find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Azmat sirf Allah ka Haque Hai.

✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
🌼🌸🌼🌸🌼🌸🌼🌸🌼🌸

         🌹 *AZMAT SIRF ALLAH KA HAQ* 🌹

🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

*👉🏻Topic : - Jo log kahte hai ke Nabi sallallahu alaihi wasallam se bhi maangna jayez hai unn ke liye Qur'an e Kareem ki kuch aayate hai zara dhiyan se padhe.*

   *قُلۡ لَّاۤ  اَمۡلِکُ  لِنَفۡسِیۡ  نَفۡعًا وَّ لَا  ضَرًّا  اِلَّا مَا شَآءَ اللّٰہُ ؕ وَ لَوۡ کُنۡتُ اَعۡلَمُ الۡغَیۡبَ لَاسۡتَکۡثَرۡتُ مِنَ الۡخَیۡرِۚ  ۛ وَ مَا مَسَّنِیَ  السُّوۡٓءُ   ۚ ۛ اِنۡ  اَنَا  اِلَّا  نَذِیۡرٌ وَّ بَشِیۡرٌ  لِّقَوۡمٍ  یُّؤۡمِنُوۡنَ ۱۸۸*

   *(Aye nabi) Aap farma dijiye ke main khud apni zaat-e-khaas ke liye kisi nafay ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kisi nuksan ka magar utna hi jitna Allah ta"ala ne chaha ho aur agar main ghaib ki baate janta hota to main bauhat se fayede hasil kar leta aur koi nuksan mujh ko na pauhnchta main to sirf darane wala aur khushkhsbri dene wala hu unn logo ko jo iman rakhte hain.*

*surah : al aaraf*
*aayat : 188*

    *قُلۡ  اِنِّیۡ  لَاۤ  اَمۡلِکُ لَکُمۡ ضَرًّا وَّ لَا رَشَدًا ﴿۲۱﴾*

   *(Aye nabi) aap Kah dijiye ke mujhe tumhare kisi nuksan aur fayede ka ikhtiyar  nahi.*

*surah : al jinn*  *aayat : 21*

  *لَیۡسَ لَکَ مِنَ الۡاَمۡرِ شَیۡءٌ اَوۡ یَتُوۡبَ عَلَیۡہِمۡ  اَوۡ  یُعَذِّبَہُمۡ فَاِنَّہُمۡ ظٰلِمُوۡنَ ﴿۱۲۸﴾*

  *(Aey paighambar!) Aap ke ikhtiyar mein kuch nahi Allah Ta"alaa chahe to unn ki tauba qabool kare ya azab de kyu ke woh zalim log hain.*

*surah : aal e imran*  *aayat : 128* 

 💢 *inn tamam aayato se saaf taur par zaahir hota hai  ke hamare har qisam ke nafey aur nuksan ka maalik sirf ek Allah ta"ala hi hai is liye aye logo sirf ek Allah ta"ala se hi maango kyu ki Allah ta"ala ke siwa koi hamara  madadgar nahi hai aur Allah ke Nabi sallallahu alaihi wasallam ki mohabbat ki aad me Allah ta"ala  ki ghustakhi mat karen.*

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS