find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ayeb poshi karna seekhen.

AYEB POSHI KARNA SEEKHEN

 Tehreer : Shaykh Abdul Ghaffar Salafi , Banaras​*
Transliteration By: Bint e Iqbal​
_________________________
Hum mein se har insaan ki zindagi ki kitaab mein kuch aise awraaq (panne) zaroor hote hain jinhein hum kabhi manzar e aam par lana pasand nahi karte. Aise lamhe har insaan ki zindagi mein atey hain jab woh nafs ki pairwi mein ya shaitan ke behkawe mein aa kar aisi harkatein kar baithta hai jin par woh poori zindagi pachtata hai. Hamare aamaal ki yeh siyaahiyan agarche hamare safayed aur ujle kapdon mein nazar na aati hon magar us zaat ko to hamare ek ek pal ki khabar hai jo A'alimun bizaatis sudoor hai (yani seeno me chhupi baato ko janne wala), uski rehmat dekhiye ke woh apne Afoo (maaf karna) aur karam se hamare un ayebon par parda daal kar hamein ruswa hone se bacha leta hai, agar woh aisa na karta aur hamare tamam aamaal aur harkaat manzar e aam par aa jate to hum mein se har shakhs soche ke aaj muashre (society) mein uski kya position hoti? ​
Azeezan e Girami! jab Allah ne hamare be shumaar ayebon par parda daal rakha hai to kya yeh baat hamein Zeb deti hai ke hum dusron ki jasoosi karte phiren, unke naqais (kamiyon) aur ayebon ko talaash karen aur phir unhen muashre mein beizzat karen. Zara sochiye agar izzat o zillat ka maamla Allah ne insanon ke haath mein diya hota to hum mein se koi shakhs apne hareef (dushman) aur muqabil ko kabhi ba izzat zindagi guzaarne hi na deta aur shayad har shakhs zillat o khwari ki zindagi guzaar raha hota. Yeh to us kareem ki shaan e kareemi hai ke usne izzat o zillat apne haath mein rakhi hai :
"Tu jise chahe izzat de aur jise chahe zillat de, tere hi haath mein sab bhalaiyan hain beshak tu har cheez par Qadir hai ."
*( Al- Imran : 26 )*
Aaj duniyawi mukhalfaton aur mukhasamaton (jhagdon) mein har shakhs apne dushman ki izzat ke suraagh me hai, uski aabroo uchhaalne mein masroof hai, uske ayebon ka dhindhora peetne mein laga hai. Magar yaad rakhiye yeh cheeze mominana kirdaar ke manafi (ulat) hain. Ek momin to hamesha apne momin bhai ke ayebon par parda dalta hai taake kal qayamat ke din Rabbul Alameen khud uske ayebon par parda daale. Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasalam farmate hain :
"Jo bandah duniya mein kisi bande ke ayeb chupayega qayamat ke din Allah uske ayeb chupayega."
*( Sahih Muslim : 2590 )*
Yahi wajah hai ke dusron ki tooh mein lagne aur jasoosi karne se hamari Shariat mein sakhti se mana kiya gaya hai. Allah ke nabi sallallaho alaihi wasalam farmate hain :
" agar tum logon ki posheeda baton ke peeche padoge, to tum unmein fasaad paida kar doge, ya qareeb qareeb fasaad ke halaat paida kar doge" .
*( Abu Dawud : 4888 Sahih by Al-Albaani)*
Aaj hamara haal yeh hai ke kisi ke ikhlaq o aadaat se mutalliq agar koi naazeba (namunasib) baat hamein maloom hoti hai to hum usey fauran muashre mein phailaane mein lag jate hain. Jab ke yeh bohat bada gunah hai, iska azaab akhirat ke sath sath duniya mein bhi milta hai. Allah Ta'ala farmata hai :
"Jo log musalmanon mein behayaai ki baat phailane ke arzoo mand rahe hain unke liye duniya aur akhirat mein dard naak azaab hai Allah sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jante."
*( An-noor : 19 )*
is aayat ki Tafseer mein Hafiz Ibn e kaseer ne musnad Ahmed ki ek hadees naqal ki hai. Hazrat Saubaan kehte hain ke Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasalam ne farmaya :
" Allah ke bandon ko iza (takleef) na do, unhen aar na dilao (kisi bure amal par sharm dilana), unki khufia baton ki tooh mein na lagey raho. Jo shakhs apne musalman bhai ke ayeb tatolega Allah uske ayebon ke peeche pad jayega aur usey yahan tak ruswa kerega ke uske ghar wale bhi usey buri nazar se dekhne lagenge ".
*(Musnad Ahmed : 5 / 289)*
*(Sheikh Albani Rahimaullah ne is hadees ko Sahih Ibn Majah me hadees no. 2546 par zikr kiya hai.)* 
Azeezan e graami !
Zara in nusoos ki roshni mein hum apna muhasba ( jaaiza) karen. Aaj har shakhs dusron ki ayebjoi ko apna pasandeeda mashghalah (shauq aur aadat) banaye hue hai. Dusron ke aib par parda daalna to door ki baat hai hamein kisi ka aib maloom ho jaye to hum usey sar e bazaar beizzat karne par tul jate hain. Kaash hum yahi soch kar dusron ki ayeb poshi karte ke kal qayamat ke din hamein is baat ki shadeed zaroorat hogi ke Rabbul Alameen hamare ayebon par parda daal kar hamein ruswa hone se bacha le. Allah hamein is haqeeqat ko samajhney ki taufeeq ataa farmaye .
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS