : 1*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*
*_As salamu Alekum..._*
_ Pyare Bhaiyo Qurbani Ka Afzal Din 10 zil hejja h lekin Agr koi kisi waja se Qurbani pehle din ya dusre din ya tesre din na kar saka to iske liye 4th din bhe Qurbani karne ki gunjayeesh hai jiske Dalayal hum Insha Allah Quran se deneg aur iske Tafseer Top Mufasreen se denge..._
* SURAH BAQRAH Me ALLAH TA’ALA ARAFAT Wa MUZDALFA Se HAJJAJ E KARAM Ki WAAPSI Ke Baad DAURAN E QEYAAM MINAA Me unhe KHUSOOSIYAT Ke Sath Apne ZIKR Ka HUKM Dete hue Ek Jaga Farmata hain...*
*" Tum GINTI ke CHAND DINO Mein ALLAH TA’ALA Ko YAAD Karo, Paas Jo Koi DO DIN GUZAR Kar (MINAA se) jaldi RAWANA Hona Chahe To Us Par Koi GUNAH Nahin Hai. Aur Jo Der Me GUZARNA Chahe (Yani TEEN DIN guzar kar) To Is Par Bhi Jo PARHEZGARI Karen Koi GUNAH Nahin Hai.*
_Quran Sure Baqra :203_
Is AAYAT E KAREEMA Mein *BA ITTEFAQ E MUFASIREEN “AIYAAMIM MA’DOODAT” (ایام معدودات)* se *AIYAAM E TASHREEQ YA’NI ZIL HIJJAH ki 11,12,13 TAREEKH MURAD Hai...*
*1⃣ IMAM QURTUBI Rahemullah Farmate Hain...*
*" Ki ALLAH TA’ALA Ne Apne BANDO’N Ko GINTI Ke CHAND DINO Me Apne ZIKR Ka HUKM Diya Hai Aur Ye (GINTI KE DIN) YAUM UN NAHAR (Ya’ni QURBANI Ka DIN 10 ZIL HIJJAH) Ke Baad TEEN ROZ Hain jinme YAUM UN NAHAR DAKHIL nahi hai Kyun ki is Baat Par logo’n Ka IJMAA hai Ki QURBANI ke DOOSRE DIN (Ya’ni 11 Ko) Koi HAAJI MINAA Se KOOCH Nahi Kar Sakta.*
*Aur Agar YAUM UN NAHAR AIYAAMIM MA’DOODAT me DAAKHIL hota to phir (BAMAW JAB HUKM QURAANI) AJLAT BAAZ Ke Liye 11 Ko MINAA Se KOOCH Karna DRUST Hota, Kyun Ki Wo GINTI Ke (TEEN DINO Mein Se) DO ROZ GUZAAR Chuka Hain. (Aur ALLAH TA’ALA Ne DO ROZ GUZAR CHUKNE Ke Baad MINAA Se KOOCH Karne Ki IJAZAT Diya Hai.) "*
_TAFSEER UL QURTUBI JILD 3 SAFA 363_
____________________________________
FORWARD TO ALL & GET SAWAB E JARIYA
No comments:
Post a Comment