find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Janwaron ke Huqooq.

As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu


Bismillah hir rehma nir raheem
  

                      jaanwaron ke huqooq


RASOOL ALLAH SWS ne irshad farmaya ki jo insan kisi bhi gaureya wagairah chidiyan isse bhi kam tar janwar ko naahaq qatl karega to ALLAH TAA'ALA uske bare me Qayamat ke din sawal karenge? Arz kiya gaya ki Ae Allah ke RASOOL SWS uska haq kya hai?? Aapne farmaya uska haq ye hai ki tum usko zibah karo to usko khaao; yeh nahi ki uska sar kaat kar fek do 
NISAI, HAAKIM SAFHA 204 JILD 3 !!
NABI SWS ne irshad farmaya ki jo shakhs chidiyan aur jaanwar ki bekar mar dalega to wo Qayamat ke din Baa-awaaz buland ALLAH TAA'ALA se shikayat karengi aur kahengi ki AE MERE PARWRDIGAR falan ne mujhe yuhi bekar maar dala tha aur kisi nafa hasil karne ke liye nahi mara tha ki uska maqsad mujhe khana raha ho 
NISAI; IBN E MAJA SAFHA 204 JILD 2 !!
Hazrat ibn e abbas (ra.) Se revayat hai ki Nabi SWS ne jaanwaro ko ladane se mana farmaya hai 
ABU DAWOOD, TIRMIDHI SAFHA 210 JILD 3 !!
Hazrat ibn e umar (ra.) Se revayat hai ki NABI SWS ne irshad farmaya ki ek aurat ek billi(Cat) ki wajah se Dozakh me dakhil hui usne usko baandh diya na kuch khilata aur na usko choda ki zameen ke keede khaye
BUKHARI SAFHA 209 JILD 3 !!
Ibn e abbas (ra.) Farmate hai ki ek shakhs ne bakri ki litaya fir choori tez karne lagq to NABI SWS ne farmaya ki kya tum usko do maut maarna chahte ho ? Usko litane se pehle hi tumne choori Kyo na tez kar li thi
TIBRANI; HAAKIM SAFHA 204 JILD 3 !!
Hakimul ummat maulana Ashraf ali thanvi ne janwaro ke yeh huqook bataye hai
Jis janwar se koi makool fayeda mutallik ho usko qaid na Kare bil-khusoos baccho ko ghosla se nikal lana aur unke maa-baap ko pareshan karna badi berehmi hai
Jo janwar kabile intefa ho unko bhi mahez mashgale ke taur par qatl na kare
Jo janwar apne kaam me hai unki khurdonash rahat khidmat ka poore taur se ehtimam kare unki kuwwat se zyada unse kaam na len unko hadd se zyada na mare; jin janwaro ko zabah  karna ho to tez auzar se jaldi kaam tamam kar den usko tadpaye nahi bhookha pyasa rakh kar jaan na len
HUQUKUL-ISLAM SAFHA 5 !!
Share:

1 comment:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS