‘Ahle Hadees’ aur ‘Jamiat-e-Ahle Hadees’ me kya farq hai
Ahle Hadees' aur 'Jamiat-e-Ahle Hadees' me kya farq hai?
Ahle Hadees' ek NABI (SallallahuA'laihiWaSallam) aur Sahaba ke tariqe par DEEN ko samajne ke 'MANHAJ' ka naam hai. Ye MANHAJ NABI (SallallahuA'laihiWaSallam), SAHABA, Tabi'in, Tab-Tabi'in, Muhaddisin ka MANHAJ raha hai jabke 'JAMIAT-E-AHLE HADEES' (JAH) ek Government Registered ORGANIZATION (TANZEEM) ka naam hai.
Hindustan, Pakistan aur Bagladesh me 'AHLE HADEES' ke raah par chalne wale Musalmano ne apne Deeni aur Mulqi masail ko hal karne ke liye ek TANZEEM ko angrez ke daur e hukumat me register kiya tha us JANZEEM ka naam 'JAMIAT E AHLE HADEES' hai. Isi buniyad par AHLE HADEES ko ANGREZO ki AWLAAD kaha jata hai lekin DEOBANDIYAT, BARELWIYAT aur JAMATE E ISLAMI bhi to Angrezo ke daur e hukumat me registered karwaye gaye lekin in TANZEEMO ko koi ANGREZ AWLAAD koi nahi kaheta. Log Ahle Hadees ko sirf Bugz aur Jalan ki buniyaad par ANGREZ ki Awlaad kahete hai lekin khud bhi to Angrezo ke daur ke ho. Angrezo ke daur se pahle India me DEOBANDI, BARELWI aur JAMATE ISLAMI ka naamo nishaan bhi Maujud nahi tha.
JAMIAT E AHLE HADEES me bahot saare khamiya payi jaati hogi lekin Alhamdulillah MANHAJ E AHLE HADEES me apko koi khaami nazr nahi ayegi.
AHLE HADEES ka buniyadi naam AHLE SUNNAT WAL JAMAT hai. Ahle Hadees duniya bhar me alag alag naamo se mash'hoor hai jaisa ke SALAFI, AS'HABUL HADEES, ANSARUL SUNNAH, AHLE ATHAR, TAYFA MANSOORA, FIRQE NAJIYA wagaira.
No comments:
Post a Comment