ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يَحْيَى، حَدَّثَنَا سَعِيدُ بْنُ سُلَيْمَانَ، حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُسْلِمٍ، حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ مَيْسَرَةَ، عَنْ طَاوُسٍ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: لَمْ نَرَ لِلْمُتَحَابَّيْنِ مِثْلَ النِّكَاحِ .
रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: दो शख्स के दरमयान मुहब्बत के लिए निकाह जैसी कोई चीज़ नहीं देखी गई।
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: do shakhs ke darmiyan mohabbat ke liye nikah jaisi koi cheez nahi dekhi gayi.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: دو شخص کے درمیان محبت کے لیے نکاح جیسی کوئی چیز نہیں دیکھی گئی ۔
Allah's Messenger ﷺ said: “There is nothing like marriage, for two who love one another.”
*wazahat:* asal mein mohabbat naam hai achhe amal ke majmoye ka jo ek shakhs apne mehboob ke liye karta hai jiske natije mein mehboob ke dil mein bhi iske liye mohabbat paida hoti hai. dono miya biwi ko chahiye ke ek dosre ke sath pyar mohabbat jataye, biwi un kamon ki justuju kare jo iska shohar pasand karta hai khana pina, zahir waze qata, chaal dhaal waghera mein uski pasand ko tarjeeh de bashart e ke aisa karne mein Allah ki nafarmani na ho rahi ho, aur thore arsay mein usay koi aisa surprise tohfe ki shakal mein de jo iske liye khushi wa musarrat ka baais bane.
Ek moqam pe Allah swt ne Quran mein farmaya _*"Aur uss ki nishaniyon mein se hai ke tumhari hi jins se biwiyan peda ki takay tum inn se aaram pao uss ney tumharay darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kardi yaqeenan ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain."*_ [ Quran 30:21].
Ek moqam pe Allah swt ne Quran mein farmaya _*"Aur uss ki nishaniyon mein se hai ke tumhari hi jins se biwiyan peda ki takay tum inn se aaram pao uss ney tumharay darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kardi yaqeenan ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain."*_ [ Quran 30:21].
_*Sunan ibne majah: jild 3, kitab Al nikah 9, hadith no. 1847*_
*Grade sahih*
*Grade sahih*
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
No comments:
Post a Comment