Kya Aazan ke waqt Bat kiya ja sakta hai?
Kya Azaan ke Waqat Baat krne se Maut ke Waqat Kalma Naseeb nhi hota hai?*
------------------------------------------
*Aisi koi bhi baat Kisi bhi Sahi hadees se Sabit nhi hai.*❌
------------------------------------------
❌ *Kisi bhi Baat ko makhsoos khud se kar lena jisko Rasoolullah ﷺ ya Sahaba ,Tabaee (Salef e saleheen) ne nahi kaha hoto wo Bidaat hai.*
👉Rasool Allah ﷺ ne farmaya:-
👉 *Har bidat (deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.*
📚 [Sahi Muslim #2005 islam360]
*Beshak AZAAN ke Jawab dene ka bada Sawab hai Lekin Kalma Naseeb na Hone ki baat Sahi hadees se Sabit nahi*
------------------------------------------
👉 An-Nasr bin Sufyan(R.A) se bayan hai ke, *Hum Rasool'Allah(ﷺ) ke sath the ke Bilal(R.A) khade hokr azaan dene lge, jab wo khamoosh hue to Rasool'Allah(ﷺ) ne farmaya:- Jis shakhs ne in kalmat ki tarha kalmat (yani jawab Kahe), Wo Yaqeenan jannat me dakhil hoga.*
📚[Hadees Sunan Nasai No: 675]
👉 Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool-Allah ﷺ Ne Farmaya:- *“Jab Moazzin Azan De Toh Tum Bhi Unhen Kalamt Ko Duharao (yani Azan ka jawab do)”*.
📚[Hadees Sunan Ibn-e-Maja No: 718]
( *हर बात दलील के साथ*)
No comments:
Post a Comment