find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ager Aapki Dua Qabool Nahi Ho Rahi Hai Aur Pareshaniya ho rahi Hai To Kya Kare?

Agar Aap par preshaniya aa rahi hain To usko dooor kaise kare?
------------------------------
Dua qubool nhi ho rahi ho to kya kare?
Aasan Elaj
Agar aap ke sath koi preshani aa rahi ho or dua qubool na ho rahi hoto Aapko dhayan dena chahiye ki

👉1) Kya aap *Namaz sahi se padh rahe hn (Jaise Rasoolullah ﷺ ne pdha)*.

👉2) Kya aap *din rat ke kisi amal me aisa amal krte hain jo Quran or sunnat ke khelaf hai?*

👉3) Kya aap *dekhawe ki Ebadat to nhi kar rahe hain?*

👉4) Ya koi bhi *Ebadat jo Faraiz me se hain usko ache se ada nhi kar rahe hain (Jaise Rasoolullah ﷺ or sahaba ka jo tariqa tha)*.

👉 *Kyuki agar aap ki Ebadat Rasoolullah ﷺ or sahaba ke tareeqe pe na hui to aap kitne bhi ache se ebadat kr le qubool* hi nhi hogi.
*To koi fayda nhi aisi ebadat ka jo qubool hi na ho.

📚 [Sahi Bukhari: 631]

*Aafat or Aazmaesh:-*👇👇
----------------------------------------------------------
👉Agar aap ke sath preshaniya aa rahi hain Namaz pdhne or deegar ebadat krne ke bad bhi to wo *Aafat or Aazmaesh dono ho sakti hai lekin dono me se kya hai wo janne ke liye aapko Ye dekhna hoga ki aapki ebadat ka tareeqa Rasoolullah* ﷺ ke tareeqe pe hai ya nhi?
👉 *kyu Aazmaesh Taqwe wale insan ko aati hai or Taqwa tabhi aata hai jab Aapki  ebadat Rasoolullah ﷺ ke tareeqe pe hogi*, eske liye aapko apne Ebadat ke tareeqe ke bare me janna chahiye ki ap jis tareeqe pe hain wo Rasoolullah ﷺ se sabit hai ya nhi.
👉 *Eske liye sbse acha tareeqa hai ki Allah or Rasoolullah  ﷺ ki kitabo ko pdhna.*
Allah ki kitab Quran or Rasoolullah ﷺ ki zindgi hadees (Bukhari, Muslim wagiara)

🔴 *Aapke haq me dua tabhi qubool hogi jab aapki khud ki ebadat Sahi hogi (pahle Dwa fir Dua)*

👉 *Allah ham sabko Rasoolullah ﷺ ki Ebadat ke tareeqe pe chalne wala bnaye aameen.
Jazakallahu-khairan-kaseera.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS