find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Fashion ka Matlab hai, Taur Tareeqa Andaaj or Riwaaj

Fashion Ka Matlab Hai: Taur Tareeqa, Andaaz or Riwaaj.

 Banao Shingaar Achchi Cheez Hai or Islam Ne Iski Ijazat Bhi Di Hai Lekin Shart Ye Hai Ki      Kitab o Sunnat Ka Lihaz Rakha Jaye.
Parda Aur Imaan
                Aurat Ki Zeeb o Zeenat Uskey Shauhar (Husband) Ka Haq Hai. Mard o Aurat Apne Aapko Saaf or Khoobsurat Rakhne Ke Liye Kai Cheezon Ka Istimaal (Use) Kar Sakte Hain.
Lekin Aaj Kal Ke Ladke or Ladkiyon Ne Najaaiz Fashion Shuru Kar Diya Hai Jo Paise or Waqt Ki Barbaadi Hai.
Yaad Rakhen Insaan Ki Khoobsurti Ke Liye Shar’ee (Islaami) Banao Singaar Hi Kaafi Hai. Allah Ta’ala Ka Irshad Hai:
يَٰبَنِىٓ ءَادَمَ قَدْ أَنزَلْنَا عَلَيْكُمْ لِبَاسًا يُوَٰرِى سَوْءَٰتِكُمْ وَرِيشًا ۖ وَلِبَاسُ ٱلتَّقْوَىٰ ذَٰلِكَ خَيْرٌ ۚ ذَٰلِكَ مِنْ ءَايَٰتِ ٱللَّهِ لَعَلَّهُمْ يَذَّكَّرُونَ​
Tarjumah: Aye Adam (Alaihissalam) Ki Aulaad! Hum Ne Tumhare Liye Libas Paida Kiya Jo Tumhari Sharamgaahon Ko Bhi Chupaata Hai Or Mojib e Zeenat Bhi Hai (Means Usse Zeenat Bhi Hoti Hai) or Taqwa Ka Libas, Ye Usse Badh Kar Hai. Ye Allah Ta’ala Ki Nishaniyon Mein Se Hai Taaki Ye Log Yaad Rakhen.
Surah al A’araaf, Surah No:7 Ayat No: 26
Zara Gaur Karen Is Ayat Mein. Allah Ne Jo Libas Sab Se Betar Bataya Hai Wo Konsa Libas Hai. Wo Taqwa Ka Libas Hai Halanki Islam Ne Ek Had Mein Rehte Hue Fashion Ki Ijazat Di Hai Lekin Taqwa Sab Se Behter Hai.
Aurtein Apne Shauhar (Husband) Ke Liye Banao Singaar Kar Sakti Hain. Wo Baal Dhoyen (Hair Wash Karen), Tail (Oil) Lagayen, Kanghi Karen (Comb), or Agar Baal Safaid Ho Jayen To Mehandi Lagayen. Miswaak Ya Toothpaste Se Daant (Teeth) Saaf Karen, Khoobsurat or Mazboot Banayen. Aankhon Mein Surma Lagayen. Achche Joote (Shoes) Pehnein or Nakhun (Nails) Kaaten.
Yaad Rakhen Jab Hum Kitab o Sunnat Ke Mutabiq Apna Fashion Bana Lenge To Aman o Sukoon Hamara Muqaddar Ban Jayega.
Aaj Hamarey Mu’ashre (Society) Mein Aisa Fashion Riwaj Paa Raha Hai Jo Mamnoo’ Hai. Tang, Mukhtasar or Bareek Libas Pehanna Theek Nahi Hai. Mardon Ka Aurton or Aurton Ka Mardon Jaisa Libas Pahenna or Masnoo’ee (Banawti) Baal Lagana Jaaiz Nahi Hai. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Hain:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ لَعَنَ اللَّهُ الْوَاصِلَةَ وَالْمُسْتَوْصِلَةَ، وَالْوَاشِمَةَ وَالْمُسْتَوْشِمَةَ ‏"‏‏.‏​
Tarjumah:Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Sar Ke Qudrati Baalon Mein Masnoo'ee (Artificial) Baal Lagane Waliyon Par or Lagwane Waliyon Par or Goodne Waliyon Par or Gudwane Waliyon Par Allah Ne La'nat Bheji Hai. Sahih Bukhari: 5933
Fuzool Faishon Karne Se Bahut Saari Bemaariyan Janam Leti Hain.
Gair Zaroori Faishon Ke Bahut Ziyada Nuqsanaat Hain. Skin Ki Bemaariyan, Allergy, Balon Ka Girna Aur Nakhun Badhane Se Jism Ke Andar Germs Dakhil Ho Jaate Hain. Paise Bhi Barbaad Hote Hain. Artificial Eyebrows, Nakhun Aur Baal Jaldi Kharaab Ho Jaate Hain. Powder, Lipstick Aur Lotions Baar Baar Khareedne Padte Hain. Jabki Allah Taala To Fuzool Kharchi Se Mana Farmaata Hai:
يَا بَنِي آدَمَ خُذُوا زِينَتَكُمْ عِنْدَ كُلِّ مَسْجِدٍ وَكُلُوا وَاشْرَبُوا وَلَا تُسْرِفُوا ۚ إِنَّهُ لَا يُحِبُّ الْمُسْرِفِينَ​
Tarjumah:* Aye aulad e Adam! Tum masjid ki har hazri ke waqt apna libas pehan liya karo. Aur khoob khao aur piyo aur hadd se mat niklo. Be-shak Allah hadd se nikal jaane walon ko pasand nahi karta.
Surah Al-A’raaf, Surah No: 7 Ayat No: 31
Waqt, Sehat, Maal Aur Salahiyat Allah Taala Ki Taraf Se Amanat Hai. Agar Hum Unhein Bekaar Ke Kaamon Mein Istemaal Karenge To Allah Taala Ke Haan Gunehgaar Honge.
Jo Fashion Laazmi Nahi Usey Chor Den Aur Apni Zindagi Ko Khushguwaar Banayen.
Quran o Hadees Ne Hamein Khoobsurat Aur Saaf Rehne Ke Liye Kai Tareeqe Bataye Hain. Agar Hum Un Par Amal Karen To Haseen o Jameel Ban Jaayenge.
Lekin Logon Ka Haal Yeh Hai Ki Woh Western Culture Ki Zahiri Chamak Dhamak Dekh Kar Usey Apnane Ki Koshish Kar Rahe Hain.
Yaad Rakhen! Fuzool Fashion Ka Dunya Aur Akhirat Mein Sirf Nuqsan Hi Nuqsan Hai.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS