find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Allah Apne Gunahgaar Bande ki Dua Nahi Sunta?

Kya Allah apne Gunahgaar Bando ki Dua nahi Sunta?
📗Banda chahe gunahgaar ho ya nek Allah zarur apne har ek bande ki dua ko sunta hai aur jo manga gaya wo ataa bhi karta hai.
وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِى عَنِّى فَإِنِّى قَرِيبٌ ۖ أُجِيبُ دَعْوَةَ ٱلدَّاعِ إِذَا دَعَانِ ۖ فَلْيَسْتَجِيبُوا۟ لِى وَلْيُؤْمِنُوا۟ بِى لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُونَ

“Jab mere bande mere baare me aap se sawaal kare (to aap kehde ke) Mai bahut hi qareeb hoon har pukaarne wale ki pukaar ko jab kabhi wo mujhe pukaare qubool kaarta hoon isliye logo ko bhi chaahiye ke wo meri baat maan liya kare (yaani Allah ki farmabardari kare) aur mujh par imaan rakhe, yahi unki bhalaayi ka baayes hai”.

📗(Surah 02 Baqrah : Ayat 186)

Kya ham Shaitan Iblees se bhi zyada Gunahgaar hai?
Log kahte hai ke ham gunahgaar hai Allah hamari kaha sunega isliye ham Awliya ke Wasile se Dua karte hai.

Iska matlab apke Awliya Allah se zyada Raham karne wale hai. Lekin Khud Allah ne kaha ke wo Ar Rahman hai, Al Gafur hai.
Aap Allah se dua nahi mang rahe iska matlab ye hota hai ke aap Allah ko Ar Rahamn nahi samjte ho. Lekin Ye to kufr hai.
Iblees se zyada koi gunahgaar nahi ho sakta lekin usne kisi Farishte ya Adam (Alaihiwassalm) ke wasile ke bagair direct Allah se dua ki thi. Aur Allah uski dua ko qubul bhi kiya tha.

Aaj ke Musalmano se behtar Shaitan ka Aqeeda tha ke usko ye pata tha ke Allah ke alawa koi dusra nahi hai jo uske dua ko qubul kar sake.Usko ye bhi pata tha ke Allah se dua ke liye kisi Wasile ki zarurat nahi hai.

Shaitan ki Allah se Direct Dua is tarah thi.

“(Iblees) kahne laga ke : Aye mere Rab mujhe us din tak ki dheel (mauka) de ke log dubara utha khade kiye jaaye (yani Qayamat tak) ? (Allah ne kaha) ke achha tu un me se hai jinhe muhullat mili hai. Roze muqarrar tak ke waqt ki (yani Qayamat tak)”.

📙(Surah 15 Hijr : Ayat 36,37,38)

Dusri taraf ham sab ke Abbajan Adam aur Ammijan Hawwa (Alaihiwassalam) ne bhi unse Jannat me khata hojaane ke baad jab unko Jannat se nikal diya tha tab unone direct Allah se hi dua ki thi. Aur Allah ne unke tawba ko qubul bhi kiya tha.
Adam aur Hawwa (Alaihiwasslam) ne is tarah Tawba ki thi :

قَالَا رَبَّنَا ظَلَمْنَآ أَنفُسَنَا وَإِن لَّمْ
تَغْفِرْ لَنَا وَتَرْحَمْنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلْخَٰسِرِينَ

“Dono ne kaha: Aye hamaare Rab! Hamne apna bada nuqsaan kiya aur agar tu hamaari maghfirat na karega aur hum par rahem na karega to waqayi hum nuqsaan paane waalo me se ho jayenge".
📗(Surah 7 Araaf : Ayat 23)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Allahu Aalam Sawab.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS