find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label islam me ilm ki ahmiyat. Show all posts
Showing posts with label islam me ilm ki ahmiyat. Show all posts

Fazail-E-Durood Quran ki Raushani Mein.

*🔘FAZA'IL E DUROOD QURAN KI ROSHNI MEIN🔘*

*🖋 Tehreer : Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpoori Hafizahullah*

⦿ Allah Farmaata hai ke:
وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ
“ { Aye Nabi } Hamne aapka Zikr Buland kiya ”
*{ Surah Al Inshirah # 4 : 94 }*

*Ahle ILM ne iskey 3 mu’aani bayan kartey hain.*
1) Nabuwwat o Risaalat ke La’zwaal Aizaaz se aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Maqaam o martaba ko buland naseeb farmaayen.

2) Akhirat me aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke zikr ko buland kiya. Jaisa ke duniya mein buland aata farmaayi.

3) Allah taala ke zikr ke saath Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka bhi zikr hoga.

Sayyiduna Abu Sa’eed Al Khudri RaziAllahu Anhu bayan karten hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :
أتاني جبريل، فقال : إن ربى وربّك يقول : كيف رفعت لك ذكرك ؟ قال : الله أعلم، قال : إذا ذكرت ذكرت معي
“ Jibrayl mere paas aaye aur bataya : “ Aapka aur mera Rab farmata hai ke : “ Maine aapka Zikr kaise buland kiya ?? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : “ Allah hi bahtar jaanta hai.” Allah taala ne farmaya : “ Jab mera zikr kiya jaayega to mere saath aapka zikr bhi kiya jaayega ”.
*{ Tafseer At Tabri # 30/235 }*
Is Hadees ko Imaam Ibn e Hibban Rahmatullah Alai ne { 3382 } Saheeh qarar diya hai.

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat e babarkat par Durood o Salam padhna ek Momin ka haq hai. Jo Maa Baap ke Haq se badhkar hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Zaat e giraami par durood o Salam padhna darasal Hukm e Ilaahi ki Tameel hai aur Aap sallallahu alaihi wasallam ke saath Walihaana Mohabbat o Aqeedat ki Alaamat o nishaani hai. Kyunki Muhibb apne Mahboob ke zikr e khayr me Mashgool rahta hai. Nabi e paak Sallallahu Alaihi wasallam ke zikr e khayr se koi Ghafil hi mahroom ho sakta hai. Ye Mubaarak Amal Allah aur uskey Farishton ki sunnat hain.

*FAZA’IL E DUROOD QURAN E KAREEM KI ROUSHNI MEIN :*
Irshaad e Bari Taala hai :
إِنَّ اللَّـهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
Bilashubah ALLAH aur uske Farishtey Paighambar par Durud bhejtey hain, Momino ! Tum bhi unpar durud o Salam bheja karo “
*{ Surah Al Ahzaab 56 }*

Imaam e Mufassireen, Allamah Tabri Rahmatullah Alai farmatey hain ke :
وقد يحتمل أن يقال : إن معني ذلك أن الله يرحم النبي، وتدعو له ملائكته ويستغفرون
Is ayat ka ye Maani karna bhi mumkin hai ke ALLAH ne Nabi Sallallahu Alai Wasallam par Rahem farmaata hain aur Allah ke farishtey aap Sallallahu Alai Wasallam ke liye Duwa o Astaghfaar kartey hain ”.
*{ Jaami ul Bayaan Fii Taweel Al Quran, (Tafseer At-Tabri) # 19/174 }*

Shaareh e Bukhari, Haafiz Ibn e Hajar { 852 – 773 H } Rahmatullah Alai, Allamah Haleemi se naqal kartey huwe likhte hain ke :
معنى الصّلاة على النبى صلى الله عليه وسلّم تعظيمه، فمعنى قولنا : اللهم صل على محمّد، عظم محمدًا، والمُراد تعظيمُه فى الدّنيا بإغلاء ذكره وإظهار دينه وإبقاء شريعته، وفي الآخرة_ بإجزال مثوبته وتشفيعه فى أمته وإبداء فضيلته بالمقام المحمود، وعلى هذا، فالمُراد بقوله تعالى

صلوا عليه﴾ أدّعوا ربكم بالصلاة عليه)
“ Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam par Durud ka Maani Aap Sallallahu Alai Wasallam ki Ta’zeem hai. Ham jab اللَّهُمَّ صل عَلٰی محمّد kahte hain to muraad  yeh hoti hai ke Aye Allah ! Mohammad Sallallahu Alahi Wasallam ko Azmat ataa farma. Duniya mein Aap Sallallahu Alai Wasallam ko Azmat deney se murad aapke zikr ko buland karna, aapke Deen ko ghalib karna aur Aapki Shariyat ko baaqi rakhna hai, jabke Aakhirat mein Aap Sallallahu Alai Wasallam ko Azmat deney se murad aapke sawab mein izafah, aapki apni Ummat ke liye Shafaat ko qubool karna aur maqam e Mahmood ke zariye aapki fazeelat ko zahir karna hai. Is maane ke lehaaz se Allah taala ke farmaan (صَلَّوْا عَلَيه) ka matlab yeh hai ke Apne Rabb se duwa karo ke wo Aap Sallallahu Alai Wasalam ko Azmat ataa farmaaye “.
*{ Fatah ul Bari Sharah Saheeh Al Bukhari # 11/156 }*

Haafiz Ibn e Qayyim { 691 - Rahmatullahalai likhte hain ke :
بل الصّلاة المأمُور بها فيها هي الطلب من الله ما أخبر به عن صلاته وصلاة ملائكته، وهي ثناء عليه وإظهار لفضله وشرفه، وإرادة تكريمه وتقريبه، فهى تتضمّن الخبر والطلب، وسمّى هذا السؤال والدّعاء منا نحن صلاة عليه لوجهين؛ أحدهما أنه يتضمّن ثناء المُصلى عليه والإرادة بذكر شرفه وفضله والإرادة والمحبة لذلك من الله تعالى، فقد تضمّنت الخبر والطلب، والْوجْهُ الثاني أنّ ذلك سمى مِنا صلاة لسؤالنا من الله أن يصلي عليه، فصلاة الله عليه؛ ثناؤه وإرادتُهُ لرفع ذكره وتقريبه، وصلاتنا نحن عليه؛ سُؤالنا الله تعالى أن يفعل ذلك به
“ Is Ayat e Kareema mein jis durud ka Hukm diya gaya hai, wo Darhaqeeqat ALLAH taala se uski aur uske farishton ke Durud ki talab hai. Isme Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ki Sanaa, aap ke Fazl o sharaf ka izhaar aur Aapki Takreem o qurbatt ka iraadah hain. Is durud mein khabar { Aap Sallallahu Alai Wasallam se Aqeedat ka izhaar } aur Talab { Allah se aap Sallallahu Alai Wasallam ke liye sawaal } dono cheezen maujood hain. Hamari taraf se is sawal aur dua ko durud do (2) wajah se kaha gaya hai. Ek to isliye ke jab Namazi Nabi e Akram Sallallahu Alai Wasallam par durud padta hai to usme aap Sallallahu Alai Wasallam ki madad aur aapki Sharf o Fazeeliyat ka zikr hota hai nezz is wajah se ALLAH taala ki Muhabbat ka iraadah hota hai. Yu isme khabar aur Talab dono maujood hain. Hamare sawaal aur hamari dua ko durud kahe jaane ki doosri wajah yeh hai ki Ham ALLAH taala se aap Sallallahu Alai Wasallam par durud karne ke dua kartey hain. Allah taala ka durud darr haqeeqat aap Sallallahu Alai Wasallam ki Sanaa aur Aap Sallallahu Alai Wasallam ke zikr ko buland karna aur Aap Sallallahu Alai Wasallam ko apna qurb Ataa farmaana hota hain. Jabkey hamarey durud padhne ka matlab yeh hota hai ke ham ALLAH taala se aisa karne ki duwa karte hain.
*{ Jala ul Afhaam – Safa # 162 }*

Imaam e Ahle Sunnah, Haafiz Ibn e Kaseer Rahimahullah { 700 – 774 H } farmatey hai ke :
والمقصود من هذه الآية أنّ اللہ سبحانه و تعالى أخبر عباده بمنزلة عبده ونبيه عنده فى الملا الأعلی؛ بأنه يثنى عليه عند الملائكة المقربين، وأنّ الملائكة تصلّي عليه، ثم أمر تعالى أهل العالم السفلي بالصلة والتسليم عليه، ليجتمع الثناء عليه من أهل العالمين؛ العلوى والسفلي جميعا
“ Is Ayat se Maqsood Allah taala ka apney bandon ko yeh Khabar dena hai ke uske yaha Aasmaano me uske bande aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka kya Maqaam hai. Yaani Allah taala apne Nabi ki Muqarrab farishton ke paas Tareef karta hai. Nezz farishte aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye Rahmat ki duwa karte hain. Phir Allah taala Khaaki jahan walon ko bhi Hukm deta hai ke wo bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par durud o Salam padhen. Taake Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Tareef Aalam e baala aur Aalam e khaaki dono jahaon se jama ho jaaye.
*{ Tafseer Ibn e Kaseer # 6/457 }*

*[Dekhiye: Maahnama Assunnah Jhelum, Shumara No: 80_86

Share:

Duniya Ki fikr karne wale.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا شُعْبَةُ،‏‏‏‏ عَنْ عُمَرَ بْنِ سُلَيْمَانَ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ عَبْدَ الرَّحْمَنِ بْنَ أَبَانَ بْنِ عُثْمَانَ بْنِ عَفَّانَ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِيهِ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ خَرَجَ زَيْدُ بْنُ ثَابِتٍ مِنْ عِنْدِ مَرْوَانَ بِنِصْفِ النَّهَارِ،‏‏‏‏ قُلْتُ:‏‏‏‏ مَا بَعَثَ إِلَيْهِ هَذِهِ السَّاعَةَ إِلَّا لِشَيْءٍ سَأَلَ عَنْهُ،‏‏‏‏ فَسَأَلْتُهُ،‏‏‏‏ فَقَالَ:‏‏‏‏ سَأَلَنَا عَنْ أَشْيَاءَ سَمِعْنَاهَا مِنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ،‏‏‏‏ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ،‏‏‏‏ يَقُولُ:‏‏‏‏  مَنْ كَانَتِ الدُّنْيَا هَمَّهُ،‏‏‏‏ فَرَّقَ اللَّهُ عَلَيْهِ أَمْرَهُ،‏‏‏‏ وَجَعَلَ فَقْرَهُ بَيْنَ عَيْنَيْهِ،‏‏‏‏ وَلَمْ يَأْتِهِ مِنَ الدُّنْيَا إِلَّا مَا كُتِبَ لَهُ،‏‏‏‏ وَمَنْ كَانَتِ الْآخِرَةُ نِيَّتَهُ،‏‏‏‏ جَمَعَ اللَّهُ لَهُ أَمْرَهُ،‏‏‏‏ وَجَعَلَ غِنَاهُ فِي قَلْبِهِ،‏‏‏‏ وَأَتَتْهُ الدُّنْيَا وَهِيَ رَاغِمَةٌ.

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जिसको दुनिया की फ़िक्र लगी हो तो अल्लाह तआला इस पर उस के मुआमलात को बिखेर देगा, और मोहताजी को इस की निगाहों के सामने कर देगा, और उस को दुनिया से सिर्फ वही मिलेगा जो उस के हिस्से में लिख दिया गया है, और जिसका मक़सद आख़िरत हो तो अल्लाह तआला उस के मुआमलात को ठीक कर देगा, उस के दिल को बेनियाज़ी अता करेगा, और दुनिया उस के पास नाक रगड़ती हुई आएगी।

🌹Nabi kareem ﷺ ne farmaya: jis ko duniya ki fikar lagi ho to Allah taala is par is ke mamlaat ko bikher kar dega, aur mohtaji ko is ki nigahon ke samne kar dega, jab is ko duniya se sirf wohi milega jo iske hisse mein likh diya gaya hai, aur jis ka maqsad akhirat ho to Allah taala is ke mamlaat ko thik kar dega, is ke dil ko be neyazi ataa karega, aur duniya iske paas naak ragadti hui aayegi.

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، جس کو دنیا کی فکر لگی ہو تو اللہ تعالیٰ اس پر اس کے معاملات کو پراگندہ کر دے گا، اور محتاجی کو اس کی نگاہوں کے سامنے کر دے گا، جب اس کو دنیا سے صرف وہی ملے گا جو اس کے حصے میں لکھ دیا گیا ہے، اور جس کا مقصود آخرت ہو تو اللہ تعالیٰ اس کے معاملات کو ٹھیک کر دے گا، اس کے دل کو بے نیازی عطا کرے گا، اور دنیا اس کے پاس ناک رگڑتی ہوئی آئے گی ۔

🌹Messenger of Allah (ﷺ) say: “Whoever is focused only on this world, Allah will confound his affairs and make him fear poverty constantly, and he will not get anything of this world except that which has been decreed for him. Whoever is focused on the Hereafter, Allah will settle his affairs for him and make him feel content with his lost, and his provision and worldly gain s will undoubtedly come to him.”

📚 _*Sunan ibne majah: jild 5, kitab Az-Zuhd 37, hadith no. 4105*_
*Grade sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Ilm Uth Jayega.

*​​​​​​​​​​​​​​🌴 ​•‍━━•••◆◉ ﷽ ◉◆•••‍━━•​🌴​​​​​​​​*

```🔥علـــم اٹھ جائے گا```

🌴عبداللہ بن عمـــــر رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسولﷺ نے فرمایا : *اللہ تعالٰی اس عــلم کو لوگوں کے سینــوں سے نکال کر قـبض نہیں فرمائے گا ۔بلکہ عــــلماء کو قبض فرما کر علم کو (بھی ) قبض فرمائے گا جب علماء باقی نہ رہ جائیں گے تو لوگ جــاہلوں کو اپنا ســــردار بنالیں گے ۔تویہ لوگ ان سے مســئلہ دریافت کریں گے تو وہ بغیــر عــلم کے فتـــویٰ دیں گے ۔خود گمـــراہ ہوں گے اور دوســـروں کو گمـــراہ کریں گے*​(متفق علیہ)

🌴حضرت عبادہ بن صامت رضی اللہ عنہ  سے اس حدیث کے متعلق دریافت کیا گیا تو فرمایا : *اگر تم اس کا معنی جاننا چاہتے ہو تو تم کو بتلاتا ہوں کہ سب سے پہلا عــــلم جو لوگوں سے اٹھے گا وہ ​"خــــشوع"​ ہوگا*

🕯👈🏿حضرت عبادہ رضی اللہ عنہ نے یہ اس لیے فرمایا کیونکہ علم کی دو قسم ہے ،ان سے ایک یہ کہ اس کا نتیجہ اور پھل انسان کے دل میں ہوتا ہے اور یہ عـــلم اللہ کی خــشیت ،اس کے جــــلال ،اس کی محــبت ،اس سے امیـــد اور اس پر تــوکل کا مقتضی ہوتا ہے اور یہی *​"عــــلم نافـــــع​"* ہے

📚🌴⁩┈┈┈┈•✶✾✶•┈┈┈📚🌴

Share:

Sahaba jaisa Imaan laane ka Hukm Quran ke kin Ayaton me Diya Gaya.

📮 *Sahaba jaisa Iman laane ka hukm Qur'an ke kin Ayaton me diya gaya:*

📗04-06-1439.

💠Baad me aane wale tamam Muslims ko Qur'an ke in ayaton me Sahaba Jaisa Iman laane ke liye hukm diya gaya:

1⃣ *Surah 02 Baqrah: Ayat 137*

2⃣ *Surah 04 Nisa'a: Ayat 115*

3⃣  *Surah 09 Tawbah: Ayat 100*

⚡⚡⚡

Ab ye dekhna hai ke Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ke alawa Sahaba kaun kaunse Imamo ki Pairawi kya karte the?

In ayato ke Roshni me apna jayeza kar le ke kya waqai hamara Iman Sahaba Jaisa hai?

🔹🔹🔹 *Allahu Aalam Bis-Sawab.*

*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*

🖌 *Published by :*

_*Roman-Urdu Islamic Blog*_

💫 *SIRF - _Salsabiil Islamic Research Foundation._*

📜 *SIRF-Web address:*

💚 *May Allah accept our this small effort and May keep us away from RIYA.*

*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*

Share:

Ilm Hasil karna Har Mard Aur Aurat Par Farz hai.

.                      *हमारा और*
              *अइम्मा अर्बा का मनहज*
                        
        ❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
*JP🖌__________________________*
*पोस्ट 1⃣3⃣*
*➖➖➖➖*
2⃣0⃣ *किसी मसअले का इल्म ना होतो*
             *"मैं नहीं जानता" कहना*
*➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖*
*अलहैसम बिन जमील रहिमहुल्लाह फरमाते हैं*
जब इमाम मालिक से 48 सवालात पूछे गए तो मैं ने देखा की आप ने 32 सवालों के जवाब में कहाः मैं नहीं जानता।

*(सियरु आलामिन्नुब्ला 8/77)📚*
*➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖*
*इब्ने वहब रहिमहुल्लाह फरमाते हैं*
अगर मैं चाहूं तो एक दफ्तर इमाम मालिक के इस कौ़ल *"ला अदरी"* (मैं नहीं जानता) से भर सकता हूं।

*(सियरु आलामिन्नुब्ला 8/108)📚*
*➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖*
2⃣1⃣ *ग़लती क़बूल करना और*
           *उस से रूजू करना*
*➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖*
*अबूहनीफा रहिमहुल्लाह ने अबू यूसुफ रहिमहुल्लाह से फरमायाः*
याकूब तेरा बुरा हो जो कुछ भी मुझसे सुने ना लिख लिया कर इस लिए की आज मेरी राय होती है तो कल बदल जाती है और कल एक राय होती तो परसों बदल जाती है।

*(इब्नु आबिदीन फी हाशियतहि अलल बहरि राइक 6/293)📚*
*➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖*
*इमाम अश शाफई रहिमहुल्लाह फरमाते हैं*
हर वो मसअला जिस में मैंने सुन्नत के खिलाफ कहा है मैं इस से अपनी जिन्दगी में और अपनी मौत के बाद भी रूजू करता हूं।

*(अल खती़ब "अल फकीह वल मुतफक़्किह") में रिवायत किया है।*
*➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖*
*इल्म हासिल करना हर एक मुसलमान मर्द-और-औरत पर फर्ज़ हैं*

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS