*🔘FAZA'IL E DUROOD QURAN KI ROSHNI MEIN🔘*
*🖋 Tehreer : Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpoori Hafizahullah*
⦿ Allah Farmaata hai ke:
وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ
“ { Aye Nabi } Hamne aapka Zikr Buland kiya ”
*{ Surah Al Inshirah # 4 : 94 }*
*Ahle ILM ne iskey 3 mu’aani bayan kartey hain.*
1) Nabuwwat o Risaalat ke La’zwaal Aizaaz se aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Maqaam o martaba ko buland naseeb farmaayen.
2) Akhirat me aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke zikr ko buland kiya. Jaisa ke duniya mein buland aata farmaayi.
3) Allah taala ke zikr ke saath Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka bhi zikr hoga.
Sayyiduna Abu Sa’eed Al Khudri RaziAllahu Anhu bayan karten hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :
أتاني جبريل، فقال : إن ربى وربّك يقول : كيف رفعت لك ذكرك ؟ قال : الله أعلم، قال : إذا ذكرت ذكرت معي
“ Jibrayl mere paas aaye aur bataya : “ Aapka aur mera Rab farmata hai ke : “ Maine aapka Zikr kaise buland kiya ?? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : “ Allah hi bahtar jaanta hai.” Allah taala ne farmaya : “ Jab mera zikr kiya jaayega to mere saath aapka zikr bhi kiya jaayega ”.
*{ Tafseer At Tabri # 30/235 }*
Is Hadees ko Imaam Ibn e Hibban Rahmatullah Alai ne { 3382 } Saheeh qarar diya hai.
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat e babarkat par Durood o Salam padhna ek Momin ka haq hai. Jo Maa Baap ke Haq se badhkar hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Zaat e giraami par durood o Salam padhna darasal Hukm e Ilaahi ki Tameel hai aur Aap sallallahu alaihi wasallam ke saath Walihaana Mohabbat o Aqeedat ki Alaamat o nishaani hai. Kyunki Muhibb apne Mahboob ke zikr e khayr me Mashgool rahta hai. Nabi e paak Sallallahu Alaihi wasallam ke zikr e khayr se koi Ghafil hi mahroom ho sakta hai. Ye Mubaarak Amal Allah aur uskey Farishton ki sunnat hain.
*FAZA’IL E DUROOD QURAN E KAREEM KI ROUSHNI MEIN :*
Irshaad e Bari Taala hai :
إِنَّ اللَّـهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا
Bilashubah ALLAH aur uske Farishtey Paighambar par Durud bhejtey hain, Momino ! Tum bhi unpar durud o Salam bheja karo “
*{ Surah Al Ahzaab 56 }*
Imaam e Mufassireen, Allamah Tabri Rahmatullah Alai farmatey hain ke :
وقد يحتمل أن يقال : إن معني ذلك أن الله يرحم النبي، وتدعو له ملائكته ويستغفرون
Is ayat ka ye Maani karna bhi mumkin hai ke ALLAH ne Nabi Sallallahu Alai Wasallam par Rahem farmaata hain aur Allah ke farishtey aap Sallallahu Alai Wasallam ke liye Duwa o Astaghfaar kartey hain ”.
*{ Jaami ul Bayaan Fii Taweel Al Quran, (Tafseer At-Tabri) # 19/174 }*
Shaareh e Bukhari, Haafiz Ibn e Hajar { 852 – 773 H } Rahmatullah Alai, Allamah Haleemi se naqal kartey huwe likhte hain ke :
معنى الصّلاة على النبى صلى الله عليه وسلّم تعظيمه، فمعنى قولنا : اللهم صل على محمّد، عظم محمدًا، والمُراد تعظيمُه فى الدّنيا بإغلاء ذكره وإظهار دينه وإبقاء شريعته، وفي الآخرة_ بإجزال مثوبته وتشفيعه فى أمته وإبداء فضيلته بالمقام المحمود، وعلى هذا، فالمُراد بقوله تعالى
صلوا عليه﴾ أدّعوا ربكم بالصلاة عليه)
“ Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam par Durud ka Maani Aap Sallallahu Alai Wasallam ki Ta’zeem hai. Ham jab اللَّهُمَّ صل عَلٰی محمّد kahte hain to muraad yeh hoti hai ke Aye Allah ! Mohammad Sallallahu Alahi Wasallam ko Azmat ataa farma. Duniya mein Aap Sallallahu Alai Wasallam ko Azmat deney se murad aapke zikr ko buland karna, aapke Deen ko ghalib karna aur Aapki Shariyat ko baaqi rakhna hai, jabke Aakhirat mein Aap Sallallahu Alai Wasallam ko Azmat deney se murad aapke sawab mein izafah, aapki apni Ummat ke liye Shafaat ko qubool karna aur maqam e Mahmood ke zariye aapki fazeelat ko zahir karna hai. Is maane ke lehaaz se Allah taala ke farmaan (صَلَّوْا عَلَيه) ka matlab yeh hai ke Apne Rabb se duwa karo ke wo Aap Sallallahu Alai Wasalam ko Azmat ataa farmaaye “.
*{ Fatah ul Bari Sharah Saheeh Al Bukhari # 11/156 }*
Haafiz Ibn e Qayyim { 691 - Rahmatullahalai likhte hain ke :
بل الصّلاة المأمُور بها فيها هي الطلب من الله ما أخبر به عن صلاته وصلاة ملائكته، وهي ثناء عليه وإظهار لفضله وشرفه، وإرادة تكريمه وتقريبه، فهى تتضمّن الخبر والطلب، وسمّى هذا السؤال والدّعاء منا نحن صلاة عليه لوجهين؛ أحدهما أنه يتضمّن ثناء المُصلى عليه والإرادة بذكر شرفه وفضله والإرادة والمحبة لذلك من الله تعالى، فقد تضمّنت الخبر والطلب، والْوجْهُ الثاني أنّ ذلك سمى مِنا صلاة لسؤالنا من الله أن يصلي عليه، فصلاة الله عليه؛ ثناؤه وإرادتُهُ لرفع ذكره وتقريبه، وصلاتنا نحن عليه؛ سُؤالنا الله تعالى أن يفعل ذلك به
“ Is Ayat e Kareema mein jis durud ka Hukm diya gaya hai, wo Darhaqeeqat ALLAH taala se uski aur uske farishton ke Durud ki talab hai. Isme Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ki Sanaa, aap ke Fazl o sharaf ka izhaar aur Aapki Takreem o qurbatt ka iraadah hain. Is durud mein khabar { Aap Sallallahu Alai Wasallam se Aqeedat ka izhaar } aur Talab { Allah se aap Sallallahu Alai Wasallam ke liye sawaal } dono cheezen maujood hain. Hamari taraf se is sawal aur dua ko durud do (2) wajah se kaha gaya hai. Ek to isliye ke jab Namazi Nabi e Akram Sallallahu Alai Wasallam par durud padta hai to usme aap Sallallahu Alai Wasallam ki madad aur aapki Sharf o Fazeeliyat ka zikr hota hai nezz is wajah se ALLAH taala ki Muhabbat ka iraadah hota hai. Yu isme khabar aur Talab dono maujood hain. Hamare sawaal aur hamari dua ko durud kahe jaane ki doosri wajah yeh hai ki Ham ALLAH taala se aap Sallallahu Alai Wasallam par durud karne ke dua kartey hain. Allah taala ka durud darr haqeeqat aap Sallallahu Alai Wasallam ki Sanaa aur Aap Sallallahu Alai Wasallam ke zikr ko buland karna aur Aap Sallallahu Alai Wasallam ko apna qurb Ataa farmaana hota hain. Jabkey hamarey durud padhne ka matlab yeh hota hai ke ham ALLAH taala se aisa karne ki duwa karte hain.
*{ Jala ul Afhaam – Safa # 162 }*
Imaam e Ahle Sunnah, Haafiz Ibn e Kaseer Rahimahullah { 700 – 774 H } farmatey hai ke :
والمقصود من هذه الآية أنّ اللہ سبحانه و تعالى أخبر عباده بمنزلة عبده ونبيه عنده فى الملا الأعلی؛ بأنه يثنى عليه عند الملائكة المقربين، وأنّ الملائكة تصلّي عليه، ثم أمر تعالى أهل العالم السفلي بالصلة والتسليم عليه، ليجتمع الثناء عليه من أهل العالمين؛ العلوى والسفلي جميعا
“ Is Ayat se Maqsood Allah taala ka apney bandon ko yeh Khabar dena hai ke uske yaha Aasmaano me uske bande aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka kya Maqaam hai. Yaani Allah taala apne Nabi ki Muqarrab farishton ke paas Tareef karta hai. Nezz farishte aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye Rahmat ki duwa karte hain. Phir Allah taala Khaaki jahan walon ko bhi Hukm deta hai ke wo bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par durud o Salam padhen. Taake Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Tareef Aalam e baala aur Aalam e khaaki dono jahaon se jama ho jaaye.
*{ Tafseer Ibn e Kaseer # 6/457 }*
*[Dekhiye: Maahnama Assunnah Jhelum, Shumara No: 80_86
No comments:
Post a Comment