find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Jummah Mubarak Sunnat ya Biddat

*📮JUMAH MUBARAK KAHNA SUNNAT YA BIDD’AT ❓*

______________________________

         *🍃بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم🍃*

Isme koi shak nahi ke Jumah musalmano ke liye Eid ka din hai, jaise ke Hadees Me aya hai

*🚩Ibn ‘Abbaas (Radiallahu’anhu)ne kaha: Allah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:-*

“jumah eid ka din hai Allah ne musalmano ko hukm kiya, jo koi bi jumah ko aye wo ghusl kare, aur apke pas koi khusbu ho wo lagaye, aur miswaak istemal karen.”

*📘(Ibn Maajah, 1098 Hasan - Darussalam )*

🍃🛑Ibn al-Qayyim (Rahimaullah) ne jumah ki fazilat ko bataya: Jumah eid ka din hai jo hafte (week) me ek baar ata hai.

*📗(Zaad al-Ma‘aad, 1/369)*

Musalmano ki 3 eid hain: Eid al-Fitr aur Eid al-Adha, jo ke ye saal (year) me ek baar ate hain, aur Jumah jo hafte me ata rahta hai. Dusra bat ye hai ke Musalman Eid-al-fitr aur Eid – al-Adha me ek dusre ko mubarak baad dete hain, jaise ke sahaaba se sabit hai aur saheeh ahadees me maujood hai. Sahaaba jante the Jumah eid ka din hai aur ye log hum se zyada jumah ki fazeelat ke bare me ilm rakhne wale the.

Aur unhone kabhi bhi ek dusre ko jumah mubarak nahi kaha, ab har bhalayi sahaba ko follow karne me hai. Kyunki wo Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ke sathi the, wo kisi be din ki afzaliyat ka martabah humse zyada jante the or humse zyada Eid ke har din ko izzat dene wale the,

lekin unhone ne aisa kabi ni kiya, Agar *JUMAH MUBARAK* kahna achha hota to hamare Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne aur sahabaao ne zarur kiya hota. Sahabaao ne deen ko sabse zada samjha, kyunki wo log har chiz Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam se samjhte the.

*LEHAZA JUMAH MUBARAK KAHNA BIDD’AT HAI.*
______________________________

🍃🛑Shaykh Saalih ibn Fawzaan (Rahimaullah) se puch gaya: kya ye shariat hai jo har jumah messages me bheja jata hai “Jumah mubaarak”❓

🎙Sheikh ne kaha: Pehle ke logon me ek dusre ko jumah mubarak kehna paya nahi jata, hum is ko nahi kar sakte kyunki is amal ko pehle ke logon ne nahi kiya. (pahle k logo se murad sahabaao se hai.

*📜🗞(Fatawa, Ajwabat As’ilah Majallat al-Da‘wah al-Islamiyyah.)*

Allah Ta’ala ke Rasool sallallaho alaihi wasallam ne mubarakbad dene ke tareeqe bhi bataye hain. Hame waise hi karna chahiye jaise ke Eidain ki Mubarakbad ke liye dua sikhaai

*“Taqabballahu Wa minna Wa Minkum”*

(May Allah accept this worship from u and from us)

*📒(Al-Mughni:2/259)*

Lekin jumah ke din aisi dua Hame Allah Ke Rasool Sallallahu Aalaihi Wasallam ne nahi batai, jab ki jumah be Eid ul Mumineen hai. Agar bataya hota to hamare Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam aur Sahaba Radiallahu anhu zarur aisa karte.
______________________________

*🔘YAAD RAKHNE WALI BAAT*

*Farmaan e ILAHI*

▫▫🍃“Aur us din zalim shaksh apne haath chaba chaba kar kahega ke haaye kaash ke maine Rasool(ﷺ) ki Raah ikhteyar ki hoti.”

*📕(Surah Furqan, Ayat : 27)*
______________________________

*AHADEES*

*🚩Ayesha Radiallahu anhu riwayat karti hai ki Mohammad(ﷺ) ne farmaya:-*

“Jisne ne hamare is amar (shari’at) mei koi aisi cheez ejaad ki jo isme se nahi hai, to wo mardood (na qabile qabool) hai.”

*📚(Sahih bukhari : 2697, Muslim : 1718)*

🚩Abdullah Ibn Umar r.z farmaate hain:  TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.

*📚(SUNAN KUBRA BAIHAQI : 138)*

_*🚩Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya meri sunnat aur khulfa Rashedeen ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaaye usse bachna Kyunki har nayi chiz ek gumrahi hai.*_

*📚(Musnad Ahmad 4/126, Tirmizi 2676 - Sahih-Darussalam)*

🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS