🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Mafhum-e-hadith:
Bina soche samjhe kuch bhi bolne se bachna chahiye kyunki....
-----
Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu nafrat karta hai tad-tad bolne wale aise mardo se jo apni zuban ko harkat dete rahte hain jaise gaay (ghas khane mein) apni zuban ko harkat karti rahti hai (yani bina soche samjhe jo jee mein aata hai bak jate hain)
Sunan Abu dawud, Jild 3,1568-Sahih
✦ Gunah ke baad tauba ki taufiq hasil karne ki dua
---------------
✦ Aisha Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam is tarah dua farmaya karte they
اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ الَّذِينَ إِذَا أَحْسَنُوا اسْتَبْشَرُوا وَإِذَا أَسَاءُوا اسْتَغْفَرُوا
Allahummajalni Minal-lazina iza Ahsanu istabsharu,
wa iza Asaa'u istaghfaru
Ya Allah mujhe un logo mein se bana de jo neik kaam karte hain to khush ho jate hain aur bura kaam karte hain to astagfar karte hain
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 701-Hasan
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
No comments:
Post a Comment