find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aurat ka Khushbu laga kar Baher Jana Kaisa hai?

AURAT KA KHUSHBOO LAGA KAR BAHAR JANA KAISA HAI❓_____________________


         بِسْمِ الْلّٰهِ الْرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم

Jo aurat khubsurat libaas pahen kar aur khusbhu lagakar kar bahar nikalti hai to ham ye nahi kahte ki uski niyat kharab hai lekin ye zarur hai ke us aurat ne mardon ki niyat me khalal dala hai. Jaha Allah Ta’ala mardon ko hukm dete hai ke apni nigahen nichi karo to dusri taraf auraton ko bhi hukm deta hai ke auraten aisa kam na karen ke jisse mard na chahte hue unki taraf mutawajjo(attract) ho jaye, aur aurat apne is amal se jane anjane me najane kitne mardo ko gunahgar bana deti hai.
           ➖Jabki wo jism ki badbu us khushbu se lakh gunah achhi hai ke jis khushbu ko lagakar bahar jane pe Allah ke Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ne aurat ko zaniyah kaha.
Aurat ke liye apne ghar me rahte hue khusbhu lagana jayez hai aur agar khushbu apne shauhar ko khush karne ke liye lagai jaye to ye mustahab hai kyunki ye shauhar ki behatareen ita’at me shamil hota hai.  
             *✨Lekin agar aurat khushbu laga kar bahar nikle ke usey ghair mehram aur ajnabi mard sunghein aur uski khushbu paayein to ye haram hoga aur is amal par aurat gunahgar hogi kyunki us aurat ne mardon ko fitne me dala hai aur uske liye aur khud ke liye Zina ke darwaze khole hain.⚡*
 Jaisa ke hadeeso me ata hai
⛳1.Abu musa Ashari Radiallahu anhu bayan karte hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
*“Jo aurat bhi khushbu laga kar logon ke pas se guzre ke log uski khushbu paayein to wo aurat zaniyah(adulteress) hai. ”*
Narrated by Imam Ahmad (19212) and al-Nasaa’i (5126); classed as hasan by al-Albaani in Saheeh al-Jaami‘.
______________________________________
⛳2. Zainab saqfiyah Radiallahu anhu bayan karti hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
*” jab tumme se koi aurat masjid ki taraf jaaye to wo khushbu ke Qareeb bhi na jaaye. ”*
Muslim (443).⚡
______________________________________
⛳3.Abu Hurairah Radiallahu anhu bayan karte hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
*” Jis aurat ne bhi bakhoor(khushbu ki dhoni) li ho wo hamare sath eisha ki namaz me mat aaye. ”
Sunan Nasai:5263
______________________________________
⛳4.Musa bin Yasad bayan karte hai ke *Abu Hurairah Radiallahu anhu ke pas se ek aurat guzri jisse khusbhu arahi thi to Abu Hurairah Radiallahu anhu kahne lage
*” Ai Allah o Jabbar ki bandi kya tum masjid jana chahti ho❓
*Wo arz karne lagi: “Jee Haan”, to Abu Hurairah Radiallahu anhu kahne lage:* *Jaao jakar ghusl karo, kyunki maine Rasool’Allah  sallallaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna hai
*” jo aurat bhi masjid ki janib jaaye aur usse khushbu arahi ho to Allah Ta’ala uski namaz us waqt tak qubul nahi karta jab tak ke wo apne ghar wapis akar ghusl na karle
Musnad Ahmad: 12/311 Hadees No: 9938
13/339 Hadees No: 7959
16/29 Hadees No: 9938⚡
______________________________________
Khusbhu istemal karne ki mumaniyat ka sabab wazeh(clear) hai ke aurat ki khushbu mardo ko apni taraf mutawajjo(attract) karti hai.
        Ulemaaye ikram ne iske sath sath aur chizo ko bhi shamil kiya hai ke jab aurate masjid jana chahe to in chizo se bache.
☑Maslan :
Achha aur khubsurat libas aur jo zewar zahir hota ho aur aala qism ki zeenat wa zebaaish aur mardo ke sath uthna baithna yani ke unka sath.
Fatahul Bari(2/279)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS