Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh
Bismillahir
Rahmanir Raheem
*AL-QURAN*
Aur Aye *Musa* !!
Yeh tumhare dahine hath mein kya hai??
Kaha; yeh meri lathi hai, jis par main tek lagaata hun aur jisse apni bakriyon ke liye patte jhaadta hun; aur isme mere liye dusre bahotse faayede bhi hain.
Farmaya(Allah ne)Aye Musa! daal do isko (zameen par)
To (Usne)Musa ne usko daal diya to(zameen par)daalte hi woh saanp ban kar daudne laga.
Farmaya,Aye Musa! bekhauf ho kar pakad lo isko hum ise phir se pehli halat (dasha) mein lauta denge.
Aur apna hath apni baghal mein daal lo to woh safed chamakta hua (Raushan) ho kar niklega beghair kisi aib (dosh) ke! Yeh dusri nishani hai.
yeh isliye ki hum tumhe badi nishaniyan dikhaana chahte hain.
Ab Tum(Aye Musa) firaun ke paas jao usne badi sarkashi (ud'dandta) macha rakhi hai.
(Musa AS ne)kaha Aye Rab! Mera seena mere liye khol de. (Mere seene ko hikmat se bharde)
Aur mera kaam mere liye aasan kar de.
Aur meri zuban ki girah khol de.
Taki log meri baat achchhi tarah samajh saken.
Aur mere ghar walon (khandan)mein se mere liye ek wazeer muqarrar (nirdharit) kar de.
Haroon ko jo mera bhai hai.
Uske zariye meri kamar mazboot kar
Aur usko mere kaam mein sharik bana de.
Taki hum khoob teri paki bayan karen.
Aur tera khoob zikr karen.
Beshak tu humare haal ki khoob dekh bhaal karne wala hai.
*SURAH* *TAA'HA* *AAYAAT* *NUM* *17::::35*

No comments:
Post a Comment