Qyamat Ke Roz NAbi Ki Shafaqat Kiske Liye Hogi
Roz e Qayamat Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shafa'at Ahl e Tawheed Ke Liye Hogi.
```Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ka bayan hai ke Maine Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha: "Qayamat ke din logon mein se sabse bada khush naseeb kaun hoga jiske haq mein Aap shafa'at karenge❓❓❓```
*To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:*
_"Ai Abu Hurairah!!! Mujhe yaqeen tha ke iss baare tum hi sawal karoge kyunki tumhe ahadees sunne ka zyada shauq rehta hai. To suno qayamat ke din Meri shafa'at ki sa'adat uss shaksh ko naseeb hogi jisne apne dil ki gehrayion se ikhlas ke saath *" لا اله إلا الله"* kaha ho"._
*{Bukhari: 99}
*{Bhkhari: 6570}
*{Bhkhari: 6570}
``Hazrat Abu Huraira Radhi Allah Anha Kehte Hain Rasool ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya, Har Nabi Ke Liye Ek Dua Aisi Hai Jo Zaroor Qabool Hoti Hai Tamam Ambiya Ne Woh Dua Dunia Main Hi Maang Li, Lekin Main Ne Apni Dua Qayamat Ke Din Apni Ummat Ki Shafa’at Ke Liye Mehfooz Kar Rakhi Hai, Meri Shafa’at In shaa Allah Har Us Shakhs Ke Liye Hogi Jo Is Haal Main Mara Ke Usne Kisi Ko Allah SWT Ke Sath Shareek Nahin Kiya.```
{Sahih Muslim, Kitab Al-Imaan, Hadith 399}*
No comments:
Post a Comment