find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

73 Firqo me se kaun Jannat me jayega?

73 Firqo me se kaun Jannat me jayega?

Jo Quran-o-Hadees pe chalega wahi jannat me jayega..


BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM

Jo log Kahte hain Sab sahi (jaise bhi Ebadat kro Qubool ho jati hai, Bus Niyat Sahi honi chahiye)  Unse kuch sawalat.

--------------------------------------------------
Rasoolallah ﷺ ne Farmaya.
-----------------
Meri ummat me *73 firqe* honge jisme se 1 hi Jannat me jayege to Sahaba (Ra) ne araz kiya Ki wo kon log honge?

*Rasoolallah ﷺ ne Farmaya wo jo mere or mere sahaba (رضی اللہ تعالیٰ عنہ) ke Tareeqe pe honge.*
 [Tirmizi:- 2641] (Islam 360)

 *Es hadees se yahi sabit hota hai ki 1 hi gorooh Jannat me jayega jo Rasoolallah ﷺ or sahaba (رضی اللہ تعالیٰ عنہ)  ke tariqe pe hoga.

▶ *1*) *Sawaal:-* Jo log kahte hai sab sahi wo *ye btaye ki kya ye Rasoolallah ﷺ ki peshangoi jhuthi thi  (nausubillah) ya Aapki baat sahi hai?*
-----------------------------------
Rasoolallah ﷺ ne Farmaya:-
 *Namaz waise padho jis trah tum ne mujhe padhte huye dekha.*
 [Bukhari : 631] (Islam 360)

 2)  *Sawal:-* Yaha Rasoolallah ﷺ ne kaha meri tarah namaz pdho to *jo log kahte hain sab sahi wo ye btaye ki kya Rasoolallah ﷺ ne jhoot kaha tha (Nausubillah) agar nahi to sab namaz ka tariqa sahi kaise ho sakta hai?*
-------------------------
Kuch imammo ke manne wale ye kahte hain ki hum bhi to Rasoolallah ﷺ ki Hadeeso ko hi mante hain ,Sahaba (رضی اللہ تعالیٰ عنہ), ko hi mante hain to wo log ye btaye ki kis hadees me hai ki.?

1 ) *Zaban se niyat ka padhna or niyat ki dua arabic me kis hadees me hai ??

2) Or ye bhi btaye ki kaun si hadees me hai ki *Aurat Seene par hath bandhe aur Mard naaf ke niche?
(Ye difference kon si Hadees me hai ki Specially Aurat seene pe hath bandhe?)

3) Kis Hadees me  hai ki *Nafil Namaz baith ke padhna chahiye.?.*

4 ) kis hadees me hai  ki *2 pair ke beech 4 ungli ka farq ho jab jamat me khare hoto ?*

5) kis hadees me hai ki jamat me *Qadam 1 doosre ka door rahe 1 doosre se,?

 *Es tarah or bhi deegar cheeze hain jiska Suboot kisi bhi hadees se nahi milta hai.*

 Esi liye jo log ye janna chahte hain ki kon Sa Maslak (Rasta) Sahi hai wo *Uper ke 5 sawalat Apne Aalim se pooche* or uski Hadees mange, Wo nahi de payenge kyuki hai hi nahi, *Fir bhi Aap unse hadees mange Taki aapko yaqeen ho jaye,*
(or dhayan dijiyega wo kuch "Logic" denge ki ye es wajah se hai, aise waise, deegar Samjhane ki koshish krenge aapko, Lekin aap Logic pe nahi jana, balke aap kahna jo bhi aap bta rahe hain wo muje hadees me dekha dijiye bus)

 *Fir aap Apne Raste ko Rasoolullah ﷺ ki Tarf le chale, kyuki wahi seedha or Sachha Rasta hai.*

 *Allah ne kaha Wo log momin nhi ho sakte jo Apne Ikhtelaf me Rasoolullah  ﷺ ko Faisala karne wala na man len.
------------------------------------------
 Al-Quran : Aap ke RABB ki Qasam ye Kabhi momeen nahi honge jab tak apne ikhtalaf mai aap ko munsif (faisla karne wala) na maan le phir aap ke faisle par apne dilo mai koi tangi na paye aur khushi se qubul karen
(Surah An-Nisa (4), 65)
---------------------------
*Jo log Imam ko manne ki baat karte hain wo ye zaroor jaan le ki 4 Imamo ne kabhi nahi kaha ki aap meri baat mano, balke yahi kaha ki hadees ko mano jab meri baat Hadees se Takraye to. 

a):-ईक़ाज़-अल-हिमम अल फुलानी (इमाम अबू हनीफा रह.)
b):-अल मजमु अन नववी (1/63) (इमाम शाफ़ई रह.)
c):- जामी बयान अल इल्म इब्न अब्दुल बर्र 1/775 (इमाममालिक रह.)
d):-ईक़ाज़-अल-हिमम (इमाम इब्नहम्बल रह.)

  *Yaad Rahe agar hamari Ebadat Rasoolallah ﷺ ki tarah na hui to qubool hi nahi hogi to koi fayeda nahi aisi ebadat ka.*

Allah hum sab ko Rasoolallah ﷺ ke Tariqe pe chalne wala banaye *(Aameen)*.

Share:

6 comments:

  1. Masha Allah . Musalamno ko apna muhasba karna chahiye, aur piro fakiro ke baat ke bahkawe me nahi aana chahiye.

    ReplyDelete
  2. Hindustan ka musalmaan Hinduo wala taur tareeqa apna liya hai, use pata hi nahi. Bahut sare converted Musalman hai jo Islam qubool karne se pahle jis jati aur gotra ko lekar apna rasm w riwaz apnate they wah aaj bhi usi tarike par chal rah hai. Kabhi Islam ko janane aur amal karne ki socha hi nahi.

    ReplyDelete
  3. India pak aur Bangladesh मे sabse jyada logo ke andar local taur tarike apna liye he.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS