Bahut dino ki bat hai,jb har Jagah Nek log baste they Aur Dga (دغا) fareb bahut hi km tha. Har Qaum ke log Ek Dusre ka khyal Rakhte they.koi kisi par jyadati nahi karta tha aur jiska jo Haque hota tha Use mil jaya karta tha.Un dino (ان دنوں) ek Shaher Tha "AadilAabad"
Us Aadilabad me ek bahut Daulatmand dukandar tha.Door-Door ke Mulko se uska Len-den tha.Uske pas ek Ghora tha,Jo usne bahut dam dekar ek Arab se kharida tha.
Ek din ka Zikr hai ke Wah dukandar Tizarat ki Garj se Ghore par swar hoker ja Raha Tha ke Be-Khyali me Shaher se Bahut door nikal gya aur Ek Zangel me ja Pahuncha,Abhi ye apni dhoon me Aage ja hi raha tha ke Pichhe se 6 (چھہ) Aadmiyo ne uspar hamla kar diya.Usne unke Ek-Do war (وار) Khali kar diye,Lekin jab Dekha ke Wah 6 hai to socha ke acha yahi hai ke Unse Bach kar nikal chalu.Usne Ghore ko Ghar ki taraf fera,Lekin Dakuwo ne bhi apne Ghore pichhe dal diye.ab to Ajeeb hal tha,sara Zangel ghoro ki tapo se Goonj Rha tha.Sachh ye hai ke Dukandar ke Ghore ne Usi din Apne Dam Usool kra diye.kuch der bad Dakuwo (ڈاکووں) ke Ghore pichhe rah gaye aur ghora dukandar ki jan bachakar use ghar le aaya.
Us Roj Ghore ne itna jor lagaya ke uski Tange bekar ho gaye.khuda ka karna Aeisa hua ke kuchh din bad Gareeb ki Aankhen bhi jati Rahi.Lekin dukandar ko Apne wfadar Ghore ka Ehsaan yad tha,Chunanche usne Sayis ( سایس) ko hukm diya ke jab tak Ghora jita rhe,Usko Roj Subah Shaam 6 ser dana diya jaye aur usse koi kam n liya jaye.Lekin Sayis ne us hukm par amal n kiya Wah Roj-Baroj Ghore ka dana km karta gya.Yahi nahi Balki Ek Roj Use Apaheej aur Andha samajhker Astabal Se Nikal Diya.Bechara Ghora rat bher Bhuka,Pyasa, Barish aur Toofan me baher khara rha.jb subah hui to jo-to karke wha se chal diya.
Is Shaher AadilAabad me ek Bari Masjid thi aur Ek bra Mandir.unke nek Hindu Aur Musalman Aaker Apne Dhang se Khuda ki Ibadat karte Aur usko yad karte they.Mandir Aur Masjid ke Bich me ek Bahut Uncha Makan tha,Uske bich me ek bra sa Kamra tha.Kamre me ek bahut bra Ghanta Latka Hua tha aur Usme ek lambi si Rassi bandhi hui thi.Us ghar ka Darwaja Rat-Din khula Rahata.Shaher AadilAabad me jb koi kisi par zulm karta,ya kisi ka Maal dba leta,ya kisi ka Haque Mar leta,to Wah us ghar me jata,Rassi paker kar khichta,ye Ghanta is jor se bajta ke Sare shaher ko Khaber ho jati.Ghante ke Bajte hi Shaher ke Sachche,Nek dil Hindu-Musalman wha aajate aur fariyadi ki fariyad sunkar Insaaf karte.
Ittefak ki bat hai ke Andha Ghora bhi subah hote hote us Ghar ke darwaje par ja nikla.Darwaje par kuchh Rok-Tok thi nahi,Ghora sidha Ghar me ghoos gya.Bich me Rassi latki thi,ye Gareeb Mare bhook ke Har Chij par Mooh chalata tha,Rassi jo iske badan se lagi to Wah usi ko chabane laga.Rassi jra khinchi to Ghanta bja.Musalman Masjid me Namaj ke liye jama they,Pujari Mandir me Pooja kar rahe they.Ghanta jo bja to Sb Chaunk Pre aur apni apni Ibadat khatam karke Sb us ghar me jma ho gaye.Shaher ke bich bhi Aagye.Puncho ne puchha "yeh Andha Ghora kiska hai?" Logon ne bataya "yeh Fla (فلاں) tazir Ka hai.Is Ghore ne Tazir ki Jan Bachai thi" puchha gya to malum hua ke Tazir ne use Nikal Baher kiya hai.Puncho ne Tazir ko Bulwaya.Ek Taraf Andha Ghora tha,us ki juban n thi jo Shikayat karta.dusri taraf Tazir khara tha,Sharem ke mare uski aankhen zhooki thi.Puncho ne kaha."Tum ne Acha nahi kiya,Is Ghore ne Tumhari jan bachai aur tumne iske sath kya kiya" tum aadami ho,ye Janwer hai.aadami se acha to Janwer hi hai.Hmare shaher me Aeisa nahi hota.har ek ko uska Haque milta hai aur Ehsan ka badala Ehsan samjha jata hai.
Tazir ka chehra sharam se Shoorkh ho gya,Uski Aankhon se aansoo nikal pre.Badhker Usne Ghore ki gerden me hath dal diya.
Uska Mooh Chuma aur kaha "Mera Qasoor maaf kar" yah kahkar usne wfadar Ghore ko sath liya aur ghar le aaya.fir uske liye har tarah ki Aaram ka Intejam kar diya.
Writer (Dr Zakir Hussain)
No comments:
Post a Comment