BismillahirRahmanirRahim
*✦ Hadith : jisne 3 din se ziyada apne bhai ko chorh diya (yani us se naraz raha ) aur mar gaya to wo dozakh mein dakhil hoga*
------------------------------------------
✦ Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya ki kisi Momeen ke liye ye jayez nahi ki dusrey momeen ko 3 din se ziyada chodh de (yani naraz rahey) , agar 3 din guzar jaye to wo us sey miley aur salam karey agar usney salam ka jawab diya to sawab mein dono sharik ho gaye aur agar salam ka jawab nahi diya to wo (jawab na dene wala) sara gunaah le gaya.
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1481-Sahih
✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya kisi musalman ke liye ye jayez nahi ki apne bhai ko 3 din se ziyada chor de ( yani us sey naraz rahe) jisne 3 din se ziyada chorh diya aur mar gaya to wo dozakh mein dakhil hoga.
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1483-Sahih
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Jannat ke darwaze Peer(Monday) aur jumairat (Thursday )ke din khole jate hain,
phir har us bande ki maghfirat hoti hai jo Allah taala ke saath shirk nahi karta
aur siwaye us shaksh ke jo keena rakhta hai apne bhai se (uski maghfirat nahi hoti )
aur hukm hota hai in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye, in dono ko dekhte raho
jab tak ki mil jaye,in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye
Sahih Muslim, Vol 6, 6544
--------------------