Jannati aur Dozakhi Aurat ki misal
--------------------------------------------
Jannati Aurat
Jo faraiz (Namaz ,Roza,Parda wgaira) kre or Apni zuban se kisi ko Takleef na pahuchaye.
Dozakhi Aurat
Faraiz ada kre lekin Apni zaban se kisi ko Takleef pahuchaye to wo Dozakhi hai.*
-------------------------------------------------
Rasool-Allah ﷺ ke samne ek shaksh ne ek aurat ka zikr kiya ki Ya Rasool-Allah ﷺ falah aurat raat ko qayam karti hai aur din ko roza rakhti hai aur (ghar ka) kaam bhi karti hai aur sadqa bhi deti hai lekin apni zuban se padosiyo ko takleef deti hai to Aap ﷺ ne farmaya usmein koi khair nahi wo dozakh walon mein se hai. Phir us shakhs ne dusri aurat ke bare mein kaha ki falah aurat sirf farz namazein padhti hai aur (paneer ke tukde) sadqa karti hai lekin apni zuban se kisi bhi shakhs ko takleef nahi pahuchati to Rasool-Allah ﷺ ne faraya ye jannat walo mein se hai
📚[Al-Silsila As-Sahiha - 449]
No comments:
Post a Comment