find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Tauheed Ki Taarif (Definition Of Tauheed)

TAWHEED ki Taarif

BismillahirRahmanNirRaheem

📘Jawab :

(Aye Nabi) aap kahe dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur main mushriko mein nahi”.

📙(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)

☄Ahle ilm ne Quran wa sahih Hadees ke roshni me tawheed ki taarif is tarah bayan ki hai….

👍 Allah ko…

1⃣uske RAB hone me,
2⃣uski IBAADAT me,
3⃣uske “ASMA WA SIFAAT” me,

“ek” man’ne ka naam  “TAWHEED”  hai.

⚫🔴 Tawheed JINN aur INSAAN ke Paidaeesh ka Buniyaadi Maqsad hai:

✔ Allah ne farmaya:

🍃 “Ham ne Jinn aur Insan ko paida nahi kiya magar apne ibaadat ke liye”.

📙(Surah 51 Zariyaat : Ayat 56)

🍃 “Sirf Allah ki ibaadat karo aur us ke siwa tamaam Taghoot (Ma’aboodo) se bacho”.

📙(Surah 16 Nahl: Ayat 36)

✔ Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne farmaya ke Allah ne kaha:

🍃 “Maine mere saare bando ko KHALIS DEEN par paida kiya (yani Tawheed par aur Shirk se paak). Uske baad Shaitan unke paas aya and aur unko KHALIS DEEN se gumrah kiya. Shaiyateen ne halal ko haram banaya. Aur unko mere sath Shirk karne ki Dawat di jabke maine Shirk ki koi daleel nahi utari”.

📙(Sahih Muslim Jild 8 :159, Ahmad 4/162)

🍃 “Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi ki ibaadat Kare, Kisi Ko Uska Shareek Na Kare aur bando Ka Hak Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Kare Usay Azaab Na De”.

📙(Sahih Bukhari: 2856, Sahih Muslim : 30)

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS