find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

JAMAT ME JANA KAISA HAI? Fazail-E-Aamal Ki Galtiyaan.

Jamat me jana kaisa hai?
Jamat  me jana behtar hai *lekin wo jamat Rasoolullah ﷺ ke Tariqe pe ho.

👉 Matlab jaise wo Tauheed ki dawat dete the  muslim or gair muslim dono me..or quran ki baat btatae the na ki Auliya ke aqwal jo ki Fazaile amal me maujodd hai.
👉or *Fazaile amal me bahhut sari galtiya hai jo Quran ke bhi khelaf hai or kitni hadeeso ke bhi.

FAZAEEL-E- AAMAL kitab me kitni galtiya daleel ke sath.
----------------------------------------------------------
Zaroor Padiye Aur Dusro Ko Bataiye

Jamaat se ek namaaz ka.sawab 3 caror 35 lakh 54 hazaar 400 sau 35 (jhut ki inteha)
📚Fazaile namaaz safa no : 42

👉Ek buzrug ki biwi roti rahi aur woh lambi lambi namaazo me mashgul rahe 
📚Fazaile namaaz safa no :  66

👉Ek wazoo se 12 tak sari namaaze 
15 baras musalsal nhi soye (world record)
📚Fazaile namaaz safa no : 64

👉Allah taala ne malikul maut ko bhejne ke baad wapas bula liya ek mahina baki tha (naoozubillaha nizaam ilahi me gad bad ki tohmat)
📚Fazile namaaz safa no : 10

👉Haseen khubsurat ladki ke liye 40 baras tak subha ki namaaz eesha ke wazu se padhi (shaikh abdul wahi sufi ka haseen ladki hasil karne ka tarika)
📚Fazaile namaaz safa no : 60

👉Girte paani se jhadte gunha imaam abu hanifa (r.h) dekh lete the (fazaile amaal ka.dawa)
📚Fazaile amaal safa no : 13

👉Jo shaks namaaz ko kaza karde baad me padh bhi le phir bhi 2 caror 28 lakh saal jehannam me jalega
📚Fazaile namaaz safa no : 36

👉Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
📚Fazaile namaaz safa no : 43

👉Shah abdul rahim raye puri ke khadim kai kai deen istanja nahi jaate the har jagah anwaar nazar aate tha ( yeh hinduo ka aqida hai)
📚Fazaile zikr safa no : 150

👉Dars quraan ki mumaniyat
📚Fazaile zikr safa no : 68

👉Sufiya ka farmula kam se kam rozana 25 hazaar baar la ilaha illallah ki miqdar
📚Fazaile zikr safa no.: 84

👉50 baras tak ek wazoo se eesha aur fazr ki namaaz 
(Imaam abu hanifa (r.h) ka tarika
📚Fazaile namaaz safa no : 66

👉Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
📚Fazaile namaaz safa no : 63

👉Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
📚Fazaile namaaz safa no : 43

👉Namaaz me.12 hazaar cheeze 
(Maulana zakariya ki khoj)
📚Fazaile namaaz safa no : 78

👉30 baras se jannat saamne arahi thi ise thukraya 
📚Fazaile zikr safa no : 162

👉Hazrat janeed ne shetan ko nanga dekha 
📚Fazaile zikr safa no : 43

👉Marne ka naya andaaz cheekh maari aur mar gai
📚Fazaile zikr safa no : 78

👉Maulana khalil ahmad ke aane se saara haram anwaar se bhar gaya (aur maulana se.pehle???)
📚Fazaile zikr safa no 30

👉Machli laane wale mazdur ke wasile se dua ki padosi ki apha'eej chalne lagi (kis kis ka wasila.loge??)
📚Fazaile namaaz safa no : 63

👉Imaam abu yusuf (r.h) aur imaam mohammad ke shagird mohammad bin samaa 200 rakte nafil namaaz rozana padhte the
📚Fazaile namaaz safa no : 63

👉Doraan namaaz jism ka hissa kata gaya pata nhi.chala (operation ka naya tareeka)
📚Fazaile namaaz safa no : 85

👉Roti se ibadat mein harj 40 saal se sattu faank rahe the
📚Fazaile zikr safa no : 24

👉Machli laane wale mazdur ke wasile se dua ki padosi ki aphaeej chalne lagi (kis kis ka wasila.loge??)
📚Fazaile namaaz safa no : 63

👉Khuwab me hazoor ne munh ko chuma 8 din tak munh se khushbu aati rahi
📚Fazaile darud safa no : 102

👉Nabi sallallaho alehi wasallam ki rooh aasman se utri haath mein roti thi
📚Fazaile darud safa no : 113

👉Ek ladki ne kunwe ke andar thuka paani kinare tak ubal aya (agar nazar uthti tou kya hota)
📚Fazaile darud safa no : 89

👉Nabi sallallaho alehi wasallam ka saya na tha 
📚Fazaile darud safa no : 121

👉Gair mehram aurat ke pait par nabi sallallaho alehi wasallam ne haath phera (astagfirullah)(Nauzubillah)
📚Fazaile darud safa no : 109

👉Hazoor ne irshad farmaya jis kisi ko koi zarurat ho qabar ke paas baith kar dua kiya kare (astagfirullah)
📚Fazaile darud safa no : 100

👉Witr ki ek rakaat me tamaam quraan majeed khatam (kya yeh mumkin hai ?)
📚Fazaile quraan safa no : 44

👉Nabi sallallaho alehi wasallam ne khuwab me lazeez zarda bheja tou haath se zaafran ki khushbu aa rahi thi (khub khao piyo)
📚Fazaile darud safa no : 114

👉Ek jahaaz dubne laga 300 martaba darud padha tou bach gaya (tabligiyo ki karamat)
📚Fazaile darud safa no : 88

Jazakallahu-khairan-kaseera..

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS