find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Apne Bhai Ko Tohfe Me Phool Dena Sunnat Hai.

Apne Musalman Bhai Ko Tohfe me Mohabbat Ka Izhar Ke Liye Ek Dusre ko Phool (Flower) De

Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jisko hadiye ke taur par khushbu daar phool pesh kiya jaye to use chahiye ke wo ise Rad na kare, kyunke wo bahut halki aur kam qeemat cheez hai aur uski khushbu bhi achchhi hoti hai. (Muslim: 5883)
Faida: Phool jaisi kam qeemat cheez ko qubool karne se agar inkaar kiya jaye to iska bhi andesha hai ke pesh karne waale ko khayaal ho ke meri cheez kam qeemat hone ki wajah se qubool nahi ki gayi aur isse uski dilshikni ho. (Maariful Hadees)
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Chaar cheezein Ambiya ki Sunnaton mein se hai: Sharm-o-Haya, Khushbu lagaana, miswaak karna aur Nikaah karna. (Tirmizi: 1080)
#Sunnat  #tohfemephool #tohfa #MusalmanBhai
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS