VIDEO
Banam-E-Khuda Hmne ki Ibteda ( ابتدا)
Jo Hai Mehar'Ban (مہرباں) Raham wala bra
Hai kya kya Enaayat-E-Rahman ki
Usi ne di Talim Quran ki
Usi ne yah Insaan Paida kiya
Usi ne Sikhaya Hme Bolna
Jo hai Aasma pe Mah-W-Aaftab
Mukararr hai Chalne ka unke Hisab
Hai Barg-O-Shejar me Zeenat-E-Guleestan
Usi ki Sna Me Hai Ratbullsaa'n (رطب اللساں
Khuda ke Fazail Kroo kya Byan
Kiye hai Usi ne Buland Aasman
Usi ne bnayi hai Mejan yeh
Hai Insaaf ki Ek Pehchan yeh
Parakh us me Rakhi hai Imaan ki
Ke Hadd se N Aage barhe koi bhi
Hidayat hai tum Taul me thik do
Km-O-Besh isme N Hargij kro
Jamin ko isi ne hai Paida kiya
Ke jis par Rahe sari Khalaq khuda
Khajoor Aur Phal ke hai Paudhe Yha
Gilafo Me khooshe hai jin ke tha
Isi Par Wah Galle bhi Paida hue
Nha jin ke Chhilkon me Dane kiye
Hasee'n Phool bhi hai Lge Char Sau (چار سو)
Ke Phaili hai jin ki Mahek Koo-B-Koo
Fir Aei Ins-W-Jaa dekh Rab ki Aata
Too Kis kis Enaayet ko Jhootlayega
(Masood Ajimabadi)
No comments:
Post a Comment