find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

India Me Islam Kab Aur Kaise Aaya?

Hindustan me Deen e Islam kaun Laya aur Kab aaya?

Post thoda bada hai padhne ke liye  sirf 2 minute lagenge
Is posts me kuch aisi baate hai jo 99% musalman nahi jaante hai  darasal koi unhe batane wala hai hi nahi.
kya aap jaante hai hamare pyare nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hindustan ka  adrak ka achaar khaye hai aur sahaba bhi
Hazrate Anas Razi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki
  Kuffar-e-Makkah Ne Rasool’Allah Sallallahu AlaihiWa sallam) Se Ye Darkhwast Ki, Ke Apni Nabuwat Ki Koi Nishaani Batlaiye?
To Rasool Allah Sallallahu AlaihiWa sallam) Ne Chaand Ki Taraf Ungli Se Ishaara Kar ke Chaand Ke Tukde Ho Jana Dikha Diya
Bukhari 3637, Muslim 7076
Hazrate Abdullah Bin Masud Razi’Allahu Anhu Se Riyawat Hai Ke -
Rasool’Allah Sallallahu AlaihiWa sallam Ke Zamane Me Chaand Taqseem Ho Kar Do Tukde Ho Gaya Tha, Aur Aap Sallallahu AlaihiWa sallam Ne Farmaya Tha Ke  “Logon Is Par Gawah Rahna
Sahih Al-Bukhari” Book 56, Hadith 830
Rasool Allah Sallallahu AlaihiWa sallam Ka ye Mubarak Mojza Dunya Bhar Ke Logon Ne Dekha, Usme Se Ek Hindustan Ke Raja Cheraman Perumal Bhi The Jo Tehkik Kar Khud Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Hatho Basharfe Islam Huve Aur Sahabi Ka Sharf Hasil Kiya
MOJZA-E-RASOOL
Chaand Ke Do Tukde Hone Par Raja Cheraman Ki Iman Lane Ki Dasta
CHERAMAN PERUMAL 622-628 CE, 1-7 Hijri
Kodungallur Kerala Ka Raja Tha. Ek Raat Apne Mahal Se Dekha Ke Aasman Me Chaand Ke Do Tukde Hogaye
  M.Hamidulla Apni Kitab “Muhammad Rasoolullah (SAW)” Me Is Waqiye Ko Bakhubi Nakal Karte Hain. Ye Kitab London Ke INDIA OFFICE LIBRARY (Refrence Number: Arabic 2807,152-173) Me Maujood Hai
Jab Kuch Log Malabar Ke Raaste China Jarahe The Unhone Cheraman Perumal Ko Ye Bayan Kiya Ke Ye ARAB Me Rahne Wale Rasool, Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Allah Ki Maddad Se Kiye Hai
Cheraman Perumal Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baare Me Sun Kar Hairaan Hogaye. Cheraman Peruman Ne Ye Suna Tha Aur Maloom Tha Ke Ek Shakhs Arab Me Hai Jo Ek ALLAH Ki Daawat De Raha Hai  Wo Apne Aap Ko ALLAH Ka Rasool Kehta Hai,
Kuch Sahaba, Shaykh Sahirudhin ke Sath Raja Cheruman Perumal Se Mulakat Ki Aur Kaha Ke, Wo Arab Se Aye Hain Aur Wo Musalmaan Hain, Wo Srilanka Ja rahe Hain Tijarat Ke Silsile, Raja Cheraman Perumal Jo Islam Se Wakif Tha Un Sahaba Se Islam Ke Baare Me Sunkar Khush Hogaya Aur Kaha Ke Jab Wo Sahaba Wapas Arab Jayen To Use Bhi Sath Lekar Jayen
DALEEL
THUHFATHUL-MUJAH-e-DEEN By Ahmad Zainudhin Makhdum Kitab “KERALOPATHI” Me Likha Hai:
  Fir Cheruman Perumal Hajj Ke Liye Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Milne Ke Liye Un Sahaba Ke Sath Nikal Pada
RAJA PERUMAL KA SAHABI KA SHARF HASIL KARNA
Raja Perumal Ne Nabi SallallahuAlaihi Wasallam Se Milkar, Bayt Lekar Musalman Huva Aur Apna Naam *TAJUDHIN* Rakh Liya
Abu Saeed Al-Khudri Razi’Allahu Anhu Farmate Hain Cheraman Perumal Ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko *Adrak Wala ACHAR* Diya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Use Chakha Aur Apne Sahaba Ko Bhi Diya
Hadees Ki Kitab Al-Musthadrak; Kitab Al-Hakim Vol-4, Page-150
Cheraman Perumal, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Milkar Aur Hajj Karke Jab Wapas Laut Rahe The, To Wo Bimaar Hokar Saltanat-e-Omaan Ke Shehar Salaalah Me Unki Wafaat Hogayi,
Cheraman Raja Yaani Tajudin Razi’Allahu Anhu Ka Khath Lekar Malik Bin Deenar Razi’Allahu Anhu 13 Sahaba Ke Sath Hindustan Aaye,
Cheramal Perumal Ki Puri Kahani Ke Waqiye Ko Imam Ibn Hajar Al-Asqalani Ne Apni Kitab
AL-ISABAH Vol.3, Pg.279 Aur LISAN AL-MIZAAN Vol.3, Pg.10 Me Likha Hai
CHERAMAN PERUMAL KI WASIYAT: HINDUSTHAN ME ISLAM KI DAWAT
Cheraman Perumal Ne Apni Wafaat Se Pahle Apne Shehar Walon Ko Ek Khat Likhkar MALIK BIN DINAR Razi’Allahu Anhu Jo Ki Sahaba-e-Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Se The, Unke Haaton Dediya,
Aur Kaha Ke Wo Kerala Jakar Islam Ko Failaye Aur Ek Masjid Tameer Kare. Malik Bin Dinar: A’imaa Aur Fuqaha ne Unhe Hadees Ke Tehkeek Me Ek Bharosemand Raawi Kaha Hai.
Malik Bin Dinar Razi’Allahu Anhu Qabul Shehar Me Paida Huve, Aur Wo Ek Parsi Ghulam Ke Bete The
  Malik Bin Dinar Razi’Allahu Anhu 99 Ki Umr Me Shehar-e-Basra Me Unki Wafaat Huvi (748 C.E)
  Hindustan Me Sabse Pehle Islam Lanewale Malik Bin Deenar Razi’Allahu Anhu Hi The
HINDUSTAN ME PEHLI MASJID*
Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Ne Pahli Masjid Hindustan Me 629 C.E Me Kodungallur Thrissur, NH17, Kerala Ke Shehar Me, Raja Varma Kulashekhara Jo Ki Hindustan Ka Pehla Musalman Tha, Uski Madad Se Is Masjid Ko Banaya, Is Masjid Ko Banane Ke Liye Raja Rama Varma Kulashekhara Ne Arathali Namak Ek Jagah Masjid Ke Liye De Di,
Malik Bin Dinar Is Masjid Ke Qazi Bane Rahe, Baad Me Habib Bin Malik Is Masjid Ke Qazi Bane. Is Masjid Ko *CHERAMAN JUMA MASJID* Kahte Hain
Ye Masjid Aaj Bhi Maujood Hai. Malik Bin Dinar Ne Hindustan Me Dusri Masjid, Takreeban *642 C.E* Me Thalangana, Railway Station Rd, Kasaragod, Kerala Me Tameer Kiya. Is Masjid Ko *MALIK-IBN-DINAR MASJID* Kahte Hain. Ye Masjid Aaj Bhi Maujood Hai
Rasool’Allah Sallallahu AlaihiWa sallam Ki Wafaat 632 C.E Me Huvi, Aur Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Hindustan 629 C.E Me Aaye Aur Islam Ki Dawat Aam Ki, Masjiden Tameer Ki -
  Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Ki Aamad Ke Waqiye Aur Saboot Se Ye Maloom Hota Hai Ke Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dour Me Hi Islam Hindustan Me Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Ke zariye Aa Chuka Tha.
Kuch na samajh logo ka kahna hai Hindustan Me khwaja nahi Aate to deen kaha se Aata tha mere Bhai khwaja kab paida huwe 1142 me aur wafat 1236 me Hindustan Me deen to unse 600 saal pahle aa chuka tha 629 me bani ye Masjid gawah hai,.
AZMAT SIRF ALLAH KA HAQ​
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS