find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Valentine Day Manana Kaisa Hai?

VALENTINE DAY MANANA KAISA HAI
Prepared By : Bint e Iqbal



         *بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
__________________________________
Valentine day Ek aisa din hai jiska intezar aksar ladke-ladkiyan bahut hi besabri se karte hain Ke Valentine day aaye aur wo Allah ke Qanoono ko tod dale.
Bhale hi niyat ye na rahti ho kyunki bahut se log kam ilmi ka bhi shikar hote hai jiski ek sabse badi wajah Sahi ilm e deen se doori hai._
     Valentine day ki history jo bhi rahi hogi lekin aaj log is valentine day ke din sarey-aam khul kar zina karte hain.Jabke Allah ta'ala ne hame Zina ke qareeb bhi jane se mana kiya hai._
Allah Taa'la farmata hai_

"Khabardaar zina ke qareeb bhi na bhatakna, kyunki wo badi be-hayaayi hai aur bahut hee buri raah hai"
_(Surat Bani Israeel - 17 :32)_

_Agar Ham Ghaur karen to payenge ke Valentine Day ke din sirf aur sirf Allah ke Banaye Qanoono ko bedardi se toda jata hai. Jo ki ek musalman ke liye bahut hi sharmnaak baat honi chahiye._
_Aj log behayaai me itne doob chuke hai ke dekh kar koi pahchan nahi sakta ke kaun muslim hai aur kaun ghair muslim, jabki Allah ne musalman ki ek alag pahchan di hai, agar ek shakhs musalman lafz ke taqazo ko pura karne lage to wo sabse alag dikhega._

_Aaiye dekhte hain ke in behayaai phailane walo ke liye Allah Taa'la kya farma raha:_

_*▫▫ Jo log musalmaano mein be hayaayi phailaane ki aarzu mandh rehte hai, un ke liye duniya aur akhirat mein dardnaak azaab hai, Allah sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jaante."*_
_(Surat un Noor 24 : 19)_

_Kya ye ayat kaafi nahi Dilo me khauf bharne ke liye, ke wo dardnak azaab kab aur kaha a pakde aur duniya me zillat ka sabab bane. Yaad rakho musalmano Allah ka wada sachha hai Uska azaab kahin bhi aur kabhi bhi akar pakad lega aur duniya o akhirat dono me ruswa karega._

_Allah Taa'la ne Behayaai ki baato ko haram kaha hai._

_*"▫▫ Ap kah dijiye ke mere Rab ne to Behayaai ki baato ko Zahir ho ya Posheeda aur gunah ko aur Nahaq zyadti ko haram kiya hai."*_
_(Surat Ul Aeyraaf 7 : 33)_

_*▫▫ "Allah ta'ala adl(insaaf) ka bhalaayi ka aur qaraabat'daaro ko(Kharch se madad) dene ka hukm deta hai aur  be' hayaai ke kaamo, Aur Naa Maqool harkato aur zulm wa zyaadati se rokta hai, wo khud tumhe nasihate kar raha hai ke tum nasihat haasil karo"*_
_(Surat un Nahal 16 : 90)_

_Aye be-khauf musalmano Allah ki di hui nasihaton ka faida uthao kahi ye behayaai tumhe us Aag me na dhakel de jiska indhan patthar aur insan hain._

_Allah Taa'la musalmano ko hukm deta hai ke wo islam me pure pure dakhil ho jaaye warna shaytan to imanwalo ka khula dushman hai aur uska maqsad hi imanwalo ko bahkana aur jahannum ki taraf le jana hai._

_*▫▫" Imaan walo! Islaam mein pure pure daakhil ho jao aur shaitaan ke qadmo ki tabedaari na karo, wo tumhaara khula dushman hai."*_
_(Surat ul Baqara - 2 : 208)_

_*▫▫" Imaan waalo! shaitaan ke qadam ba qadam na chalo, jo shaqs shaitaani qadmo ki pairvi kare, to wo to be hayaayi aur bure kaamo ka hee hukm karega aur agar Allah ta'ala ka fazl wa karam tum par na hota, to tum mein se koyi bhi kabi bhi paak saaf na hota, lekin Allah ta'ala jise paak karna chaahe kar deta hai aur Allah sab sunne wala aur sab jaane wala hai.*_
_(Surat un Noor - 24 : 21)_

_Aur Jo log sahi raah bata dene ke bad bhi nahi mante unka anjam Allah Taa'la ne kuch is tarah bayan kiya hai._

_*▫▫ "agar tum ba-wajood tumhaare paas daleelen aa jaane ke bad bhi phisal jaao to jaan lo ke Allah ta'ala ghalba waala aur hikmat waala hai.*_
_(Surat ul Baqara - 2 : 209)_

_*▫▫ "Jo shakhs ba-wajood raah hidaayat ke waazeh ho jaane ke baad bhi Rasool (sallallahualaihi wasallam) ke khilaaf kare aur tamaam momino ki raah chhod kar chale,hum use udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahut hee buri jagah hai."*_
_(Surat un Nisaa : 115)_

_Aye musalmano daro, kahi tum us bhadakti hui aag me na daal diye jaao, kahi wo zina ka pal tumhari zindagi ka akhiri pal na ho aur tum is halat me na maro ke momin na ho Jaisa ke Hadees e Rasool hai_

_Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya *"koi shaks jab zina karta hai to ain zina karte waqt wo momin nahi hota.”
_(Sahih Bukhari,5578)_

Kya in Roshan Daleelo ke baad bhi ek musalman zina ke qareeb jayega aur behayaai karega?

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS