find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Valentine day Aur Hmari Bahen Betiya ki Izzat Aur Hmari Gairat.

Valentine Day Ek Behyayi Ka Din.

( BEHAYAYI AUR BESHARMI KA EK AALAMI FESTIVAL)


Valentine's Day manana ALLAH ke Azaab ko Dawat dena hai.
Allah Taala Quran Majeed mein Farmaate hain.
Jo Log ye Chahte hain ki Musalmaano (Momino) mein Behayayi Phaile, Unke liye Duniya aur Akhirat mein Dardnaak Azaab hai.
Surah Noor
Surah Number - 24
Aayat Number - 19

Hum sab Jaante hain ki Valentine's Day Yahood-o-Nasara ka amal hai, Allah ke Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam ne Kabhi iski Taleem nahi diya, Phir bhi Kuch Na-Samajh Musalmaan Yahood-o-Nasara ki Nakal karte huye Valentine's Day Manate hain.
Jiske baare me Rasoolullah ﷺ ne Farmaaya.
 *Jisne jis Qaum (Religion) ke Tarike ko ikhteyaar kiya, Wo unhi me se hoga.*
Sunan Abu Dawood
Hadees Number - 3512
Quran mein Allah Taala ye bhi Farmaate hain.
Khabees ( Yaani Na-Paak) Auraten Khabees Mardo ke liye hain aur Khabees Mard Khabees Auraton ke liye hain, aur Pakiza Auraten Pakiza Mardo ke liye hain aur Pakiza Mard Pakiza Auraton ke liye hain.
Surah Noor
Surah Number - 24
Aayat Number - 26
Bahut se log ye bhi kahte hain ki Duniya me itne saare log manate hain, kya itne saare log Galat hain?
Jabki Allah Ne Quran me Saaf Saaf farmaya diya hai :-
Aksar log jo Zameen par abaad hain wo GUMRAH hain, Agar tum Unka kaha maan loge to wo tumhe Allah ka Raasta Bhula denge.*
Surah Anaam
Surah Number - 06
Aayat Number - 116
*Isliye Musalmaano se Muaddabana guzarish hai ki Besharmi aur Behayayi ke is Festival ko Celebrate na karen Aur Apne aapko Azaab-e-Elaahi se bachayen.
Kyuki 14 February ko kisi ki Beti aur Bahan ko Date dene se pahle ye Mat bhoolna ki Tum bhi Kisi Ladki ke Bhai aur Baap ho.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS