Janabat Ki Halat Me Kya So Sakte Hai?
Hazrat Abdullah bin umar Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ se pucha gaya ki kya hum logon mein se koi Janabat ki halat mein so sakta hai to Aap ﷺ ne farmaya (HAAN) jis waqt wo wuzu kar le
Sunan Nasaii , Vol 1, 262 Saheh
Abdullah bin umar Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Umar Radi-Allahu-Anhu ne ﷺ se pucha ki mujhko Raat me janabat ho jati hai , to Aap ﷺ ne farmaya tum Wuzu kar lo aur sharmgaah ko dho lo phir uskey baad so saktey ho
Sunan Nasaii , Vol 1, 263 Saheh
Baab: Paki ka bayan : Agar Janubi shaksh wudhu na karey ❓
Ali Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah ﷺ ne farmaya us ghar mein (rahmat ke) farishtey dakhil nahi hotey jis ghar mein Kutta , tasweer ya Junubi shaksh ho
Sunan Nasaii , Vol 1, 264 Hasan
Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen
No comments:
Post a Comment