find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ghar ki Aafat se bachne ke liye Janwer Palna islam Me kaisa Hai

Ghar ki Aafat se Bachne ke liye Janwar Paalna Kaisa Hai

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari​
Sawaal
Bahut se log ghar mein is liye janwar paalte hain ke agar ghar mein koi aafat aayegi to pehle janwar par aayegi, is tarah ka aqeedah rakhna kaisa hai?
Jawaab:
Sab se pehle hamein yeh jaan lena chahiye ke hamaare upar jo bhi museebat nazil hoti hai woh hamaare kartooton ka nateeja hoti hai jaisa ki Allah Taala ka farmaan hai:
وَمَا أَصَابَكُم مِّن مُّصِيبَةٍ فَبِمَا كَسَبَتْ أَيْدِيكُمْ وَيَعْفُو عَن كَثِيرٍ​
  Tarjumah:* Tumhein jo kuch museebatein pahunchti hain woh tumhare apne haathon ke kartoot ka badla hai, aur woh to bahut si baaton se dar-guzar farma deta hai.
*(Surah Ash-Shoora, Surah No: 42 Ayat No: 30)
Ek doosri jagah Allah Taala ka irshad hai:
مَّا أَصَابَكَ مِنْ حَسَنَةٍ فَمِنَ اللَّهِ ۖ وَمَا أَصَابَكَ مِن سَيِّئَةٍ فَمِن نَّفْسِكَ​
*Tarjumah:* Tujhe jo bhalaayi milti hai woh Allah Taala ki taraf se hai aur jo buraayi pahunchti hai woh tere apne nafs ki taraf se hai.
*(Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 79)
Agar Allah ki taraf se nazil-shuda in masaaib se hamein bachna hai to janwaron ko paalne se museebat nahi khatm hogi balki achche aamaal karna padega aur jin buraiyon ki wajah se aise din dekhne pade un se tauba karni padegi. Allah Taala gunaahon aur buraiyon se tauba karne par mu’aaf karne ka wada karta hai. Us ka farmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا تُوبُوا إِلَى اللَّهِ تَوْبَةً نَّصُوحًا عَسَىٰ رَبُّكُمْ أَن يُكَفِّرَ عَنكُمْ سَيِّئَاتِكُمْ وَيُدْخِلَكُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي مِن تَحْتِهَا الْأَنْهَارُ​
*Tarjumah:* Aye imaan walo! Tum Allah ke saamne sachchi khalis tauba karo. Qareeb hai ke tumhara Rabb tumhare gunah door kar de aur tumhein aisi Jannaton mein daakhil kare jin ke neeche nehrein jaari hain.
*(Surah At-Tahreem, Surah No: 66 Ayat No: 8)
Deegar masaaib o mushkilaat aur buraiyon se bachaao aur un ko mitaane aur bakhshwaane ka zariya neki aur aamaal e saleha anjaam dena hai, farmaan e ilaahi hai:
إِنَّ الْحَسَنَاتِ يُذْهِبْنَ السَّيِّئَاتِ​
Tarjumah:* Beshak nekiyan buraiyon ko door kar deti hain.
  (Surah Hood, Surah No: 11 Ayat No: 114)
Jo log yeh aqeedah rakhte hain ke janwar paalne se museebat chali jaati hai ya ghar ki museebat pehle janwar par nazil hoti hai is liye ghar mein janwar paalna chahiye aise aadmi ka yeh aqeedah baatil aur faasid hai. Yaad rakhen aasman mein jis ke liye jis bala (museebat) mein giraftar hone ka Allah ki taraf se faisla ho jaata hai woh bala (museebat) usi shakhs par nazil hoti hai use koi taalne waala nahi siwaye Allah Taala ke, lehaza momin ko Quran se saabit yahi aqeedah rakhna chahiye, Allah ka farmaan hai:
وَإِن يَمْسَسْكَ اللَّهُ بِضُرٍّ فَلَا كَاشِفَ لَهُ إِلَّا هُوَ ۖ وَإِن يَمْسَسْكَ بِخَيْرٍ فَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ​
*Tarjumah:* Aur agar tujh ko Allah Taala koi takleef pahunchaaye to us ka door karne waala siwaaye Allah Taala ke aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taala koi nafa’ pahunchaaye to woh har cheez par poori qudrat rakhne waala hai.
*(Surah Al-An’aam, Surah No: 6 Ayat No: 17)*
Is baat ko Allah Taala ne doosri jagah is andaaz mein bayan kya hai:
أَمَّنْ يُجِيبُ الْمُضْطَرَّ إِذَا دَعَاهُ وَيَكْشِفُ السُّوءَ وَيَجْعَلُكُمْ خُلَفَاءَ الْأَرْضِ أَإِلَهٌ مَعَ اللَّهِ قَلِيلًا مَا تَذَكَّرُونَ​
*Tarjumah:* Be-kas ki pukaar ko jab ke woh pukaare, kon qabool kar ke sakhti ko door kar deta hai? Aur tumhein zameen ka khalifa banaata hai, kya Allah Taala ke saath aur ma’bood hai? Tum bahut kam naseehat o ibrat haasil karte ho.
*(Surah An-Naml, Surah No: 27 Ayat No: 62)*
Momin ko yeh aqeedah bhi rakhna chahiye ke Allah ke siwa chaahe Nabi ho ya Wali koi bhi nafa’ aur nuqsaan ka zarra barabar bhi maalik nahi, Allah ka farmaan hai:
قُلْ إِنِّي لَا أَمْلِكُ لَكُمْ ضَرًّا وَلَا رَشَدًا​
*Tarjumah:* Keh dijiye ke mujhe tumhare kisi nafa’ nuqsaan ka ikhtiyar nahi.
*(Surah Al-Jinn, Surah No: 72 Ayat No: 21)
Is Aayat mein Nabi ﷺ ka bayan hai ke main tumhare liye kuch bhi nafa’ aur nuqsaan ka maalik nahi hun, aur jo ghair e Nabi hain chaahe Wali, Peer, Murshid, Aalim, Aabid bhi hon woh bhala kaise bala (museebat) taal sakte hain aur nafa’ pahuncha sakte hain? Yeh baat us waqt ki hai jab Nabi ﷺ zindah the yani zindah Nabi kisi ke liye nafa’ aur muqsaan ka maalik nahi to jo murda hain woh bhala zindon ko kya faida pahuncha sakte hain? Aap khud andaza laga len.
والله أعلم بالصواب​

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS