AHLE HADEES ki DAWAT-E-DEEN ME ISLAAH KI ZARURAT.
Pichhle 100 saalo se Deobandi aur Barelewi Ulema Ahle Hadees ko bewakhoob banate aarahe hai hamko is baat ki khabar tak nahi hai. Unke Ulema ne AHLE HADEES DAEE'YO ko sirf Fiq'h me uljhakar rakha hai aur ham bhi Fiq'hi maslo par unse MUNAZRE karte aarahe hai. Unke Gumrah Aqaeed aur Manhaj ko hamne nazar andaz kiya hai. Barre Sagir (yani India, Pakistan, Bangladesh, SriLanka) me AHLE HADEES ke DAWATE ISLAH ke mad'hu HANAFI aur SHAFi'ee hote hai. Khas kareke Deobandi aur Barelwi aur dusre Tanzime apne aap ko HANAFI kahte aur ham Ahle Hadees bhi unko HANAFI-HANAFi ke naam se pukarte hai jabke wo log 100℅ HANAFI nahi hai kyunke Fiq'h se badi chiz Aqaeed aur Manhaj hota hai. Unko to ham MATURIDI ke naam se pukarna chahiye tha kyunke Deobandi, Barelwi aur dusre jamatein jaise Jamat e Islami aur Tanzim e Islami wagaira "Aqaeed aur Manhaj" me "Imam Abu Mansoor Maturidi" ke "Muqallid" hai. Ahle Sunnat ke saare Ulema kahte hai ke "Imam Abu Mansoor Maturidi" Ahle Sunnat me se nahi tha kyunke wo "Tawheed Asma wa Sifaat" me gumrah tha, is wahaj se Deobandi, Barelwi, Jamat e Islami, Tanzim e Islami wale AHLE SUNNAT me se nahi hai aur na hi HANAFI hai balke wo to MATURIDI hai. Yaad rahe, Deobandiyo aur Barelwiyo ke andar "Allah ke Asma wa Sifat" ke bareme me paayi jane wale gumrahiya unki Fiq'hi gumrahiyo ke muqable me SANGIN GUMRAHIYA hai jaisa ke wo log Allah ka Arsh par hone ka inkar, Allah ke hath aur Allah ke Chehre ka inkar karte sath sath me Nabi ko aur Awliya ko Mukhtare Kul aur Aalimul Gaib samjte hai wagaira wagaira.
Apko malum hona chahiye ke Deobandi, Barelwi, Jamat e Islami, Tanzim e Islami wale sirf aur sirf Fiq'h ke Department me HANAFI hai yani sirf Fiq'h me ye log Imam Abu Hanifa (Rahamahullah) ki Pairawi karte hai. (Is baat ko: Mufti Khaleel Ahmed Saharanpuri ne apni Kitab "Aqaeed Ahle Sunnat Deoband" aur "Fi'qh Rahmiya" ne naqal kiya gaya hai). Dusri taraf Imam Abu Hanifa (Rahamahullah) "Ahle Sunnat Wa Jamaat" me se the. Isi baat ka Fayda Uthate huye in saare Jamato ne apne aapko AHLE SUNNAT kahena shuru kiya aur Awwam ko gumrah karte rahe hai aur hamko bhi.
Deobandi, Barelwi, Jamat e Islami, Tanzim e Islami wale ....
1. Ye log Manhaj aur Aqaeed me MATURIDI hai yani "Imam Abu Mansoor Maturidi" ke Pairokaar hai. Ham apko pahele hi bata chuke hai ke AHLE SUNNAT ke Ulema ne "Imam Abu Mansoor Maturidi" ko AHLE SUNNAT me Shamil nahi kiya hai kyuke ye Imam AHLE KALAAM me se tha aur uski Gumrahi ye thi ki wo Allah ke TAWHEED-E-ASMA WA SIFAAT me bahes karta tha.
2. Ye log Roohaniyat (Tazkiya Nafs) aur Ibadat ke Tariqe me SUFIYO ke 4 silsile ke pairokar hai.
3. Ye log sirf Fiq'h me HANAFI hai yani Imam abu Hanifa ke pairokar hai.
 Jab AHLE HADEES ko itna sab kuchh malum hote huye bhi....
Ham "Imam Abu Mansoor Maturidi" ki Allah ke "TAWHEED-E-ASMA WA SIFAAT" me paayi jaani wale SANGIN GUMRAHIYO ko aajtak ham Deobandi aur Barelwi Awwam ko kyun nahi batlaya hai ? Koi Musalman agar Fiq'h me koi galati karta hai to Allah use Maaf akr sakta hai lekin koi Musalman agar Allah ki TAWHEED-E-ASMA WA SIFAAT me galatiya aur gumrah Aqaeed rakhta hai to hamesha ke liye wo Jahannam me ja sakta hai.
Ham Sufiyo ko gumrah kahte hai lekin ham unki badi badi Gumrahiya jaise WAHDATUL WAJOOD aur WAHDATUL SHAHOOT ko Deobandi aur Barelwi Awwam ke samne kyun nahi Bayaan kiya?
Hamko malum hai ke Hanafiyo ki tarah "Shafi'ee" bhi apne Aqaeed aur Manhaj me "Imam Shafi'ee" ke pairokar nahi hai balke wo apne Aqaeed me "AASHARI" hai lekin ham Shafi'ee Awwam ko AASHARIYO ki gumrah Aqaeed ke bareme kyun nahi wazeh karte hai ?
Hamko ye bhi wazeh karna hoga ke 4 Imam Haq par the lekin unke naam par banaye gaye 4 Firqe kis tarah gumrah hai?
Ham HANAFIYO ko kahete hai ke wo Imam Abu Hanifa (Rahamahullah) ki TAQLEED-E-SHAKHSI na kare lekin kya ye log Islam ke har shobe (Departments) me apne Imam Abu Hanifa ke pairokar hai? Jaisa ke upar batlaya gaya ke ye log to sirf Fiq'h me Imam Abu Hanifa ko apna Imam mante hai lekin "Manhaj aur Aqaeed" me inone "Imam Abu Hanifa" ko pit picche chhod diya hai. Fir "DEOBANDIYO aur Barelwiyo" ko "Imam Abu Hanifa" ki "TAQLEED-E-SHAKHSI" Na karo bolne me kaunsi Aqalmandi hai? Iska matlab ye huwa ke ham BEOBANDIYO aur BARELWIYO ki sirf Fiq'hi masail me Islaah karne ki koshish kar rahe hai (halanke SALAF me Fiq'hi masail me hamesha ikhtelaaf raha hai) lekin unki assal gumrahiyo ko nazarandaz karte huye unko Hidayat ki taraf nahi bola rahe hai. Hamare munazare bhi Fiq'hi masail par hi hote hai.
Waqai me agar ham Deobandi, Barelwi, Jamat e Islami aur Tanzim e Islami ki awwam ki Islah karna chahte hai to pahle unki Aqaeedi aur Manhaji buraeeyo ko wazeh kare kyunke ek Musalman apne sahi'ul Manhaj, Sahi'ul Aqaeed aur Khalis Tawheed ki buniyad par hi Jannat ka haqdar ban sakta hai.
No comments:
Post a Comment