✨اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨
N͓̽a͓̽m͓̽a͓̽z͓̽ B͓̽a͓̽ J͓̽a͓̽m͓̽a͓̽a͓̽t͓̽‼
✨ ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨
Hazrat ibn e Masood Radi Allahu Anhu ne farmaya ke beshak RASOOLALLAH ﷺ ne humein hidayat ke tariqe sikhaye✨
In hidayat ke Tariqon mein ye baat bhi shamil hai ke is Masjid mein Namaz ada ki jaye jismein Azan di jati hai (aur ek rivayat mein hai inhone farmaya )agr tum Namaz apne gharon mein padhogey jaise Jamat se piche rehne wala ye Shaks apne ghar mein padh leta hai to tum apne Nabi ﷺ ki sunnat chorddogey ‼
Aur agar Nabi ﷺ ki sunnat chorddogey to gumrah hojaogey aur (ye baat bhi shamil hai) jab koyi shaks accha Wazoo ker ke Masjid jaye to Allah tala har Qadam ke badle ek neiki likhta hai ek darja buland karta hai aur ek burayi mita deta hai ✨
Jamaat se siwa khule Munafiq ke koyi pichey nahi rehta .Bimar bhi do admiyon ke sahare Namaz ke liye ata hai✨
Muslim 654
Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ ne farmaya✨
Maine ye irada kar liye tha ki Namaz ki jamaat qayam karney ka hukm dekar main khud un gharon par jauu jo namaz ke liye jamaat mein hazir nahi hotey aur unkey gharon ko jala du‼
Sahih Bukhari, Vol 3- 2420
Hazrat Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ ne farmaya✨
Agar logon ko malum ho jaye ki adhan kahney aur namaz pahli saf mein parhney se kitna sawab milta hai to unkey liye Qurra dalney ke siwa aur koi chara baqi nahi rahta aur us par wo qurra andazi hi kartey aur agar logon ko malum ho jaye ki namaz ke liye jaldi aaney mein kitna sawab hai to uskey liye ek dusrey se aagey barhney ki koshish kartey✨
aur agar logon ko malum ho jaye ki Isha aur Fajar ki namaz ka kitna sawab hai to ghaseet-tey huye ana parhta to bhi aatey✨
Sahih Bukhari, Vol 1, 615
Hazrat Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ ne farmaya jisney ek rakaat Namaaz (ba jamaa’t) pa li unsye (ba jama’at ka) Namaz ka sawab paa liya✨
Sahih Bukhari, Vol1 580
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*
~
No comments:
Post a Comment