find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

NEW YEAR CELEBRATE KARNA, ISLAM KI NAZAR MEIN:​

NEW YEAR CELEBRATE KARNA, ISLAM KI NAZAR MEIN:​

TAHREER: HAFIZ MUHAMMAD SHAHED (Hyderabad)


Hum aise muashre Mein Rahrahe hai jiska har din pahle se zyadah pur fitan hota jaraha hai, ye Modern Muashre me hone waale fitnon, gunahon aur khatron ki Lapet me zyadatar naujawan (ladke aur ladkiya) dikhayi derahe hai, Aise hi fitnon me se ek fitna NEW YEAR CELEBERATE karna hai, jo Behayayi, bepardagi, Uryaniyath jaise khabees Gunahon Ka Majmoo'a Hai.
⭐NAYE SAAL PAR JASHAN MANANA KAB SE SHURU HUA?
Naye Saal par jashan manane ki ibteda (starting) chauhti (4th) sadi hijri me hui, sabse pahle Naam nihad Fatimi shi'yon ne Ye jashan Manaya.Taqi Ud Din Abul Abbas Ahmad Bin Ali Bin Abdul Qaadir Bin Muhammad Al Husaini Al Qaahiri Al Muqrizi (Mutawaffa:845H) Likhte Hain:
(وكان للخلفاء الفاطميين في طول السنة أعياد ومواسم، وهي موسم رأس السنة، وموسم أول العام، ويوم عاشوراء، ومولد النبي صلي الله عليه وسلم، ومولد علی ابن ابی طالب رضی اللہ عنہ، ومولدالحسن،ومولد الحسین رضی اللہ عنھم، ومولد فاطمۃالزھراء علیھا السلام،ومولد الخلیفۃالحاضر.))
"Faatmi Khulafa Ke Yahaan Saal Bhar Mein Kayin Tarha Ke Jashn Aur Mehfilon Ka In'eqaad Hota Tha Aur Woh Ye Hai. . . Saal Ke Iqtetaam Ka Jashn, Naye Saal Ka Jashn, Yaum E Ashoora Ka Jashn, Aur Milad Un Nabi Sallallahu'Alaihiwasallam Ka Jashn, Milad E Ali, Milad E Hasan wa Hussain, Milad Faatima RaziAllahuAnhum Aur Maujudah Khalifa Ka Milad Hota Tha."
{في الكتاب: المواعظ والاعتبار بذكر الخطط والآثار المعروف بالخطط المقريزية: ج1 ص490 الطبعة دار صادر بيروت، ونسخة الثاني: ج2 ص347 بتحقيق الدكتور محمد زينهم ومديحة الشرقاوي، ونسخة الثالث: ج2 ص436 بتحقيق خليل المنصور الطبعة دار الكتب العلمية}

Pata chala ke New year celebrate karna aur jashan Manana Asal shia wo rawafiz ki ijad karda Fuzool aur khabees Rasam hai, aur Eesayiyon Ne to Use khoob gale lagaya Aur dheere dheere Ye behayayi ki rasam wo jashan Musalmano Mein Bhi Dakhil hogayi,
Afsos ki baath to ye hai ke jo musalman New year celebrate karte hai, inhe ye tak ilm (knowledge) nahi hai ke hamare (islam ke) Mahine kaun kaunse hai? inme hurmat waale kaunse hai? Aur in mahinon ke naam kiya hai? Agar islam Me Naye saal (new year) ki Raath Ko festival ke taur par Celebrate karna jayez Hota to Sahaba kram (Rizi'Allahu anhum) Naye saal ke aaghaz par zaroor karte the aur Agar naye saal ko manana hi hota (shari'at me) to JANUARY par nahi balke MAAHE MOHARRAM ke aaghaz par hota, chunke islam me Naye Saal par murawwaja khushi manana Aur ise festival aur Eid Ki tarah celeberate karna Kitab o sunnat Se Sabith Nahi hai aur Aisa A'mal karna Shar'iat me Apni taraf se Eid aur khushi ka din muqarrar karna hai, islam mein saal ke sirf do (2) hi Eiden hai aur teesri eid ka koi tasawwur Nahi hai,
● jaisa ke Hadeese Rasoolﷺ hai: Syedna Anas bin Malik (Razi'Allahu Anhu) Bayan karte hai ke Rasoolullah ﷺ Madina me tashreef Laaye (Aur waha ke) Logon ke haan do Din the, jisme wo khel kood (khushi ke taur Par festival,tehwar celebrate) karte the, Aap ﷺ Ne (unLogon) se pucha ke Ye din kiya hai?
Unlogon ne kaha : Hum jahiliyyat ke daur me in dino me (Eid ke Roop me) khel kood Kiya karte the, (is par) Rasoolullahﷺ Ne Farmaya : "Beshak! ALLAH Ta'ala ne In (2 dino) ke badle inse Ache do Din diye hai, EID-UL-AZHA aur EID-UL-FITR".
☆Dekhiye:
(Sunan Abudaud, Kitab-ul-Salah, Hadees No.1134, imam hakim ne muslim ki shart par saheeh kaha,Hafiz Zubair Ali Zai ne is sanad ko saheeh kaha.)
Musalmano ke liye saal bhar mein khushi ke ye do din Allah ne Ata kardiye hai, iske elawa Musalman teesri eid Na ejad karsakta hai aur Na hi kisi din ko khas karke jashn mana sakta hai, to bhala ghair qaum Ke festivals (jaise new year, Christmas day,valentine day,diwali etc) aur deegar be huda rusoomaath ko kaise Mana sakta hai??
Imam Tawus Ibn Kaysan taba'ee Rahimahullah ne farmaya: Rasoolullah ﷺ Ne farmaya:"Tum log kisi mahine ko eid na bana lena aur kisi Din ko eid Na bana lena."
(Musannaf Abdul razzaq,kitab-us-siyam,j4,safa:291,H:7853 ba tahqeeq habeeb-ur-rahman A'zmi,Nusqatus sani:j4,s:225,h:7883 batahqeeq aiman nasruddin al zohri,nusqatus salis:j4,s:105,h:7995)
Is riwayath ki sanad tawus rahimahullah tak saheeh hai,magar ye riwayath Mursal hai.
is riwayath ki sharah Me imam ibne rajab hanbali Rahimahullah (795h) likhte hai:
"Darasal Musalmano ke liye siwaye us din ke jise shari'at Ne E'id Manane Ka Hukm diya ho, kisi aur din ko E'id Manana Ja'ez Nahi, chunanche Wo din yamul fitr,yaumul azha aur ayyame tashreeq hain, ye Saalana eidein hai, Jabke jum'ah ka din hafta war e'id hai, unke elawa kisi aur din ko e'id ya jashn ka mausam banana bid'at hai, jiski shari'at mein koi Asl Nahi."
(Lataif al-Ma'arif. Fima Li Mawasim al-Aam Min al-Waza'if:safa no.228,batahqeeq yaseen muhammad Al swas, nuskhatus sani:safa no.285 batahqeeq aamir bin ali yaseen.)
⭐QIYAMATH KI NISHANI HAI KE KUCH (NAAM NIHAD) MUSALMAN YAHOOD WO NASARA KE TAREEQON PAR CHALENGE:
Syedna Abu sa'eed (Razi'Allahu anhu) bayan karte hai ke Rasoolullahﷺ Ne farmaya :
"Yaqeenan! TUM log Apne se pahle Logon ki Baalisht dar baalisht aur qadam dar qadam Pairwi (follow) karoge, (yaha takKe) agar wo saandhe (chipkali ki nasal ka ek janwar) ki suraq (hole) me dakhil hue honge to tum bhi usme ghus jaaoge,hum (sahaba) ne Arz kiya: Aye Allah Ke Rasool ﷺ! Pichle Logon se murad YAHOOD WO NASARA HAI? Nabiﷺ Ne Farmaya:
"TO PHIR AUR KAUN?".
☆Dekhiye:
(Saheeh Bukhari:3456)
New year celebrate karna Eesayiyon ki mushabihath hai, jabke Syedna Abdullah Bin Omer (Razi'Allahu Anhu) Riwayat karte hai ke Rasoolullahﷺ Ne Farmaya:
((من تشبه بقوم فهو منهم.))
"Jo Jis Khoum (Mazhab Waalon) Ki Mushabihat Ekhtiyar Karega wo unhi me se hoga".
☆Dekhiye:
(SunanAbu Dawud, Kitab-ul-Libas:4031,Allama albani aur Hafiz Zubair ali zai ne hasan kaha hai.)
⭐YAHOOD WO NASARA JAB TAK RAZI NAHI HOTE JAB TAK UNKE MAZHAB KE TABE NA HOJAYE:
وَلَن تَرْضَىٰ عَنكَ ٱلْيَهُودُ وَلَا ٱلنَّصَٰرَىٰ حَتَّىٰ تَتَّبِعَ مِلَّتَهُمْ ۗ قُلْ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلْهُدَىٰ ۗ وَلَئِنِ ٱتَّبَعْتَ أَهْوَآءَهُم بَعْدَ ٱلَّذِى جَآءَكَ مِنَ ٱلْعِلْمِ ۙ مَا لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن وَلِىٍّۢ وَلَا نَصِيرٍ
"Aap se yahood wa nasaara har giz raazi nahi honge jab tak ke aap un ke maz'hab ke taabe na ban jaaye, aap keh dijiye ke Allah ki hidaayath hee hidaayath hai aur agar aap ne ba wajoodh apne paas ilm Aa jaane ke phir un ki qwaahisho ki pairvi ki, to Allah ke paas aap ka na to koyi wali hoga aur na madadgaar".
(Sureh baqrah,Ayat no.120).
⭐NEW YEAR KE NAAM PAR HONE WAALE BE HAYAYI AUR DEEGAR GUNAH:
31st december ki Raath ko khas Muslim Naujawan Ladke aur ladkiya aur deegar Mazahib ke log Na Jayez ta'lluqath ke saath manzare Aam dikhayi dete hai, Is raath naujawan Muslim ladkiyo me bepardagi, ghair mahrum ladko ke saath Najayez ta'lluqath, Hijab pahenkar Manzare Aam zina karna, Naujawan ladko ka is raath ghair mazhab ki tarah Patake jalana, Christians aur deegar kuffar ki Mushabihath Me Aakar Is raath cake kaatna, Uryaniyath, behayayi aur Aashiqi ke Naam par zina ke adde aur isi tarah Naach gana Aur music jaisi shaitani Kaam mein mulawwis hote hai.
~ Ye Musalman hai! Jinhein dekhkar sharmaye Yahood..!!
Is raath Kitne hi naujawan ladke Aur ladkiyan Apni izzath wo iffath aur paak damani ko khabees aur na paak karte hue nazar aate hai.
Akeli Aurath ka Ghair mard ke saath tanhayi ekhtiyar karna ya safar karna HARAM hai,
Abdullah bin abbas Razi Allahu anhu ne kaha ke Nabi ﷺ ne farmaya:
((لا يخلون رجل بامرأة إلا ومعها ذو محرم، ولا تسافر المرأة إلا مع ذي محرم.))
"Koi Aadmi kisi Aurath ke saath Hargiz tanhayi ekhtiyar Na kare, illa ye Ke uske saath koi Mahrum ho aur Koi Aurath Mahrum ke baghair Safar Na kare".
☆Dekhiye:
(Saheeh Muslim,kitab-ul-hajj:1341,Nusqah darus salam:3272-3274)
Neez Aap ﷺ ne farmaya:
((لا يخلون رجل بامرأة إلا كان ثالثهما الشيطان.))
"Jo aadmi Kisi (Na mahrum) Aurath ke saath tanhayi ekhtiyar karta hai to unke saath teesra Shaitan hota hai".
☆Dekhiye:
(Jame tirmizi:117, iski sanad ko Hafiz Nadeem zaheer Ne saheeh kaha hai.)
Akeli ladki ka boy friend ke Naam par ghair Mard ke Saath Safar karna, Parks Mein tanhayi ekhtiyar karna,ye sab zina hai,
Syedna Abu huraira Razi Allahu anhu bayan karte hai ke Rasool ullahﷺ Ne farmaya:
((لكل ابن آدم حظه من الزنا،واليدان تزنيان فزناهما البطش، والرجلان تزنيان فزناهما المشي، والفم يزني فزناه القبل.))
"Har insan ke liye Zina ka Hissa muta'yyan Hai, Haath zina karte hai, inka zina (Na mahrum ya behayayi cheezo) ko pakadhna hai, pair zina karte hai, inka zina (Na mahrum ya behayayi ki taraf) chalna hai aur Mun Zina karta hai uska Zina (Na mahrum) Ko bosa (kiss) lena hai, (Aage ki hadees me mazeed farmaya): Aur kaano ka zina (Na mahrum se) Sunna hai".
☆Dekhiye:
(Sunan Abu Dawood:2153-2154 ,Allama albani ne is hadees ko Hasan aur Hafiz Zubair ali zai ne saheeh kaha.)
Is hadees Mein Wazeh taur par batla diya ke Ghair mahrum chahe wo cousins ho ya koi aur Na mahrum, Aise ladke ke liye Ladki ko Haath lagana (Shari'ath Mein) Zina jaise khabees gunah se ta'beer kiya gaya hai Ya ladki ka Na mahrum ladke se phone par Bila uzr baath karne ko kaanon ke ZINA se ta'beer kiya gaya aur isi tarah Na mahrum mard wo aurath ka milna, chalna sab cheezein Fahash aur be hayayi par tiki hui hai.
⭐ISLAM NE ZINA AUR BEHAYAYI KE KAAMON KI SAKHTI SE MAZAMMAT KI HAI:
Allah ta'la ne farmaya:
((وَ لَا تَقۡرَبُوا الزِّنٰۤی اِنَّہٗ کَانَ فَاحِشَۃً ؕ وَ سَآءَ سَبِیۡلًا.))
"Khabardar! Zina Ke Khareeb Bhi Na Bhatakna, kiyunke Wo badi Behayayi hai aur bahut hi buri raah hai".
☆Dekhiye:
(Al-Qur'an: Sureh bani israeel, Ayat no.32)
((یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّبِعُوۡا خُطُوٰتِ الشَّیۡطٰنِ ؕ وَ مَنۡ یَّتَّبِعۡ خُطُوٰتِ الشَّیۡطٰنِ فَاِنَّہٗ یَاۡمُرُ بِالۡفَحۡشَآءِ وَ الۡمُنۡکَرِ ؕ.))
"Aye Eeman walo! Shetan kay qadam-ba-qadam na chalo. Jo shaks shetani qadmon ki pairwee keray to woh to bey hayaee aur buray kaamon ka hi hukum keray ga."(Sureh noor,ayat no.21)
Abu Amir razi Allahu anhu bayan karte hai ke Nabi ﷺ Ne Farmaya:
"Meri ummath mein aise BUREY log paida hojayenge jo ZINA KARI, resham ka pahenna, sharab peena aur GAANE BAJANE ko Halal banalenge".
☆Dekhiye:
(Sahih Bukhari Hadees:5590)
Aur ek hadees ke alfaz yun hai, Anas bin malik razi Allahu anhu bayan karte hai ke
((إن من أشراط الساعة أن يرفع العلم ،‏‏‏‏ ويثبت الجهل ،‏‏‏‏ ويشرب الخمر ،‏‏‏‏ ويظهر الزنا.))
Rasool ﷺ ne Farmaya: A'laamathe qiyamath Mein se ye hai ke (Deeni) ilm uthjayega aur johal hi johal (ignorancy) Zahir hojayega aur (Alaniyah) Sharab pee jayegi aur zina phail jayega".
☆Dekhiye:
(Sahih Bukhari Hadees:80)
Allah Se darne ka muqam hai, pichle khaumon ko Allah ne in jaise behayai aur deegar gunahon ki wajah se unpar azab ka kodha Naafis kiya, Ye ayath phirse humko Yaad dihani karati hai ke kaise Allah ne unke gunaho ke badle azab bheja,
Allah ta'ala ne farmaya:
((فَکُلًّا اَخَذۡنَا بِذَنۡۢبِہٖ ۚ فَمِنۡہُمۡ مَّنۡ اَرۡسَلۡنَا عَلَیۡہِ حَاصِبًا ۚ وَ مِنۡہُمۡ مَّنۡ اَخَذَتۡہُ الصَّیۡحَۃُ ۚ وَ مِنۡہُمۡ مَّنۡ خَسَفۡنَا بِہِ الۡاَرۡضَ ۚ وَ مِنۡہُمۡ مَّنۡ اَغۡرَقۡنَا ۚ وَ مَا کَانَ اللّٰہُ لِیَظۡلِمَہُمۡ وَ لٰکِنۡ کَانُوۡۤا اَنۡفُسَہُمۡ یَظۡلِمُوۡنَ.))
"Phir humne un sabko unke gunahon ke sabab pakadh liya inn mein say baaz per hum ney pathron ki barish barsayi aur inn mein say baaz ko zor daar awaz ney daboch liya aur inn mein say baaz ko hum ney zamin mein dhansa diya aur inn mein say baaz ko hum ney dobo diya, Allah Taalaa aisa nahi kay unn per zulm keray bulkay yehi log apni jano per zulm kertay thay".
☆Dekhiye:
(Sureh Ankabooth, ayat no.40)
⭐MUSALMANO! HAYA DAAR BANO:
Syedna Imran ibn husain Razi Allahu anhu se riwayath hai ke Rasool ﷺ Ne Farmaya:
((الحياء لا يأتي إلا بخير.))
"Haya se hamesha bhalayi paida hoti hai".(Saheeh Bukhari,kitab-ul-Adab:6117)
Anas Radhi Allahu Anhu Se Riwayath Hai Rasoolﷺ Ne Farmaya:
((ما كان الفحش في شيء إلا شانه، وما كان الحياء في شيء إلا زانه.))
Jis Cheez Mein Bhi Be-Hayai Hoti Hai Wo Isey Aibdaar Banadeti Hai Aur Haya Jis Cheez Mein Bhi Ho usey Zeenat Ataa Karti Hai".(Sunan-At-Tirmidi:1974,Is hadees ko Allama Albani ne saheeh kaha hai.)
Abu Saeed khudri Radhi Allahu Anhu Se Riwayath Hai, unhone kaha ke
((كان النبي صلى الله عليه وسلم أشد حياء من العذراء في خدرها.))
"Nabiﷺ parda nasheen Kunwari Ladkiyo Se Bhi Zyada Haya Wale the."(Saheeh bukhari,kitab-ul-Adab:6102)
Abu Mas'ood Radi Allahu Anhu Se Riwayath Hai, Allaah Ke Rasoolﷺ Ne Farmaya:
((إن مما أدرك الناس من كلام النبوة الأولى: إذا لم تستحي فاصنع ما شئت.))
"Sabeqa Anmbiya Ka Jo Kalaam jo Logo ko mila,usme ye bhi hai ke Jab Tum Mein Haya Na Rahi Tou Phir Jo Jee Chahe Wo Karo."(Saheeh Bukhari,kitab-ul-Adab:6120)
⭐WALIDAIN SE GUZARISH:
Walidain Se guzarish hai ke Apne ladke aur ladkiyo ki Deeni parwarish kare aur khud bhi nek A'maal bajalate rahe aur apni aulad ko jahannum ki Aag se bachaye, jaisa ke Allah ta'ala Ne hukm diya hai,
((یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا قُوۡۤا اَنۡفُسَکُمۡ وَ اَہۡلِیۡکُمۡ نَارًا وَّ قُوۡدُہَا النَّاسُ وَ الۡحِجَارَۃُ عَلَیۡہَا مَلٰٓئِکَۃٌ غِلَاظٌ شِدَادٌ لَّا یَعۡصُوۡنَ اللّٰہَ مَاۤ اَمَرَہُمۡ وَ یَفۡعَلُوۡنَ مَا یُؤۡمَرُوۡنَ.))
Aey eman walo! Tum apney aap ko aur apney ghar walon ko uss aag say bachao jiss ka endhan insan hain aur pathar, jiss per sakht dil mazboot farishtay muqarrar hain jinhen jo hukum Allah Taalaa deta hai uss ki na farmani nahi kertay bulkay jo hukum diya jaye baja laatay hain.(sureh Tahreem,ayat no.6)
Aur yaad rakhe jo walidain Apne bacho se door rahkar Deegar mumalik kamane ke khatir jaate hai aur unka maqsad ye hota hai ke unke bacho ka mustaqbil sanwar jaaye aur unki har khwahish poori karte rahte hai, ye nhi dekhte ke wo khwahish jayez hai ya najayez, apne haatho se ghar mein television( jo ke behayayi ka markaz hai) laakar rakh dete hai aur nau jawan ladkiyo ke haatho me mobile phone dekar unhe be-hayayi aur na mahrum se aashiqui ke naam par zina karne ka mauqa faraham kardete hai, iss tarah wo aulad ki deeni tarbiyath Na karne ki wajah se wo Kabhi new year ke naam par khuli be hayayi karte hai to kabhi chupke zina ka irtekab karte hai aur khud ye walidain iske zimmedar hai jo bacho ke mustaqbil banane ki Fikr me apni Aulad ko jahannum ke dahane tak pahuncha dete hai,
Allah ta'ala ne irshad farmaya:
((اِنَّ الَّذِیۡنَ یُحِبُّوۡنَ اَنۡ تَشِیۡعَ الۡفَاحِشَۃُ فِی الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَہُمۡ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ ۙ فِی الدُّنۡیَا وَ الۡاٰخِرَۃِ ؕ وَ اللّٰہُ یَعۡلَمُ وَ اَنۡتُمۡ لَا تَعۡلَمُوۡنَ.))
Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay. (Sureh Noor,Ayat no.19)
walidain sonche ke kahi is ayat ki zad me wo khud to nahi aarahe hai jo gharme behayayi ka dabba (tv) laakar rakhte hai ya mobile phone naujawan ladkiyo ko dila dete hai???


Aakhir me dua hai ke Allah hame Sacha aur Haqeeqi Musalman banaye, hamare naujawan ladkiyon ki izzaton ko bachaye aur inke ma baap ko hidayath de ke wo apne bacho ko zina ke darwazon se bacha sake.Aameen


Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS