find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Nabuwat Se Pahle Hmare Nabi Kaunse Deen Par Kayem They.

📮 *NABUWAT SE PAHLE MUHAMMADUR RASOOLULLAH KAUNSE DEEN PAR THE?*

BismillahirRahmanNirRaheem

🌸Nabuwat se pahle ke zamane ko ZAMANE JAHILIYAT kaha jata hai lekin
Alhamdulillah, Janab Muhammadur Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) is jahiliyat ke daur me  bhi DEEN-E-ISLAM par yani DEEN-E-FITRAT par qayam the.

🌸Yani unone Nabuwat se pahle kabhi SHIRK nahi kiya tha halanke Makka me Shirk ka mahol urooj par tha.

🌸Waise Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ne khud kaha ke har bachha Maa ke pet se Deen-e-fitrat par (Islam par) paida hota hai, lekin baad me uske maa baap usko Yahoodi, Nasara wagaira bana dete hai.

🌸Isi buniyad par Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) Deen-e-Fitrat par paida huye the aur Nabuwat se pahle bhi Deen e Islam par hi qayam the.

🌸Ahle Ilm ne kaha ke Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ke sath sath Makka ke dusre kuchh chand 7-8 afraad  Deen e Islam par yani Tawheed par baqi the, baaqi pura ka pura Makka shirk me duba tha.

🌈 *Khulasa:*

🌸Nabuwat se pahle Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) Muslim the aur Tawheed par qayam the.

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS