find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Logon Me Sabse Jyada Kise Aazmaish Me Dala Jata Hai?

LOGON MEIN SAB SE ZYAADA AAZMAAISH KA SHIKAAR KAUN HOTA HAI ?
Sa'd Bin Abu Waqqaas (RaziyAllaahu Anhu) kehte hain ke, Mai ne arz kiya,
Aye Allaah ke Rasool (Sallallaahu Alaihi Wa Sallam) ! logon mein sab se zyaada Museebat aur Aazmaaish ka shikaar kaun hota hain ?
Nabi (Sallallaahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaaya: "Ambiyaa (Prophets), phir unke ba'd jo martabey mein hai, phir jo unke ba'd hain.
Bandey ki Aazmaaish Uske Deen ke mutaabiq hoti hai, agar woh Deen mein sakht aur pukhta hai tou Aazmaaish bhi sakht hogi, aur agar Deen mein Naram aur Dheela hai tou museebat bhi usi andaaz se Naram hogi.
Museebaton se bandey ke gunaahon Ka kaffaara hota rehta hai yahaan tak ke bandah ruye zameen par is haal mein Chalta hai ke us par koi gunaah nahi rehta."
-
[Sunan Ibn Maajah, Hadees (Saheeh) : 4023 ; At-Tirmizee : 2398]
-
VAZAAHAT: Maloom hua ke jo bandah apne Eemaan mein jis qadar mazboot hoga usi qadar uski ibtelaa wa Aazmaaish bhi hogi.
Lekin is ibtelaa wa Aazmaaish mein uske liye ek bhalaayi ka bhi pehlu hai ke isse uske gunaah muaaf hote rahengey, aur bandah Allaah se is haal mein milega ke us par koi gunaah nahi hoga.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS