find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ghar se wuzu karke Masjid mein farz Namaj ke liye jane pae Hajj par jane Jitna Sawab hai.

*☘🌿Assalamu Alaikum wa*
*Rahamatullahi wa*
*Barakatahu🌿☘*
_______________________________
*🌿Bismillahirrahmanirrahim🌿*

*👉Hadith : Ghar se wuzu karke Masjid mein farz namaz ke liye jane par hajj par jane jitna sawab🌿☘*

*👉Hazrat Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apne ghar se wuzu karke farz namaz ki niyyat se nikle to usko utna sawab milega jitna ki ehram baandh kar hajj par jane ka hota hai, aur jo shakhs duha (ishraq ya chasht) ki namaz ki niyyat se nikle aur uski khatir takleef bhi bardasht kare to uska sawab umrah karne wale ki tarah hai aur jo namaz ek namaz ke baad ho aur uske beech koi behuda baat ya kaam na kiya jaye to wo namaz illiyeen mein likhi jayegi🌿☘*

*👉📗Sunan Abu Dawud,jild 1,556-Sahih*

*👉Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab tum mein se koi shaksh achchi tarah wudhu karke Namaz ke liye nikalta hai to Dahina (right)🌿☘*

*👉Qadam uthate hi Allah Subhanahu uskey liye ek neki likh dete hain aur bahina (left) Qadam uthate hi uska ek gunaah maaf kar dete hain so ab jo chahe(masjid se) Qareeb rahe ya dur rahe, phir jab wo Masjid mein aakar namaz Parhta hai to usko bakhsh diya jata hai🌿☘*

*👉📗Sunan Abu Dawud, Jild 1, 561-Sahih*
__________________________________
*🕋Deen-E-Islam Ki Batein🕊*
          *Islamic Group*
                 
*📡Telegram channel ke liye link follow kare*
              👇
https://t.me/DeeneIslamkiBatein
*_🎙By-Shamim Alam_*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS