Dua me Waseela Lagana kaisa Hai ??
Khabardaar Allah ke liye hai khalis deen aur wo log jinhone uske siwa Auliyao ko bana rakha aur wo kahte hai nahi hum ibadat karte unki magar taaki wo waseela ban jaye hum ko Allah ke qareeb karne ka
Beshak ye log jis bare me ikhtilaf kar rahe hain is ka sacha faisla Allah khud karega
Jhoote aur na-shukre logon ko Allah Ta"ala raah nahi dikhata
Al Quran, Surah az zumar 39. ayat 3,
Aur ye log Allah ke siwa aisi cheezon ki ibadat karte hain jo na un ko nuksan pahoncha sakti hai aur na un ko nafa pahoncha sakti hai
Aur kahte hain ke ye Allah ke paas hamare sifarshi hain
Aap keh dijiye ke kya tum Allah ko aisi cheez ki khabar dete ho jo Allah Ta"ala ko maloom nahi na aasmanon me aur na zameen me wo pak aur bartar hai in logon ke shirk se
Al Quran Surah Yunus 10. ayat 18,
kuch log keh sakte hai hum unki ibadat thodina karte hai balki hum to sirf unse dua kartale hai to unke ilm ke izafe ke liye bata dun ki
RasoolAllah ne farmaya hai ki dua ek ibadat hai
Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book Kitab-ul- Dua Hadees-no:1297,
Ye azab tumhen is liye hai ke jab sirf Akele Allah ka zikr kiya jata to tum inkar kar jate the aur agar is ke sath kisi ko shareek kiya jata tha to tum maan lete the pus ab faisla Allah buland-o-buzurg hi ka hai
Al Quran Surah-Momin-Fussilat 40 ayat 12.,*
Ye ayat saaf taur par mushrikeen e Makkah ki halat bayan karti hai par afsos hai ki Aj ke Muslim ummah ke kuch firke bhi isi aqide ke hai jab ki unke samne Allah ka kalam padha jata hai*
*Hazrat Imam Abu Haneefa farmate hai*
*Dua,ba haq Nabi aur Wali ke Waseela se Mangna na-pasandeeda amal hai is liye kyun ki Makluq ka kuch haq Allah par nahi,*
*Hidaya page No : 226,
Hazrat Anas bin malik Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Jab kabhi hazrat Umar Razi Allahu Anhu ke zamane me Qahat padhta to Umar Razi Allahu Anhu Hazrat Abbas bin Abdul Mutlib ke waseele se dua karte
*Aur farmate ki Aye Allah Pahle hum tere paas tere Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka waseela laya karte the to tu paani barsata tha
Ab hum apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke chacha ko waseela banate hain to tu hum par pani barsa
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu ne kaha ki phir barish khoob barasti
Sahih Bukhari, jild 2, 1010,
Jayez waseela
Allah Ke Naamo ka
Apne Nek Aamalo ka
Nek logo se jo bahayat hai unse dua karwaya jasakta hai
No comments:
Post a Comment