ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴ*
* AALAM E BARZAKH - Part 15*
BARZAKHI ZINDAGI KO LEKAR INSANI JEHAN ME UTHNE WALE BAHUT SARE SAWALAT TAB TAK HAL NAHI HO SAKTE JAB TAK HAM *ROOH* KI HAKIKAT KO NA SAMJHLE.
*IBNE MAS'OOD R.J. FARMATE HAI KI ME AAP S.A.V. KE SATH MADINA KE EK KHET(FARM) ME THA AUR AAP S.A.V. KHAJUR KI EK TEHNI SE TEK LAGAYE HUE THE ISI BICH YAHOODIYO KI EK JAMA'AT KA WAHA SE GUZAR HUA TO UNME SE KUCH LOGO NE KAHA KI UNSE ROOH KE BAREME PUCHO, AUR KUCH LOGO NE KAHA KI INSE AISI BAAT NAA PUCHO KI KAHI AISA NAA HO KI TUMHE AISE BAAT BATAA DE JO TUMHE PASAND NAA HO, ITNE ME DECIDE YE HUA KI PUCH LIYA JAYE (ROOH KE BAREME) WO AAYE AUR PUCHA KI AE ABUL QASIM HAME ROOH KE BAREME BATAYIYE, IBNE MAS'OOD R.J. NE KAHA KI MENE DEKHA KI AAP S.A.V. NE JAWAB NAHI DIYA AUR AAP APNI NIGAHE AASMAN KI TARAF UTHAYE HUE HAI AUR BILKUL KHAMOSH KHADE HAI, ME SAMAJH GAYA KI AB AAPKE UPAR WAHI NAZIL HO RAHI HAI, AUR ME AAPSE THODA DOOR HAT GAYAA, YAHAA TAK KI WAHI MOKUF HO GAYI, FIR AAP S.A.V. NE IN AAYAT KI TILAWAT KI, _"YE AAPSE ROOH KE BAREME SAWAL KARTE HAI TO AAP KEH DIJIYE KI ROOH MERE RAB KE AMR MEIN SE HAI AUR TUMHE NAHI DIYA GAYA ILM MAGAR BAHUT HI THODA"_*
_*[BUKHARI - KITABUL AE'ATISAAM]*_
➡ YAHOODIYO ME SE JISNE YE KAHA THA KI INSE ROOH KE BAREME PUCHO DAR HAKIKAT INKA MAQSAD YE THA KI, AGAR YE ROOH KE BAREME BATAA DETE HAI TO YE HAKIKAT ME HAKIM HAI PAIGAMBAR NAHI, ISLIYE KE AADAM A.S. SE LEKAR ISA A.S. TAK KISI NE ROOH KI HAKIKAT NAHI BAYAAN KI, AGAR YE BAYAAN KARDE TO YE HAKIM HAI PAIGAMBAR NAHI. AUR AGAR YE ROOH KI HAKIKAT NAHI BAYAAN KARTE TO SAMJHO KI YE PAIGAMBAR HAI HAKIM NAHI.
➡ AUR BAAZ LOGO NE JO YE KAHA KI INSE NAA PUCHO UNKA MAQSAD YE THA KI AGAR INHONE ROOH KI HAKIKAT NAHI BAYAAN KI TO YE BAAT UNKE PAIGAMBARI KI EK DALIL HOGI AUR YE BAAT TUMHE NAAPASAND HOGI, KI DEKHO YE PAIGAMBAR HI HAI AUR HAM UNKO NAHI MAAN RAHE KI YE NABI HAI.
➡ AB RAHA ROOH KI HAKIKAT KA SAWAL TO AADAM A.S. SE LEKAR AB TAK HAZAARO HAKIM AUR DANISHWARAN ROOH KI HAKIKAT KO JANNE AUR SAMAJHNE ME LAGE HUE HAI PAR AB TAK UNKO ROOH KI HAKIKAT MALOOM NAHI HO PAYI.
➡ JISNE US MAIDAAN ME BAHUT TEHKIK KI HAI WO AB TAK SIRF IS NAZARIYE PE PAHUCHE HAI KI *ROOH EK LATIF ZOHAR HAI* JISKI SOORAT EK *ZEE ROOH* KI SI HAI.
❓❓ KYA MATLAB IS BAAT KA ??
✅ IS BAAT KA YE MATLAB HAI KI WO AB TAK YAHA PAHUCHE HAI KI *INSAN KI ROOH BE'AIN HI INSAN KI SOORAT KI TARAH HAI AUR JANWARO KI ROOH BE'AIN HI JANWARO JAISI HAI.*
✅ AUR UNKA YE KEHNA HAI KI *WO ITNI LATEEF HAI KI SHIDDATE LATAFAT KI WAJAH SE NAA TO HAM USKO DEKH SAKTE HAI, NAA HAM USSE PAKAD SAKTE HAI AUR NAA HI HAM USSE KAHI KAID KAR SAKTE HAI, AUR ISKE BAAWAJOOD HAME ISKA EHSAS TAK NAHI HOTA, YE ITNI LATTEF HAI KI YE SISE(KAANCH) ME SE BHI AASANI SE GUJAR SAKTI HAI, ISKE ULTA HAWAA AUR PANI YE BHI EK LATEEF ZOHAR HAI FIR BHI HAWA AUR PAANI YE SISE ME SE NAHI GUJAR SAKTE PAR ROOH AASANI SE GUJAR JAATI HAI.*
✅✅✅ DAR HAKIKAT ALLAH NE ROOH KO DUNIYA ME APNI JAATE MUKADDAS KA EK NAMOONA BANAA KAR RAKH DIYA HAI, YE ROOH ALLAH KI JAATE AQDAS KA EK NAMOONA HAI, AUR YE ISLIYE HAI KI JO LOG SIRF MOJUDA CHEEZO PE YAKEEN RAKHTE JAISE JO NAZAR AAYE BAS WAHI HAQ HAI AUR JO NAZAR NAA AAYE WO KUCH NAHI DAR HAKIKAT WO YE MAAN LE KI JO NAZAR NAA AYE WO BHI MOJUD HO SAKTA HAI ISI KO BATANE KE LIYE YE KIYA ALLAH NE JAISE FARISHTO PE, JINNO PE AUR ISI TARAH ALLAH PE KI WO NAZAR NAHI AATE FIR BHI WO MOJUD HAI.✅✅✅
No comments:
Post a Comment