Jeeta Nahi Wah jiske Mukadder me hai Marna
Mushkil hai Mager saber ki seel Chhati pe dherna
Aafat to hai farjand ka duniya se Gujerna Insaan ko lajim hai Mager Saber bhi karna
Barso se yahi Rang-E-Gulistaan-E-Jaha Hai
Jis Gool Pe Bahaar aaj hai,kalh ispe Khaja (خزاں) hai
Kuchh Phool to dikhla ke Bahaar Apni hai jate
Kuchh Sookh (سو کھ) ke kanto ki Tarah hai Najer Aate
Kuchh Gool hai ke Phoole Nahi Jame (جا مے) me Samate
Goonche Bahut aeise hai ke khilne Nahi Pate
Boolbool ki tarah Rote hai fariyad O Fagaa'n Se
Kuchh Bs Nahi chalta Chaman Aaraye Jaha Se
Marte Hai JWA'n (جواں) Samne Aur Dekhte Hai Peer (پیر)
Maa Baap ka kya jor hai Jo Khawahish Takdeer
Sar peet ke fariyad kre Madar-E-Dilegeer
Hoobj Saber Bn Aati Nahi lekin koi Tadbeer
Aaram jise dete hai Chhati pe Sula ker
Rakh aate hai Hatho Se Use Qaber Me Jaker
(Meer Anees)
No comments:
Post a Comment