*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*
Hadith: Tumhare badan ka bhi tum par haq hai , aur tumhari biwi (wife) ka bhi tum par haq hai*
Abdullah bin 'Amr bin Al-'As Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Abdullah kya muijhe jo khbar mili sahi hai ki tum (Rozana) din mein roza rakhtey ho aur raat bhar ibadat kartey ho, mainey kaha ki haan ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam, to Aapne farmaya ki aisa na karo, Rozey bhi rakho aur bina rozey bhi raho raat mein ibadat bhi karo aur soya bhi karo, kyunki tumharey badan ka bhi tum par haq hai , tumhari aankh ka bhi tum par haq hai aur tumhari biwi ka bhi tum par haque (right) hai.*
*🔰{Sahih Bukhari, - 5199}*
Abdullah Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Do Naimatein aiseee hain ki Aksar log unki Qadar nahi kartey Sehat (Health) aur fursat (achchey kaam karney ke liye)*
*🔰{Sahih Bukhari, - 6412}*
No comments:
Post a Comment